Amma arrived shortly after with more treats for Imlie and Aryan and went into the room to find a worried Imlie staring at a blank wall..A mothers love -
"Come to me in your summer time, when our laughter is as the daisies in the grass. Come to me in your winter time, when you feel as if ice freezes your heart and blood. For I am your shelter, your guardian, your forever home... always with an open door, the key always in your pocket, and a love that is always your"A- Imaliya kya hua tu kuch tension mai lagat hai?
I- kuccho nahi amma , aap woh sab chodo, I don't want to trouble you the moment you have come here, Arav and abhi just slept but they should be up in sometime you can play with them then.. abhi humse baatein karo tum
A- toh humka bata kiss baat se Pareshan hai tu? Aur Yeh Aryan Babu kaha gaye?
I- tum tohar Aryan babu se hi puchlo
Woh kaha Gaye Amma! mujhe toh kuch batate hi nahi aaj kal , sirf apne mann ki karte hai!A- par imaliya woh tose aur bachon se kitna pyar karat hai , koi karan hoga na
I- very good Amma! abhi tum bhi apne damad ki tarafdari karo!
A-chidat kahe hai , saaf saaf bol kya hua hai?
I- amma har bar ABP humka bina bataye jaat hai , pehle godh bharai ke vakt, phir jab hum hospital mein thi phir humri delivery ke time! Aur har bar kuccho bura hot hai, ukka humre darr samjjat bhi nahi hai... kabhi kabhi toh lagat hai Yeh partner partner bhi dhong hai... koi aisan baatein chupata hai kya apne partner se?
A- Imaliya tum shant ho ja pehle ... gudiya pata hai tu aur Aryan babu humka kabhi kabhi apni aur Satyakam ki yaad dilavat hai
I- kya bol rahi ho tum amma? Baba kabhi aisan nahi karat Rahe!
A- tere liye toh tohar baba perfect rahe, humse puch kabhi kabhi to Satyakam hafte hafte gayab hota tha aur hum ghar mein akele tere saath, mana hum Dono pati patni nahi the par partner toh hum bhi the na !
I- hmmm toh aapne apne aap ko kya kehkar sambhala?
A- kisi ke saath rehkar akela hone se accha usse door hokar saath rehna hai
I- matlab amma?
A- matlab ki hum janat rahe tohar baba humse aur tujhse kitna pyar karat rahe aur woh dur the toh woh bhi humar khatar , takke ukka kaam ki parchai, humka koi taklif na de... par woh hamaar barre ma harpal sochat rahe na Imaliya? Kitni baar ghar mein ration khatam hone se pehle hi aajata tha, tohri school ki fees toh humne kabhi bhari hi nahi, aur jabhi bhi tu ya mein bimar hote the toh tohar baba pura hospital ghar pe le aate the, yaad hai na tujhe ?
I- han amma yaad hai! ABP bhi humar aur bachuan ke bare mein Bahut sochat rahe , humri hamesha chinta karat hai! kabhi humka sambhale vaaste godh bharai ke vakt doctor madam ko bhejat rahe, kabhi humka hospital mein chupkese milne aate rahe, chitthi likh kar...kabhi Chini se baat karkar humar door se hi khayal rakhat rahe aur apni jaan ki parvah bhi nahi karat rahe.....
Imlie started crying and Meethi hugged her tightlyI- hum ukka bahut bura bura bolat rahe amma, ukka thik se bye bhi nahi kiye hum..hum kitna dukh diye ukka, ukki puri baaat bhi nahi sunne hum...
A- Tera ghussa bhi jayaj hai Imaliya , Aryan Babu ghar ayenge tab tum Dono shanti se baat karna... rishta banana asan hot hai gudiya nibhana utna hi mushkil..
I- par maa har bar hum hi usse bolne jaate hain?
A- Aryan babu ko janat hai na tu , woh Khulke baat nahi karpate.. andar hi andar saari buri baatein rakhne ki aadat hai ukka...woh hamesha sab kuchho bolne ki zaroorat nahi samhajte....par tu thoda unka nazariya samhaj aur apna bhi shanti se samjha ukka...
YOU ARE READING
Arylie a family is born- Part 2
FanfictionThis is a continuation of the earlier thread which was about Imlie and Aryan coming together and starting this family, this story is set in the future with them battling Aditya Kumar Tripathi and other usual villains and coming out stronger and also...