Fajr ki azaan ho chuki thi , vo aankhe masalte huye jaagi, ghadi par ek nazar daali, aur chadar hatate huye apne bistar se utri, azan ka jawab dete huye usne wuzu ke liye bathroom ki taraf kadam badhaye. Uska roz yahi mamool tha.
fajr ki namaz padhke usne dua ke liye haath uthaye." Allah ta'la me tujhse dua karti hu ke jo zindagi tune mujhe di hai use bekar mat banana me teri marzi ke kaam karna chahti hu deen ka ilm tune mujhe diya hai me uspar amal krna chahti hu or haan ab to meri umr bhi ho gai hai
Me kisike ghar ki zeenat banna chahti hu mera rishta kisi acche deendaar gharane me karwa de, kisi aise insan se jo meri izzat kare mujhse mohobbat kare or hum zindagi ka safar khushi khushi tay krte jaaye"Or kai saari duayen usne Allah se maangi vo hamesha aisa hi karti thi, Allah ke saamne apna dil kholkar rakh deti thi. uski zindagi ka wahid maqsad apne rab ko raazi karna tha vo ek acchi insan banna chahti thi.
Bachpan se hi vo ek sidhi Sadhi ladki thi jo 10 saal ki umar se apne moholle ke madarse me taleem hasil kar rhi thi. Usne madarse se Quran ka ilm hasil kiya or sath hi BA ki degree bhi hasil ki thi. Vo bohot honhar thi use bohot acchi English bhi aai thi vahi urdu to uski jaan thi. Kitabe padhna uska shauk raha hai, Vo ek zindagi se bhari hui ladki thi, jo khush rehna or aas pass ke logo ko khush rkhna janti thi. Himmat or confidence usme khoob tha. Or ab vo 20 sala ki ho chuki thi vo abhi madrse me hi padha rhi thi or sath hi ek English medium school me teacher bhi thi. Ye kaha ja skta hai ki uski zindagi acchi guzar rahi thi.Madarse me-
"Beta Haya jume ka ijtima bohot accha tha tumhar dars to aur bhi badiya tha" Mrs.
Bilkis haya se keh rhi thi. Aaj har hafte ki tarh jume ka weekly program chal rha tha jaha Haya or uske sathi alag alag topics par speech dete the or islam ke baare me batate the."Shukriya khala" vo bas itna hi keh saki kyuki tareef sunna use khas pasand na tha.
"Haya me tumhe pichle kai mahino se dekh rhi hu mashallah tumme bohot qabiliyat hai, beta aage ka kya plan hai" Mrs Bilkis kehne lagi.
" Bas yahi karna hai khala , ilm aam karna hai
Logo ko padhana likhana hai (or shadi bhi to karni hai , shadi krke ghar basana hai phir vaha bhi padhana likhna hai) usne man me aadhi baat sochi , use apne se umr me badhi apni maa jaisi Mrs Bilkis se kehne me shrm aai to usne aadhi baat keh di."Beta bohot ache, Allah tumhe sabit qadam rakhe , ab me chalti hu driver aa gaya hai"! Akhiri baat kehte huye vo uth khadi hui or salam krke jaane lagi. Haya unhe jaate dekhti rahi. Ye vahi Mrs, Bilkis thi jise usne kai baar Quran sunte huye rote dekha hai. Lekin use vajah samajh nhi aai, vo ek ameer ghar se thi, unka beta ek badi compani ka ceo tha, jo abhi ek do saal pehle hi is shahr me khuli thi jiski vajah se unhone madarse aana shuru kiya tha.
Haya sochti rehti thi na jaane kya gham hai unhe, ki daulat hai magar sukoon nahi.
_______________________________________________Driver ne car ek alishan ghar ke aage roki.
Mrs Bilkis car se utri or ghar ke anadr dakhil hui.
Alishan ghar jo suna pada tha. Jahan sirf Mrs Bilkis or unka beta rehta tha. Rehta kya tha sirf sone aata tha or subah hote hi office nikal jaata tha.Ghar ki veerani dekhkr ek baar phir Mrs Bilkis ki aankho me aansoo umad aaye. Or vo apne kamre me chali gain.
_______________________________________________
Office me-
"DUBEY TUMSE ITNA BHI NAHI HOTA TO OFFICE KYU AATE HO!!"
Uski awaz me aisa raub tha ki saamne khada dubey Kanp utha.
" Sir ek chance or de dijiye me aage se dhyan rakhunga"
Dubey iltija karte huye bola.
Tumhe ek chance or deke me apni company nahi dubana chahta, NIKAL JAAO YAHA SE !!
Dubey darta hua vaha se chala gya.Cabine me ek ajeeb sa sannata chha gya.
Zain ne table par rakhe paani ke glass ko uthaya pani piya. Gusse ki vajah se uska chehra laal hua jaa rha tha. Aaj dubey ki galti ki vajah se bohot bada nuqsan ho jaata. Zain ki company ne jaha invest kiya tha vo band hone ki kagaar par aa gai thi kyuki dubey ne report dene se pehle company ke baare me search nahi kiya or report Galt banadi. Usi bina oar Zain ne company me invest kar diya. Jo ab nuksan de raha tha."Danish ! team se kaho ki dubey se sabaq le or apna kaam theek se kare varna dubey se badtar haal hoga"
"Chill kar yaar ho jaata hai"
Zain ne ek teekhi nigah danish par daali
"Okay me chup hun" ye kehkr danish ne muh par ungli rakh li.
Zain ek clever businessman tha, uski field me koi uske barabar ka na tha, vo 25 saal ki umar me utni badi company sambhal rakha tha.
Sirf zain hi janta tha ki vo aisa kyu kar rha hai. Apne baba ke sapne ko poora krne ke liye.Jab Zain ghar pohuncha to uski maa uska intezar kar rhi thi.
" Beta khana kha lo"
Lekin Zain unhe nazar andaz krta hua apne kamre ki taraf jane laga.
"Bata plz khana kha lo bade pyar se bnaya hai Mrs Bilkis sarapa iltija hui.
"Mujhe bhook nahi hai"
Kehkar Zain apne kamre me chala gaya.Apni Maa ko apne aas pass dekhna use kitna nagavar guzarta tha vo bata nahi sakta...Mrs Bilkis uski maa thi magar vo unse anjaano ki tarah bartav karta tha. Maa ke sath uske maazi ke ghere ghaav jo jude the.
"Apni Maa par kabhi bharosa mat krna "
Ye alfaz aaj tak uske kaaano me gunjate the.
------------------------------
YOU ARE READING
جستجو justajoo
RomanceEk aisi ladki ki kahani jise zindagi ne aise mod par laker khada kiya jahan justajoo to thi magar ek tarfa, galatfahmiyo ke bahaw ne jise mohobbat ke kinare se door kar diya, vo jitni jhukti gai utni hi tootati gai. kahani ek aise ladke ki jise zind...