Dev was called inside to doctor's cabin.
Dev : Kya baat hein doctor ?
Doctor : Mr. Dev expert doctors se baat ho chuke hein. Yahan India mein shayad utne advanced medical treatement nahi hein. Par UK mein hein. Jitni jaldi ho sake agar hum Vidhi ko U.K le jaayenge aur treatement karenge toh bachne kee chances hein. Par dhyaan rahe kee use safely le jaaye. Journey mein usse zyada thakan naa ho jaaye .
Dev : Iska matlab meri Vidhi theek ho jaayegi doctor ?
Doctor : Mr. Dev hum doctors hein, bhagwan thodi hein!! Bharosa rakhiye aur patient ko bhi hausla deejiye . Dhyaan rahe kee usse mental stress naa ho. Yeh toh ek attempt hein, mein 100% assurance toh de nahi pawunga . Par uske betterment kee chances wahan zyada hein. Mein baat karunga wahan kee doctor se . Iss mein bahut kharch bhi ho sakte hein.
Dev : No problem doctor. Mein puri duniya mein jahan pe bhi iske ilaaj ke liye jaana hein har uss jagah pe Vidhi ko leke jawunga. Uska theek hona bahut zaruri hein, uske family ke liye , mere family ke liye aur sabse zyada mere liye.
Doctor : Theek hein toh mein baat karta hoon UK ke hospital authorities se , aap filght bok kara deejiye aur leke jaayiye Vidhi ko.
Dev : Ji !!
Dev came out from the cabin.
Satyawati : Dev doctor ne kya kahan beta ? Dev!!
Dev : Maa humein himmat nahi harni chahiye. Vidhi ke bachne kee umeed hein, ek bharosa hein. Uske liye UK jaana hoga kyunki wahan hi isske treatement hein.
Satyawati ; Hey Mahadev !! Aapne meri prarathana suni .
Hariprasad : Dev saab!!!
Dev : Hariprasad ji!! Maine joh vaada kiya hein aapse kee aapki beti ko sahi salamat lautawungi usse har haal mein nibhawunga . Mein hum sab ke liye tickets book karta hoon .
Bimla ; Devji !! Dil kee daura padne kee baad inki haalat utne theek nahi hein. Waise bhi mein yahan Maa Milapini kee aage puja paath karungi kee Vidhu theek ho jaaye. Aur inka khayal bhi rakhungi, aap hey naa Vidhu ke saath toh humein kis baat kee chinta.
Hariprasad : Haa Dev saab. Mein hazar baar roz subah shaam Milapini Mata kee mantron kaa jaap karunga aur din mein ek waqt ke khaana bhi tyag dunga . Meri bacchi bas theek ho jaaye.
Dev : Aap please apna dhyan rakhiye , sehat kaa khayal rakhiye.
Satyawati : Dev beta yeh safar tujhe akele karne hein Vidhi ke saath . Wahan jaake jeetke aa jaa mera beta. Hum sab intezar karenge tumhare aur meri hone waali bahu ke liye.Aur waapis aane ke baad Abhi, Priya mein hum sab milke tere sagayi kee tayarriyan bhi karenge . Kitna kuch karna hein Dev!!
Dev : Maa mujhe aashirwaad deejiye taaki mein kismat ke lakeeron ko bhi badalke Vidhi ke kismat mein rang bhar pawun .
Satyawati :Haan beta , Jeet tumhari sacchi pyaar ki hogi .
Dev went again to the ward where Vidhi was admitted. Vidhi opened her eyes and smiled.
Dev : Abb kaisi tabiyat hein tumhari ?
Vidhi : Abb theek hein. Bas thakan ho rahi hein.
Dev : Vidhi tumne kabhi UK gayi hein ?
Vidhi : Kya sir aap bhi ? Meri ittu see duniya aapko pata hein . Phir kyun mazad uda rahe ho ?
Dev : Toh tayyar raho . Hum UK jaa rahe hein.
Vidhi : Kya ?
Dev : Haan Vidhi.
Vidhi : Par mere tabeeyat theek huyi nahi puri tarah . Toh kaise jaayenge ?
Dev : Mein hoon naa tumhare Dev Sir. Mein leke jawunga tumhein.
YOU ARE READING
UNBOUNDED LOVE -DeVidhi Short Story
Historia CortaThere is no boundaries for love as it comes from heart . Passing all the hurdles will the tale of age gap love may get succeed or not ? For knowing it please read my story.