PART# 7

1K 106 25
                                    

Amar: Ms mallik kiyà hua ap kyun pareshan ho rhi hain.

HM: pareshan na hun toh aur kiyà Karen, Anubhav ko gay itni dyar ho gae hai woh abhi tak nahi aaey hain. Humain unki fikar ho rhi hai. Ya Allah Anubhav ki raksha Karna.

Amar: Ms mallik waisay ap or sir toh hamesha lartay rehtay hain phir aachanak say apko sir ki itni fikar kaisay?

HM: fikar toh unki hamesha say rhi hai humain. Ek toh Anubhav k pass phone bhi nahi hai k hum un say phone kar k pooch hi lyn.

Amar: ha sir apna phone yahen chor k gay hain yeh rha. Aray yeh itni miss call kis ki hain sir k phone par. Sir ka yeh number toh Kisi k pass nahi hai.
Caller ID check kartay hain. ( He checked the call I.D saved with the name of Priyee) yeh sir ko call kyun kar rhi thi kahen usay pata toh nahi chal gaya k sir zinda hain or woh phir say sir ki Jan laynay ki koshish karay gi.

HM: ap kuch zayda hi sooch rhy hain Amar, woh aaisa kuch nahi karay gi, ap ek Kam Karen ap police force lay k Mantri ji k ghar jaen.

Amar: wah Ms mallik ap itni informal kab say honay lagi.

HM: matlab

Amar: ap nay humain abhi Amar Kaha , yani hum apko haseena ji keh saktay hain ab?

HM: sorry woh humain dhayan nahi rha. Or ha please ap humain bar bar haseena ji na Kaha Karen Mr vidrohi.

Amar: waisay sir bhi apko haseena ji kehtay hain kabhi kabhi, unhain toh ap nay kabhi mana nahi kiyà? Or ap bhi unhain Anubhav bulati hain.

HM: that's our personal matter Mr Amar vidrohi, so don't interfere. Or rahi baat unhain Anubhav bulanay ki toh woh ap k senior hain humaray nahi toh hum un say kisi bhi tarha ka professional relation nahi rakhna chahtay, or Haseena ji un k mun say sunna itna bura nahi lagta jitna k koi aur humain kehta hai.

Amar: kahen ap ko sir say pyar toh nahi ho gaya hai.

HM: Mr Amar vidrohi be in your limit. Pyar zindagi mei sirf ek hi bar hota hai or hum apnay hissay ka pyar kar chukay hain. Kisi nay humain apnay ishq k rang mei aaisa rang diya hai k chah k bhi ab koi kisi aur k pyar rang hum par nahi chehrah sakta. Ap say hum nay jitna Kaha hai us par dhayan dyn ap toh zayda behtar hoga.

Amar: ji MS mallik hum samjh gay, bus humain laga tha k hum ek achay dost ban gay hain, koi baat nahi, I can wait.

***************

Soriya: toh tum yahan tak aa hi gay ho. Par yahan say zinda bach k nahi ja Sako gay.

AS: zinda toh tum nahi bacho gay soriya. Kyun k tumharay samnay maut khari hai tumhari.

Soriya: tum jantay nahi ho meri taqqat ko.

AS: jantay hain tumhain bhi or tumhari sari saktiyun ko bhi, jabhi toh tumhari sab k sab shaktiyun  ko venash kar k yahan tak aaey hain. Itnay bhi bewakoof nahi hai hum.

Soriya: Kaun ho tum?

AS: Kaha na tumhari maut hain hum. Pehchana nahi humain? Koi baat nahi humaray Sath Chalo phir hum tumhain aaram say apna parichay dyn gay.

Soriya: buhat bari ghalti kar rhy ho tum. Tum jantay nahi ho mujhe mere ek phone call par poora ka poora police department yahan aa jaey ga.

AS: hum toh dar gay. Chalo bula lo pooray k pooray police department ko yahan , hum intezar Kar laytay hain un say bhi mulaqat ho jaey gi humari.

Soriya: lagta hai naye ho is shehar mei?

AS: na hum naye toh nahi hai par afsoos yeh shehar humain nahi janta.. waisay pooray police vibhag mei humari bhi buhat achi Jan pehchan hai. Commission sir, DIG, SSP, IG, SP DSP sab humaray mitra hain.

RANG TERE ISHQ KAWhere stories live. Discover now