BREATHING IN YOUR AIR

1.1K 24 80
                                    

Zindagi kabhi kabhi aise aise sach se insan ko roshnaas karati hai ki insan ke wehm o guman mein bhi nahi hote. Khushiyan kya hoti hain yeh Umeed ko shadi ke in kuch dino mein samajh aane laga tha.. woh Farjaad ki di gayi sirhi se Farjaad ka hath thaamey khushiyon ki bulandiyon ku choone lagi thi Jahan se wo hath barhati toh shayad aasmaan chu leti aur sitary muthi mein qaid kar leti.. zindagi kabhi is se pehle inti haseen nahi lagi thi... woh khush thi.. shadi ke aik maheene tak Farjaad ne kaam se off le kar honeymoon par umeed dunya ghumane laya tha.. honeymoon par ek dosre par muhabbat lutaye woh apni zindagi ke naye khawab bunn rahe thy..

Umeed ki fairytale khuli aankhon se dekhey gaye khawab thy jiska izhaar woh waqtan fa-waqtan Farjaad se kiya karti thi. Jis mein se aik khuwaish Fairytale ke aik ghar ki thi jiska izhaar ke aik beach par bethey kar rahi thi.

"Hum kahin zameen khareed lete hain Farjaad, wahan apna aik ghar banayenge jahan hum har weekend ja kar raheinge"

"Umeed! Merey paas 3 plots hain... ek Karachi mein, ek Islamabad mein aur ek Lahore mein..... Karachi mein ghar banana koi mushkil kaam nahi hai, jab bhi kahogi, jaisa kahogi main tumhein bana dunga".. he was living in another world with her where he can give his life if she would have asked.. yeh to bas aik ghar ki khuwahish thi...

She was happily excited hearing this "kitne bare hain plots???"..

"Yahi koi 10, 10 marley ke"...

"Bas..????? kam se kame ek do kanal to hona chahye na".... she felt disappointed.

"Haan, 10 marla toh kam hain. 2 kanal toh hona hi chahye".. he corroborated..

"Nahi, do na hon, aik hi ho jaye, bohot hai.. hum uss mein sabziyon ka farm banayen ge.. ek parsian cat or kuch chotey chotey cute cute se janwar aur parindey bhi rakhenge.. ek summer house aur ek gazebo bhi banayenge aur ek fish farm bhi"... she narrates all her wishes the way she sees her fairytale house... she was super excited and happy while narrating all this..

Farjaad ko laga ki Umeed ko jagah ka andaza lagane mein koi ghalti hui hai... "Aik kanal mein yeh sab kuch nahi ban sakta Umeed!" he told her in a soft low voice...

"lekin main toh aik acre ki baat kar rahi thi"....

He was freaked out for some time, unable to believe what he heard a moment ago... "Karachi mein aik acre jagah kahan se milegi Umeed..??"

"Karachi se bahar toh mil sakti hai na.?????"

"phir tum ghar na kaho, yeh kaho keh farmhouse banana chahti ho tum... aik farmhouse already ha hamaare paas umeed, tum usi ko redecorate kar lo"...

"Nahi! Main apna ghar banaongi..hamara farmhouse toh bohot pasand hai mujhe.. aik bari si khuli jaga par ek chota sa ghar..jesy koi waadi.. ussi tarah ki waadi mein ek payara sa hamara ghar"... woh abhi bhi apne khawabon mein khoi hui thi...

"Lahore mein bhi mera farmhouse hai, tumhe le chalonga wahan".. Farjaad ne taalne ki aik aur nakaam koshish ki...

"Main Farmhouse ki bat nahi kar rahi... asli wale ghar ki baat kar rahi hon..." umeed abhi bhi wahin atki hui thi..

Farjaad ko laga ke abhi hi umeed ko iss khayali dunya se bahir lana theek rahega warna yeh Farjaad ke gally ki haddi sabit hone wala tha.. woh apni ziddi biwi ko bohot achi tarah janta tha.. "Dekho Umeed, samjhne ki koshish karo.. jis tarah ka mera profession hai, main farmhouses ya shehr se bahar rihaaish afford nahi kar sakta.. kam az kam jab tak main kaam kar raha hoon tab tak mujhe barry shehro mein rehna hai... aur barry shehro mein ab bohot mushkil hai acres mein jaga ka milna aur shehr ki andar acres mein ghar banana..yeh tumhare fairytales aur unn novels mein mumkin hai jo tum parhti hun, real life yeh nahi ho sakta... haan! Jo mumkin aur practical hai woh yeh hai ki main tumhe shehr ke andar aik luxury flat le du ya do chaar kanal par aik ghar bana du ya chalo paanch chey kanal par bhi bnaya ja sakta hai.. lekin shehr mein kisi achi jaga par is se zyada affordable nahi ho sakta.. haan yeh ho sakta hai ke 5, 10 saalo baad mein tumhe Karachi, Lahore ya Islamabad ke bahar aik farmhouse bana du acres mein jo ke mujhe yakeen hai ki ham poori zindagi mein das ya bees baar se zyada wahan nahi jaa sakeinge, yeh sarasar eik safaid haathi sabit hoga..."

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 19 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

FairyTale Romace with FarMeed 💕Where stories live. Discover now