Chapter - 4

548 58 32
                                    

Here's the next chapter....

Anirudh's POV :

Ye Kya ho jata hai mujhe baar baar jab bhi bho mere kareeb hoti hai...
Kyun mujhe uske pass rehne se khushi milti hai aur dur jane se usse bhi jada takleef hoti hai...
Jab use chhuta hoon to na jane kyun dil ki dhadkane apne aap tez ho jati hai...
Na jane kyun jab bho nhi dikhti to nazre bas usi ko hi talasti hai....
Kabhi kabhi to aisa lagta hai bas bho humesha mere sath rahe aise hi kabhi dur hi na jaye mujhse.....
Par kyun ye sab mehsoos kar raha Hoon me... Bho bhi uske liye...
Jo sirf Zimmedari hai meri.... Yahi keh kar laya tha na me use iss ghar me fir kaise ye sab soch sakta Hoon me uske baare me...
Bondita aur mere beech sirf Dosti ka aur Zimmedari ka rishta ho sakta hai isse jada na kuch tha aur na hi kabhi kuch hoga....

Anirudh's POV Ends here....

Bondita's POV:

Jab pati babu mere kareeb hote hai to aisa lagta hai maano meri duniya puri ho gayi ho... Jab Tak ye aankhein unhein na dekh le to dil ko chain hi nhi aata jaise.... Jab bho chhute hai to Dil ki dhadkane tez ho jati hai..... Aur jab meri nazre unki nazro se milti hai to na jane kyun me unme kho jati Hoon.... Aur jab bho mere sath hote hai to dil ko ek alag hi sukoon milta hai aur jab dur jate hai to Mann bechain ho jata hai....
Me ye to nhi jaanti ye sab mujhe kyun feel ho raha hai par itna zarrur janti Hoon pati babu bina meri duniya adhuri hai me adhuri Hoon......

Bondita's POV Ends here......

They all were sitting in the hall and were busy in chit chatting on some random topics... But our favourite couple were engrossed in their own thoughts....
Nandini and batuk noticed this but didn't asked anything in front of the family....
Suddenly telephone rang due to it's noise they both came out of their thoughts....
Bondita picked up the call....

Bondita: Hello...

It was Sampoorna maa's call from chandan nagar....

Sampoorna maa: Hello Bondita...

Bondita: Maa aap... Nikli nhi abhi Tak aap dono Rampur se shaam bhi ho gayi hai.....

Sampoorna maa: Hum rampur se to nikal gaye the par raaste me mausam kharab ho gaya to tumhari pisi maa ne Kaha ki aaj raat hum yahin unke ghar chandan nagar hi ruk jaye waise bhi kuch hi samay me andhera hone wala hai....
Bas yahi batane tujhe phone kiya tha ki aaj hum yahin ruk rahe hai... Par Kal shubha Tak aa jayenge....

Bondita: Accha theek hai... me sabko bata deti Hoon....

Sampoorna maa: accha me rakhti Hoon haan....

After ending the call she went back to her place ....

Ksj: kiska phone tha bahu....

Bondita: Bho Sampoorna maa ka phone tha ksj...

Som dada: Maa ka phone bho dono nikli nhi abhi Tak wahan se....

Bondita: Yahin batane to phone kiya tha unhone.... Bho to nikal gaye the par raaste me mausam kharab ho gaya jiski wajah se bho pisi maa ke ghar chandan nagar ruk gaye... Kal shubha aa jayengi dono....

Sameer dada: Chalo accha hai Kam se Kam aaj ke din to chain mila.....

Batuk: Kya Matlab dada....

Sameer dada: aree Bhai jab biwi ghar pe ho to din bhar unke taane suno ya bho kisi baat par naraz ho jaye to unke aage peeche ghumte raho unhein manane.... Aaj nhi hai to kam se Kam ek din ko to chain Mila.....

The Beginning Of Forever ❤️Where stories live. Discover now