PART #5

882 107 16
                                    

Amar: kiyà hua Ms mallik ap theek toh hain thori pareshan lag rhi hain?

HM: Mr Amar ap yeh batein Kay humari team kaisi hai? Woh sab theek toh hain na?

Amar: ha Ms mallik sab theek hain.

HM; jhoot mat bolain Mr Amar hum say, mishri pandey nay unhain suspend kar diya hai na?

Amar: ha par temporary kiyà hai. Don't worry humaray hotay huay mahila police thanee par koi aanch nahi aaey gi.

HM: wah humara dushman hi hum say dosti nibhana chahta hai , kiyà baat hai.

Amar: Ms mallik ap humaray baray mei ghalat sooch rhi hain. Hum Jo kuch bhi kar rhy hain apko nirdosh sabit karnay k liay kar rhy hain, ta k ap jald say jald MPT wapis aa jaen.

HM: acha phir yeh bataein hum par or humaray thanee par itni daya, kiyà wajah hai..

Amar: dekhain hum insan buray nahi hain Ms mallik, ap hum par ek bar toh vishwas kar k dekhain.

HM: ji nahi hum nay humaray apnon say zakham khaey hain ( looking at Anubhav) phir humara bharosa vishwas aitemad jaisay shabd say vishwas hi uth gaya hai.

Amar: yani ap or sir ek hi kashti k sawar hain. Un k sath bhi unhi k apnon nay vishwas ghat kiyà hai. Kuch log hotay hi aaisay hai Jo dil mei reh k dil ko hi barbad kartay hain. Sir ko bhi hum nay kitni bar samjhaya hai k purani batein bhool k phir say kisi par dobara vishwas Karna seekhain. Bewafa logon say sirf sabaq hasil kiyà Jata hai, zakham ko bar bar kuradnay say zakham aur taza ho ga bharay ga nahi.

AS: Amar hum jitni bar us hadsay ko bholna chahtay hain ap humain utna hi yad dila daytay hain. Dekhain humara koi apna tha ab hum sirf us say nafrat kartay hain sirf nafrat.

HM: toh apko kiyà lagta hai hum mohabat kartay hain nahi humaray dil mei bhi sirf nafrat hi nafrat hi nafrat hai.

AS: jantay hain hum warna buhat mushkil hota hai us shaks ki Jan layna jis say ap baypannah prem kartay hain.

HM: ha lagay ga hi na logon ko k humara prem jhoota tha ek dhekhawa tha. Khud k dil mei kabhi jhank k dekha hai kisi nay k us k khud k dil mei prem tha ya nahi. Bus log ba aasani dosron par ungaliyan utha laytay hain bus.

AS: humaray prem ko koi samjh Kahan paya hai aaj tak, uski suraksha k liey humain usi ka dil toar k Jana para, uski Jan bachanay k liey khud ko doshi banana para, hum mantay hain hum nay unhain dard diya hai par sirf unhain koi takleef na ho bus isi liey.

HM: khud kehtay hain k vishwas ghat kiyà hai par ap khud bhi toh vishwas kar k sach bata saktay thy na.

Amar: bus Karen ap dono bachon ki tarha lar rhy hain.

AS: dekhain Amar jitni jaldi ho sakay ap inhain yahan say lay jaen warna yahan hum say yeh aur bardasht nahi hungi.

HM: hum koi shoq say khud yahan nahi aaey hain ap hi humain yahan utha k lay k aaey hain.

Amar: ap toh behosh thi par ap kaisay janti hain k sir apko yahan lay k aaey hain

HM: Mr Amar kuch cheezon ka ehsaas hi kaafi hota hai. Khair ap nahi samjhain gay.

Amar: hum ja rhy hain sir press conference ka waqt ho gaya hai
Aaj mishri pandey ka parda fash ho k rahay ga. Or hum usi k zariey asli mujrim tak pohnch jaen gay.

AS: ji jaen ap.

Amar: or ha phir say ap dono larna shru mat ho jaeay ga.

HM: Mr Amar vidrohi humaray pass aqal hai hum bina k wajah k kisi k mun bhi lagna nahi chahtay.

AS: toh hum toh jaisay maray ja rhy hain ap say baat karnay k liay.

Amar: please humaray liey ap dono bus kar dyn. Ms mallik humain nahi pata tha itni shant suljhi hui samjhdar mahila k peechay aaisi koi mahila bhi ho sakti hai.

RANG TERE ISHQ KAWhere stories live. Discover now