Agar majburi ki zubaan hoti
to meri majburi bhi unhe sunai detilekin dard isi baat ka h
ki jo mera gum bina mere kahi samajh jaya krta tha
aaj mere kehne ke baad bhi meri majburi nhi samajh paya
jo mere aasu ke behene se pehle poch diya krta tha
aaj vo meri hasi ke piche ki nami bhi na dekh paya..
aaj humne unko saari yaadein lauta di
jo humne zindagi se chupa kr rkhi thi
sach kahu to humne apni zindagi lautai h
jo humne apni badkismat se bcha ke rkhi thi
ab kya kre !!
na hi hum ab unki yado me h
na unki baaton me humara zikr
ab to unke dil me bhi koi aur h
to in yado pr ab humara kya hak
isliye aaj aazad kr diya unki yado ko baato ko vado ko kasmo ko aazad kr diya unhe aaj humne taaki pa ske ab vo apni is mohabbatt ko
YOU ARE READING
Kahi unkahi baatein....
PoetryDil ki gehraiyon mein kuch aisi baatein chipi hoti hai jinko aksar hum bta nhi paate.. unko shabd nhi de paat.. vo yu hi anjaan aapke mann ke us kone mein chipe rehte hain aur jb tk pta chlta hai tb tk der ho chuki hoti hai... Maine bhi pehchaani ai...