Riot Scene Recreation-1

132 27 23
                                    

This is a recreation. In this case Shaurya and Anokhi have to stay in hiding for long as the riot escalates and they don't find any way out.

Shaurya- Tum samjh kyu nhi rhi thi? Ki hume yahan se chale jaana chahiye tha. Dekho ab fas gye. Aur itne bure fase ki kal subah tak kuch naa ho paega.

Anokhi- Aap shukar manaiye bas Aastha Ma'am theekh hai.

Shaurya- Arre tumne yahan rehne ki zid naa ki hui hoti toh ghar pe hote unse mil liye hote.

Anokhi- Jo bhi hai. Ab kya kar sakte hai. Aur waise agar aapne unhe woh sab sunaya nhi hota toh ma'am kabhi gayab hi nhi hoti.

Shaurya- Toh tumne unhe bulaya kyu! Agar woh Kapurthala chali jaati chup chap toh yeh sab hona hi nhi tha.

Anokhi- Haan har cheez ka blame aap mujhe hi kariye.

Shaurya- Not really. Jab itne saal pehle woh gyi ghar chodke. Woh galti sirf sirf unki thi. Naa tumhari, naa meri. Meri galti kaise ho sakti hai. Tab toh mein bacha tha. Maine unse kahan bhi tha ki kabhi pareshan nhi karunga. Fir bhi woh chali gyi.

Anokhi- Aapko kya pata woh kyu gyi? Aapko dimag mila hai naa toh uska use bhi kijiye. Not just jo dikh rha hai jo hua uske basis pe aise rudely apni maa se baat kar liya.

Shaurya- Anokhi! Can you just stop! Tum unki student ho. Unki beti nhi. Don't mix it. She can be a great teacher and I know. Paper mein aaya tha. Maine unka interview bhi padha. Par.... It is not the same. Jaise tum amazing student ho. But don't mind thodi childish ho. Jisse lagta hai sab kuch itne easily resolve ho jata hai. Taang mat adao. I guess hum dono ek dusre se nhi milenge toh hurt bhi nhi karenge ek dusre ko.

Anokhi- Toh aap ko kuch feel nhi hota ki woh nhi hoti!

Shaurya- Anokhi! Please. Just because mein yahan se kahin jaa nhi sakta uska fayda mat uthao. Meri majboori ka fayda uthana tumhe sahi lagta hai kya? Zor zabardasti se agar tum baat manwa bhi lo jabse mein dil se feel nhi karu uss cheez ka kya meaning hai. And this isn't about you changing things in a minute or a victory! Your victory in convincing me or repaying your teacher. This is my life. So please stay out of it. And especially now. When I am stuck with you here. Can I expect itna from you? Ceasefire karte hai abhi iss topic pe. Kal discuss karenge. Jab hum dono mein se koi majboor nhi hoga. Right now you need to save your energies as tumne kuch nhi khaya hoga I guess. Kyunki tum breakfast ke liye jaati toh class miss ho jaati.

Anokhi- Aapne bhi nhi khaya hoga. I know aap utne bure nhi ho.

Shaurya- OK so I need to make these sacrifices to prove I am a good son. Well I had food. I had paratha. And you should have eaten something too. You can't search for something on empty stomach. You can't be there for someone, if you aren't for yourself.

Anokhi- You want me to believe you ate a paratha?

Shaurya- Yes. I know you will judge me for it. But I did. Anyways. Let's just not talk.

Anokhi- Toh aur kya kare? Bore nhi ho rha? Yahan par aur karne ke liye kya hai?

Shaurya- Aasman dekhlo tum. But I want some shanti.

Anokhi- Shanti? But mein bore ho rhi hoon.

Shaurya- Tum ek kaam karo so jao.

Anokhi- Aise or yahan? Ek random shop mein? Jo pata nhi kiska hai. Aur bahar yeh sab chal rha hai.

Shaurya- Huh... Haan yes. Because there is nothing we can do. Ek kaam karo tum chup chap so jao. I know bistar, Kamal nhi hai but iske baad tum aaram se kahin pe bhi so jaana. Mere lecture bhi so jaana aaram se. But abhi chup rho aur peeche adjust kar lo.

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now