Have we met before?

190 27 27
                                    

Shaurya- Have we ever met before?

Anokhi- What do you mean? Aapko sir pe chot lagi hai? I am Anokhi aapki student.

Shaurya- Pata hai. I mean not literally.  But we haven't met in this capacity right?

Anokhi- Haan?

Shaurya- As you know. Husband and wife. But thoda hurt hoon. Agar meri yadash chali jaaye toh tum pehle yeh kahogi ki tum meri student ho? Tumhari yadash ko kya hua hai? Mein pati hoon ab tumhara.

Anokhi- Sorry I mean thodi der pehle hi decide hua naa ki hum pati patni honge.

Shaurya- Decide toh kab ka kar lia tha.

Anokhi- Tumne!

Shaurya- Aur mere eliva tumhara kisi aur se kya vaasta!

Anokhi- In theory yes, but I guess, I would want ki I mean tumhari family se mere jhagde naa ho. And this should be a non-melodramatic happy family.

Shaurya- Toh yeh impossible dream hai. Tumhare aane se pehle agar dad ko subtract kar doon toh family happy thi par tab bhi melodramatic thi. Especially badi maa. Saas hone se pehle hi saas thi. Aur unka first topic hota tha ki bahu rasode mein toh hai naa! Aur agar rasode mein nhi hai toh kuch toh gadbad hai. Alok is Freddy. Badi maa was two in one. Saas as well as Acp.

Anokhi- Tum bohot funny ho.

Shaurya- Yeh toh acchi baat hai. Iska matlab hai ki tum muskurati rahogi. Achaa hai.

Anokhi- Shadi ho gyi hai flirt karne ki zaroorat nhi.

Shaurya- Shadi ke pehle flirt kahan kia. Ab toh karunga. Apni wifey se flirt. Waise ek baat kahun. Shadi ka khana bohot achaa tha but mujhe naa ice cream khane ka mann hai. Chalogi bahar se ice cream khake aate hai.

Anokhi- Iss waqt?

Shaurya- Nhi kal breakfast mein.

Anokhi-Ok chalo. Mein change kar leti hoon. Fir chalte hai.

Shaurya- Waise I have a small gift for you. Ek kurta lia tumhare liye. Woh pehnogi.

Anokhi- Abhi kuch heavy nhi pehna. Shaadi ka joda kam bhari tha kya ki ab firse kuch heavy pehnu.

Shaurya- Nhi yaar. I promise. Easy breezy hai.

And it was really a simple blue long kurta with a slit and minimal neck work in white.

Shaurya- Ok?

Anokhi- Yes perfect.
They change and slip into the street.

Anokhi (In her mind)- Yeh khud ki kehte hai mein inki biwi pehle hoon student nhi. Aur khud hi itne door khade hue hai. Mera hath toh pakad hi sakte hai. I mean mein choti hoon. Unko initiative lena padega naa inn cheezon mein...

Shaurya (In his mind)- I know thodi shy hogi but hath toh pakad hi sakti hai. I mean mein usse uncomfortable nhi karna chatha toh...

Anokhi- Waise aap itne chup hi rehte ho humesha. Ab toh hoon naa mein. Fir baat kyu nhi kar rhe. Itne silent type kyu ho.

Shaurya- Generally tum hi bolti ho. Tum bakbak karti ho matlab sab bakbak kare zaroori toh nhi. Kuch log shant swabhav ke hote hai.

Anokhi- Hawww! Agar pata hota toh shadi hi nhi karti. Mujhe aise shanti mein chalna boring lagta hai. Mujhe laga aap thoda romantic hone ke liye, baatein karne ke liye mujhe bahar laaye ho.

Shaurya- Accha. Shant hoon but romantic hone ke liye bolne ki kya zaroorat. In fact I guess kuch nhi bol sakte.... I mean logically not possible. I mean atleast in kiss stage. Hai naa wifey?

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now