Then VS Now

34 1 0
                                    

Question:- Draw a comparison between your old days and now.

Answer:- chalo bhai question hai toh answer toh karna padega hi na as we have learnt in school only ki question  kabhi khali mat chhodna bhale answer na aata ho unless negative ,arking ho rahi ho in which case, mission abort. Toh iss question ka answer to aata hi hai so why not answer.

To iss chapter mein humein lagegi time machine ki zarurat kabhi past mein jayenge kabhi present mein.

To sabse pehle chalte hai us time mein jab shayad hum third mein the(zyada hi peeche chale gaye) tab school ne ek naya system shuru kiya har class mein mats hote the jinka use test ke time hota tha ki aadhe bache bench pe aadhe neeche mat pe. (main hamesha apne partner ko bithati thi mat pe. I’m possibly the only kid jisne mat pe test ni diya. If you’re reading this, I’m sorry Cherry)  Aur ek incharge hota tha shayad jiska kaam mat bicchana hota tha.

Agar neeche nahi to table ke upar pahaad banaya jata tha pehle ek copy rakhi uske upar ek book. Tab hum chote the to cheating nahi karte the to humare liye to yeh useless timepass hi tha.

Aur yeh system covid se pehle chalta raha ab covid ke baad to Set A set B class test mein bhi hote hai toh neeche upar ya pahad ka to waise fayda nahi. Haan bas neeche baithke kayi baar maza aata tha kayi baar thand lagti thi.

Phir ati hai woh cheez jo ki saal nikal gaye par sudhregi nahi “humari pic i-card pe”. Nahi Matlab kya kismat hai ya kisiki dushmani hai jo pehle bhi pic kharab aati thi aur ab to pucho hi mat bhoot bhi dekhke dar jayenge.

Another cheez jo ki thi pehle humein misconceptions studies se related.

First ki humein lagta tha ki third class tak padhi jane wali EVS further science sst mein divide hoti hai. Ab jake bhram door hua ki EVS mein science sst door door tak nahi the. Hum bhi kya kya sochte the.

Phir humein lagta tha ki Alpha, beta, gamma etc sab trigonometry ka part hai ab jake pata chala ki in cheezon ka rishta science ke sath hai aur hum kahan trigonometry mein ghusa rahe the. Hum kuch paagal to puchne bhi chale the ki alpha beta nahi hota trigno mein baad mein socha chodo kahe bezzati karani. (yeh kab hua. Haan mujhe bhi ni pata chala)

Phir humein lagta tha ki 10th mein humein jo subject pasand aaya uske basis pe next classes ke subject choose karenge. Idhar to biology period mein lagta hai agle saal Non medical lelo, Maths period mein lagta hai ki agle saal Medical lel. Karein toh kare kya akhir hum.

Phir jo chhote hote ek rumor pe believe karte the hum ki school ke peeche wali lake mein crocodile hai. Haan thoda ajeeb hai par kya karein chhote the na. Pata nahi logon ko ducks kis angle se crocodile dikh jaati  thi.

Phir rumor tha ki school mein bhoot dekha gaya hai aur aise incidents bhi huye hai. Bhai mana mostly har roz hum jaise bhoot aate hai school but iska matlab yeh thodi ki asli bhoot ka rumor  uda diya jaye. We are cute bhoots.

Phir chhote hote yeh zid hoti thi ki har book aur copy bag mein honi chahiye bhale copy pe kaam ho na ho. Aur iske chakkar mein jo back ka bura haal hota tha kya batayein. (lmao kitne syaane bache the hum. ab toh jis subject ka lecture hot hai usski notebook bhi nahi laate)

Chote hote to jo 10th ka result sunke halat hoti thi na especially yeh sunke ki bacchon ne maths mein 100/100 liye hai tab yeh haal hota tha ki kaunse bhagwaan hai yeh log jo itne marks le liye humare toh na aane waale.

Woh alag hai ab pata chal gaya ki possible hai 100/100 lana. (possible to hai humara kya banega ye nahi pata)

Chalo bohot baatein hogi is part mein agla chapter padho ab

Eknoor













Chamber of MastiWhere stories live. Discover now