Intezaar.. Kehne ko o ye sab bahut chota hai
Par intezaar ka matlab vo hu samaj sakta hua jisse kise chiz ka besabri se intezaar hoa
Ye kahani shuru hote hai bahut saal pahle rajan jii ne apne bete pami ke shadi bahut hi dhum dham se apne dost ke bete se karvate hai par bhagwaan ki marzi samjhe yaa durghatna jab pami 9 month ko pregnant thi tab unke husband ka death hoa gay unke sasurla valo ne unhe aur unke bachi jisne janm bhi nahi liye unhe apsagun panoti dyan naa jane kya kye keh kar unhe gahr se nikal diya pami kon kaha gaya ki unki bete manhoos hai janm se pahle hi apne pita ko khaa gaye
Pami ji tuti bikhari apne ghar laut ate hai usse uski bhabhi rita jii ne khyal rakha unke dukh ko bhulane me unki madat ki kehne ko to bhabhi thi par unhein ek maa ek behen ka farz nibhaya
Sidhart zain jo ki chote the par unhe intezar tha ane vale mehmaan ka undono ne milkar uska nam bhi rakh diya tha ki ladka hoga to ye nam aur ladki hoge to ye nam
Phir ek samay aya aur pami ji ne ek pyari se guriya ko janm diya
Sid aur zain ne uss guriya ka nam shehnaaz rakha
Pami.. Bacha ye shehnaaz kyu iska matlab kya hai
Sid... Shehnaaz meaning naaz humar ghar ki naaz
Sid zain chote the par vo uska bahut khyal rakkhte the
Ratna rajan apne bete ko akela nahi dekh sakte the unhone use bahut baar dusre shadi ke liye kaha par pami kabhi nahi mani
Ashok aur rita ji nee bhi ratna aur rajan ko samjya ki pami ko force na kare
Vo sab happy family ki tarah rehte the
Sid zaim shehnaaz kahu to best friend the
Shehnaaz 3 saal ki thi zainl 5 saall ka tha sidharth 10 saal ka tha
Sidharth bada tha aur saamjdaaar bhi vo humesha apne bhaai aur apne naaz ko protect karta tha
Zain aur sana ko humesha ki taraah ladte hai aur hamesha ki taarah naaz aapne Sid ke pass jate hai complain karne ke liye
Sid apne kamre me bethe study kar raha hota hai tabhi shehnaaz rote hua ate hai vo Sid ke harh se book ko nich rakhti hai aur uske lap par jaa kar beth jate hai aur rone lagti hai
shehnaaz ko agar koi data ya vo kise se ladti to vo rotee hua Sid ke passa ate vo hi tha jo usse chuo kara sakta tha
Sid.. Kya hua naaz.. Ek hath se usse ache se pakrta hai taki vo niche na gire aur dusre hath se uske balo ko sehlata hai
Sanas.... Sid zain ne mere doll tor di.. Keh kar rone lagti hai... Haa Sid zain usse bare the par vo humesha hi unhe nam se keh kar bulate thi Sid ka kehna tha naaz unhe nam se bulaye
Sid.. Zain... Cilate hua.. Zain bhag kar ata hai
Zain pov... Isne phirse bahi se mere sikayat kar diya ab Bhai phir se mujhe punishment karege mere baat to sune se rahe par inhe koi bataye inki naaz ne pahle mere baal kiche the iske baad mene iski doll ko feka jo galti se tut gaya
Sid.. Tune iski doll tori
Kusal.. Bhai vo
Sid... Mujhe kuch jana nahi haj mene kaha tha na tumhe ki isse pareshaan mat kiya karo me iski akhon me assu nahi dekh sakta mene bua ko bhi datne se mana kiya hai koi galti hoge to me samjha hu isse par tere vajh se iske akhon me ek bhi aasu nahi ane cahiye
Kisne socha tha ki kabhi vo hi uske assu ki vajh banega
Q... Hum muslim s me cousin ke shadi hote hai mujhe nahi pata hindus me hote ya nahi mene sidharth shehnaaz ka nam change nahi karna cahti thi sidharth shukla shehnaaz gill ye on par acha lagta hai hindus me cousin shadi hote ya nahi pata nahi but agar kise ko iss story se idea yani sidnaas cousin hai kise ko bura laga to I am really sorry plzz galat samj kar maaf kar dena
..... Plz like and comment.....
आप पढ़ रहे हैं
Intezaar ☑️
FanfictionKise ne bachpan se apne pyar ka intezaar kiya par vo kise aur ka hoa gaya kya vo ek hoge ya intezaar adhura reh jayega Sidharth shukla Shehnaaz gilll Sidnaaz