game over -- part 1

62 3 0
                                    

Rashmi  -- Main janti hoon jab hum sab sath hain to uska band baja hi denge lekin yeh itna aasan nahin hai , voh 24 ghante papa per najar rakhe hua hai  , yah baat chachu bhi jante hain , lekin chachu ko bhi utna hi khatra hai , humare family mein sab ko , kabhi bhi Koi bhi nuksan pahuncha sakta hai , he is playing dirty games.

Arjun -- then let him  play ,  usse bade khiladi hum sab yahan baithe hue hain , dont worry ,tum office per dhyan do , hum sab kaam bant lenge , hum mein se koi na koi uncle ke sath humesha rahega taki  chachu bhi office per dhyan de saken.

Shalini  -- Haan legal problems mein sambhal lungi lekin Ananya ke Papa bhi to lawyer hai , Sach kahun to LAW College mein mere Kai lectures bhi unhone liye thee , main unke under apna internship bhi kiya tha.

Ananya -- fir  toh  acchi baat hai papa frame  mein aaye bina hi apna kam kar sakte hain.

Neerav -- Aisa kyon? Uncle frame mein kyon nahin aa sakte?

Ananya --  Kyunki mere papa ko , Rohit ko aur mujhe bhi utna hi khatra hai kyunki hum sab Rashmi ke shubhchintak hai aur uski radar mein hain.

Arjun -- hymnn......

Rohit -- Priya aur Vedika uncle ke aaspaas hi rahenge taki unhen koi khatra na ho aur Arjun tu Rashmi ke sath uske office mein rahana taki waqt aane par uska saath de Sako aur marketing department tumhe hi sambhalna hai.

Tapesh --  Aur bhi kisi department mein help chahiye tho dekh lena ......Arjun eyes are widened and seeing his face Rohit senses something is fishy but he ignores.

Rohit -- maan hi maan (yeh Arjun ko dekhkar lagta hai ki iske maan mein kuch hai Rashmi ke liye....may be ,may not ....think so I am over thinking)

All  -- But plan kya hai koi kuchh to batao ?

Rashmi -- plan yeh hai ki hum sab alag --  alag tarah se Us per najar  rakhenge , jab usee  kuchh bhi activity karne ka mauka nahin milega to ghabrakar voh koi badi galti karega aur bas usi galti ka fayda uthakar mujhe usee wapas jail mein bhej dena hai taki hamara family free rah saken.

All -- okay

Rashmi -- Shayad hadbad mein main apna phone hospital mein bhul gayi , maa ko phone karna hai , Neerav please kya tum mujhe apna phone doge ?

Tapesh --  Rahane de Rashmi itna bada risk mat le , main apna phone deta hun , iska phone legi to pagal ho jayegi.

Rashmi  -- kyon?

Tapesh -- Tujhe pata hai iske pass aaj bhi voh phone hai jo hum college mein use kiya karte thee , gadha dusra phone kharidta hi nahin , ab toh voh phone apne aap bolata hai aur apne aap band hota hai aur apni marji se bolata hai iska phone legi na to band baj jayega , pata nahin Baba aadam ke jamane ka phone Jebb mein liye ghoom raha hai.......

Nirav --  Tapesh mere phone ko kuchh nahin bol.....

RAABTAWhere stories live. Discover now