Epilogue ☘️

1.3K 206 27
                                    

Next story ka prologue aaj raat tak de dunga.......

.
.

Flashback continue

Sid : btao shehnaaz..... Said in pleading tone...

Sana take a deep breathe and smile toward him...

Sana : mein shri Amritsar sahib mein paida huyi hoon.... Hmari family bhut badi thi like tau ji tai ji chachu chachi dada dadi mummy papa... Aage unke bache.... Hum sab saath mein rhte the....

Mere papa income tax department mein the.... Sab ki ladli thi mein.... Ya shayad aisa mujhe lgta tha.... Fir papa ka transfer chandigarh mein hua... Hum vaha shift ho gye... Tab mein 1 saal ki thi....

Starting mein thoda mushkil hua... Kyunki family mein rhne ki aadat thi... Lekin fir.. Dheere dheere sab sahi hua.... Hum sab khush the.... Sab acha tha....

Jab mein 3 saal ki thi..... Ik din mama mami ghar aaye... Kyunki mumma papa ko kam se kahi jana tha or vo mujhe akele chod nhi sakte the or saath le ja bhi nhi sakte the.....

Fir pta chala aate time unka accident ho gya... ( sid tighten his hold on her while tears formed in his eyes) uss din sab kuch badal gya..... Ya aisa bolu ki sabka asli chehra samne aa gya....

Custody ke liye police ne taya ji se baat ki.... Pr unhone mujhe apnane ke liye mana kar diya..... Mein unki taraf dekh rhi thi .. Ik umeed ke saath... Lekin unhone mujhse muhh fer liya ...

Mama mami ka koi bacha nhi tha.... Isliye dada ji ne mujhe unhe somp diya.... Uss din akhri baar meine unn sab ko dekha....

Mama mami mumbai rhte the.....sare kam khatam kr ke Vo mujhe apne sath yaha le aaye ..... Mein khush thi.... Kyunki mumma papa ke jane ke baad chandigarh mein mama mami ne hi mera dyan rkha tha.....

Bss yaha galati kr di meine.... Jo unhe  samaj nhi payi...

Pehle kuch din tak sab sahi ja rha tha... Fir dheere dheere unka asli roop samne aane lga.....

Mami mere se ghar ka sara kam karvati thi..... Sirf 4 saal ki thi mein.. Jab meine pehli baar roti bnayi... Jo ki thodi tedhi thi.. Jis wajah se mami ne 2 din tak mujhe khana nhi diya...... And chuckle sadly

Mama ji bhi kuch kam nhi the.... Jab bhi unka mood kharab hota tha... Tab vo mujhe maarte the....

Mami ko ik maid Or mama ji ko ik punching bag mil gya....

Vo log muje kisi se baat nhi krne dete the.... Unke karname bahar na aa jaye isliye mujhe ghar mein hi kaid kar diya...

Bhut minate karne ke baad unhone muje school beja. .. Vo bhi iss shart pr ki mein na hi kisi se baat kru or na hi koi dost bnau.....

Subah uth na ghar ka kam karna.. Fir tyar hoke school jana.... School se aane ke baad fir kam karna... Or raat ko padhne ke liye der se sona... Lekin fir subah jaldi uthkar kam karna.....
Yahi mera routine ban gya....

School ki fees le liye mama ji ne kabhi paise nhi diye isliye scholarship lekar mein apni padhayi puri ki..... Hmara school ghar se 10 km dur tha.... Or paise na hone ki wajah se mein paidal hi jati thi......

Fir college mein aayi or tu mila.... ( and smile blissfully)  tujhe dekh ke hi kuch hua... Mano ab sab sahi ho jayega..... Tere saath hoti thi na to lagta tha duniya ki sabse lucky mein hoon....

Teri care... Teri possesiveness.... Tera mere liye tiffen lana.... Jab mein late ho jati thi to mere liye seat rkhna.... Jis din mein chutti pr hoti thi Mujhe apne notes dene .... Mere se judi choti se choti baat yaad rkhna...... Sab kuch mujhe teri or le ke ja rha tha....

Magnetic Love ❤ ( COMPLETED) Where stories live. Discover now