Yuhi Chala Chal Rahi!

280 29 2
                                    

"Abhi.. Abhi, Mere bhai, Time please!!", Pratik tries to speak up while panting heavily.

Abhimanyu stops running behind Pratik in the cabin. They settles down on the sofa. When breathing becomes even, Pratik looks at Abhimanyu.

"Abhi yaar, I'm sorry. But kya karu? Tu bhai se bhi badhkr hai mere liye. Tujhe yun roj roj apne aap se ladhte huye nahi dekh sakta. Tujhe dil se khush dekhna chahta hoon. Kya pata iss dating app ke jariye tujhe tera true love mil jaye! "

"True love? Aisi koi cheez iss duniya me nahi hoti. Aur ladhte huye? Absolutely not!"

"Yeh baat apne dil par haath rakhke aur meri taraf dekh ke bol. (Abhimanyu's sight gets down) nahi bol sakta na? Yahi toh main keh raha hoon tujhe. Bas kar yaar. Jo ho chuka hai, use toh tu badal nahi sakta. Kam se kam apne aane wali jindgi ke baare me, Maa ki khushiyon ke baare me toh soch. "

" Pratik aaj tak Maa ke khushi ke liye sab kuch karta aaya hoon. Aur aage bhi yahi mere life ka maksat hoga. Aur Maa ko khush dekhne ke liye mujhe shaadi karne ki jarurat nahi hai. Shaadi, pyaar sab delusion hota hai. Aur tujhe example deke samjhane ki jarurat nahi hai. Haina?"

"This! Exactly This! Tune ek baar bhi apne aas pass ke happy relationships dekhe hai? Nahi... Kyuki tu dekhna hi nahi chahta. Har baar ya toh Maa-Papa ya phir mere aur Ankita ke rishte ka excuse deke baat ko taal deta hai. Tumhare uncle aur aunty ka rishta nahi dikhayi deta tujhe? Woh bhi ek dusre ke saath khush hai na? Toh - "

Phone buzzes..

" Hello, Dr. Abhimanyu, please come fast in accident ward. There's an emergency."

"Okay coming.."

He rushes out of the cabin picking up his apron and stethoscope.

****

After duty hours, Abhimanyu leaves for home.

"Maa... Maa", Abhimanyu calls Manjiri while going in his room.

"Abhi, fresh hoke jaldi se niche aa. Tujhe bohot jaruri kuch batana hai. "

Abhi comes down. And throwing up himself on the sofa -

"Maa aap kuch jaruri batane wali thi na?"

Manjiri comes with a bowl in her hand. Abhimanyu tries to smell when he felt it familiar. He ecstatically gets up and grabs the bowl from her hand -

"Gajar ka halwaaa.... I Love Youuuu Maa..."

He starts eating it hastily.

"Dhire dhire kha Abhi!"

"Lekin Maa aaj achanak Gajar ka halwa? kis khushi me?"

Manjiri stumbles initially but then speaks, "Abhi, main na phir se music classes shuru karne ke baare me soch rahi hoon. "

Abhimanyu invigoratingly replies, "Maaa isme sochne wali kya baat hai?! Main toh kabse aap ko keh raha hoon aap phirse music classes shuru karo, lekin aap sunti kaha ho. Bas ab kar dijiye."

Abhimanyu continues stuffing halwa in the mouth while Manjiri looks like losts somewhere.

When Abhi glares at her, he snaps the fingers in front of her eyes. It breaks her reverie.

" Kaha kho gayi aap?"

" Kuch nahi bas aise hi.."

"Maa aapne music classes start karne ka faisla kiya, yeh acchi baat hai. Lekin kya main aapse pooch sakta hoon, aapne suddenly kyu mann bana liya?"

"Socha jis wajah se sab kuch khatam hua tha usi wajah se shayad sab kuch wapas bhi mil jaye."

"Matlab?"

"Matlab tere papa aur mere rishte me darar mere music classes shuru karne ki wajah se aayi thi. Unki ego aur pichdi huyi soch ki wajah se main kabhi apna sapna pura nahi kar paayi. Lekin main aaj Anita se mili. Anita Meri saheli. Toh baaton baaton me usne kaha ki uske ghar me 2 ladkiya as a paying guest rehti hai. Bohot pyaari  hai. Unme se ek singer banana chahti hai. Par use ek music teacher aur guidance ki jarurat hai. Woh abhi jyada paise dekar music classes join karna afford nahi kar sakti. Toh socha apne tajurbe se use kuch sikha pau. Haa main itni mahan singer nahi hoon. Par apne experience aur jo bhi sangeet ka gyaan hai use kisi ke saath share toh kar sakti hoon na! "

" Bilkul kar sakti hai. Aur kisne kaha aap mahan singer nahi hai? Mere liye aap duniya ki sabse best singer, sabse best maa aur (Looking at halwa and gobbling the last bit in the mouth) sabse best cook ho. Go for it! Aapka beta humesha aapke saath rahega."

" Thank you beta! Meri himmat badhane ke liye!"

" Waise uss ladki ka naam kya hai?"

Teasing him," Tujhe itni dilchasbi kabse hone lagi? Woh bhi ladki ka naam janane me? "

Sternly," Main isliye pooch raha tha kyuki woh ladki humare ghar aati rahegi classes ke liye. Aur hum aise hi kisi ko ghar me kyu aane de? "

" Tu uski chinta mat kar. Maine sab information le li hai Anita se. Toh kya kehte ho tum log, haa, Just chill! "

"Okayyyyy! Ab jab aapne sab taiyari kar li hai toh (hugging her) all the very best Maa!"

***






Adhure Tum, Adhure Hum!!Where stories live. Discover now