KS: kyuki yeh aap ki and bhakt yani ki blind follower jo theri
HM: bas KS..... aap yeh bhi nahi dekh rahi hai ki aap ab apni zidd mai PJ ko bhi ghaseet rahi hai
KS: hum ghaseet nahi rahe hai yeh khud beech mai aa jati hai. Inki aadat hai baar baar hume aapse compare karne ki aur hume neecha dikhane ki. Inhe humesha hum galat aur aap sahi lagti hai. Agar inhe galti se aapki galti dikh bhi gayi tabhi yeh aapko aakar kabhi nahi bolengi
HM: jab bhi PS ko hum galat lagenge vo hume aakar zaroor bataiyengi
KS: accha.....aapko yaad hai jab hum air pollution vale case mai hospital pahunch gaye the, us case ki shuruwat humne ki thi aur jab hum hospital se aaye to aapne sara credit Meera ko de diya tha. PJ ko us waqt bohot bura laga tha aur aap unhe galat bhi lagi thi lekin unhone aapko aakar kuch nahi kaha. Jab aapne hume poori tarah se apne aap ko badal lene ke liye bola tha tabhi inko aap galat lagi thi. Jab aapne hume sarak chap gundi bola aur hum par shak kara tha ki humne information leak kari hai tabhi inko aap galat lagi thi lekin inhone aap ko aakar kuch nahi kaha. Jab aapne aur humne ek doosre par bandook taani thi na tab yeh janti thi ki galti hum dono ki barabar hai par inhone kya kiya hume bina bataiye aapko humari taraf se maafi patra likh diya. Jab jab aap bina kisi baat ke humse rude hui hai na, inhone aap se kuch nahi kaha. Lekin hum thora sa bhi kuch kehde yaha tak ki sahi baat bhi bole na to bhi yeh hume humari galti batane aa jaati hai. Yeh aaj tak yahi sochti hai ki hum aapke bina kuch nahi hai
All are shocked to see her outburst
PS: dekhiye MS humari senior hai to hum unhe kaise kuch bole
KS: to jab aap hume sunati rehti to aapko memory loss ho jaata hai ki hum bhi aapke senior hai
PS: aap humari pyaari bahu rani bhi to hai isiliye hume aapko kehne mai sankoch nahi hota hai
KS: MS ko bhi aap beti kehti hai maanti bhi hai aur vo bhi aapko maa ka darja deti hai to phir aapko to unse bhi bolne mai koi sankoch nahi hona chahiye. Phir bhi aap nahi bolti iske to do hi matlab ho sakte hai hai ki aap unhe sirf kehne ke liye beti bolti ya phir vo aapko sirf kehne ke liye Maa ka darja deti hai aur aapki baate vo sehen nahi karengi jaise ki hum kar lete hai aapka lehaaz karke
PS: ye...yeh aap kaisi baate kar rahi hai, aisa kuch nahi hai. Hum MS ki bohot izzat karte hai isiliye unhe kuch nahi bolte
KS: iska matlab aap humari izzat nahi karti kyuki hume to aap har baar sunati rehti hai
PS: hum aapki bhi bohot izzat karte hai. Aap humari beti hai
KS: bahu
PS: kya
KS: hum aapki bahu hai, beti nahi. Aap humari saas hai aur kabhi bhi humari maa nhi ban payengi
PS feels bad but now KS doesn't care
PS: aap aise kyu keh rahi hai hum aapse bohot pyaar karte hai
KS: bilkul karti hai aur hum jaante hai ki yaha par khara har insaan humse bohot pyaar karta hai. Par sirf pyaar kaafi nahi hai. Jab humari aur aapke lalla ki shaadi hui tha na to aapne hum dono se ek baat kahi thi ki rishte mai pyaar ke saath saath ek dusre ke liye izzat, ek dusre ko puri tarah se swikar karna chahe vo jaise bhi ho, ek dusre ke nazariye aur soch ko respect karna aur ek dusre ko support karna bhi utna hai zaroori hai. PJ aapne baat bilkul sahi kahi thi par aap yeh bhool gayi ke yeh sab sirf pati patni ke rishte mai hi nahi balki har rishte par lagu hoti hai. Chahe vo Maa aur bacche ka rishta ho, bhai behen ka rishta ho ya dosti ka rishta ho. To Haan aap sab humse pyaar to karte hai par na kabhi hume support karte hai na samajhte hai aur na humari soch aur nazariye ki respect karte hai
HM(angrily): bas kariye KS aap apne aap ko sahi saabit karne ke liye PJ aur sabko guilt trip par kyu daal rahi hai. Aap maan lijiye ki aapke tarike se case solve nahi hote hai
KS looks on
___________________________________________
Please tell me about this chapter in comments. I would love to know your opinion. Please sirf ek word ka comment mat kariye, pls apne pov aur opinion chapte ko lekar bataiye
You all asked for a long chapter, so this one is a long one
YOU ARE READING
My Life
FanfictionI think KS feelings are always ignored. So here is my story to give a view of her feelings