Office me tarah tarah ki baate ho rhi thi....Rhea aur sana jo haya ko bilkul pasand nhi krti thi....haya ke baare me sabse keh rhi thi ki..."vo acha banne ka natak kar rhi hai..
Is hijab ke piche ek lalchi ladki hai...
Vo Zain Sir ko phasana chahti hai...
Dekha nahi kis tarah hamesha chipak ke rehti hai...
Has haske baaten karti hai...danish ko bhi phusla rhi hai....varna aaj ke zamane me koi itna accha nahi hota...."Haya or Zain corridor se guzar rhe the...tabhi kuch logo ke baat krne ki awaz aai...
"Tumne suna....vo haya ke baare me....
"Haan haan me to pehle hi kahti thi...koi itna accha nhi hota"
"Rehne do tum to uski murid bane ja rhi thi"
"Vese bat to sahi hai....kitne acche se baat krti hai na ki me to phas hi gai thi....huh chalak!"
"Vo to zain sir ko phasana chahti hai....accha banne ka natak lr rhi hai.... lalchi hai bohot..."
Zain office ki tarf chal diya.....haya ko hairani hui ki usne kuch nahi kaha....use laga tha zain uske liye stand lega.
...........
Haya ne koshish ki, ki vo kaam par dhyan de or logo ki baato par nahi, lekin use reh rehkar baate yaad aa rhi thi,,,,ye to sirf vo tha jo usne suna tha,,,or jaane kya kya keh rhe honge log.
Vo file team ko dene ke liye employee section ki taraf badhi, usne apna pehle jaisa bartav jaari rakha, muskurakar aage badhi,
"Ayaan, ye file sir ne di hai ise check karke ahar kuch correction ho to vo kar den or pichli baar jo contract ki details thi unme kuch clause ko tumne....
"I know i know,,,,tumhe batane ki zarurat nahi hai mujhe kaise karna hai apna kaam"
Ayan ne itna rudely jawab diya ki haya ek pal ko sakit reh gai."Tum to ye batao...." Ayan ek kadam aage badha, "kab milogi phir mujhe....akele me"
Usne akhiri do lafz dheere se kaheHaya ke kaan saay saay krne lage,,,,usse ab or nahi raha gaya....or usne ek tamacha khichkar ayan ko mara
"Tadaaak......"
Or saare logo ko nazre unki tara ghoom gai.
"HOW DARE YOU"...."tumhari himmat kaise hui mujhse is tarah baat karne ki"
Use ghinn kaa rhi thi. To ye sab chal raha tha uske piche, jin logo ke sath usne acche talluk banane ki itni koshish ki....jinki itni help ki...vo aaj uspar bebuniyad ilzam laga rhe the.
"Ye kya ho raha hai yaha?" Rhea ko awaz aai.
"Rhea...isne..isne...mujhse badtameezi se baat ki"
"Oh really Miss Haya !.....koi aapse kuch bolega to aap use thappad marengi?"....itni zyada powerfull hai aap"
Rhea ne magrur andaz me kaha"Ye galat baat hai...."
"Aise kaise kar skti hai..."
Or kai awaze aane lagi....sab use galat smajh rhe the...koi Ayan ki badtameezi nahi dekh raha tha.
"Tumhe kya lagta hai Haya,,,,tumhe gul khilaogi or hame khushboo nahi aayegi? ....haan?"
Is baar Sana ne muh khola.
" Tum jaisi ladkiya accha bnne ka natak krti hai....asli rang kuch or hi hota hai'
Vo hava me hath lahra lahra kar bol rhi thi.Lekin Haya sunne vali nahi thi
"Just shut up! Tum log kis buniyad par ye ilzam laga rahe ho mujhpar...mene kya bigada hai tumhara?" "Mene kabhi aisa nhi socha...tum sabhi mere colleagues ho...hum sath kaam karte hai...tum mujhe is tarah beizzat nahi kar skte"
Haya rundhi hui awaz me apna defence karne ki nakaam koshish kar rhi thi.
YOU ARE READING
جستجو justajoo
RomanceEk aisi ladki ki kahani jise zindagi ne aise mod par laker khada kiya jahan justajoo to thi magar ek tarfa, galatfahmiyo ke bahaw ne jise mohobbat ke kinare se door kar diya, vo jitni jhukti gai utni hi tootati gai. kahani ek aise ladke ki jise zind...