So sorry everyone for remaining inactive because I'm not getting time because of regular school and competing my syllabus.
^_^^_^^_^^_^^_^^_^^_^^_^^_^^_^
Susheela was in the room. Crying burying her face into the pillow.
Minakshi came inside the room.
Minakshi - are..... Aise kyo ro rahi hai?
Susheela - maa....
She looked at her and got up.
Susheela - maa mughe kisi aur aadmi ke Paas nahi jana...
Minakshi - kaun sa aadmi?
Susheela - vo.... Mughe na dusre kisi aadmi ke Paas bhej denge... Ya Phir kisi kothe par...mughe kahi nahi jana....
She hugged her tightly.
Minkashi - pramod ne kuch kaha tughse?
Susheela - ha... Vo... Bol rahe the... Unhone koi teesri aurat dekh li hai... Aur.. Aur ab.... Mughe bhej kar... Kisi aur se biya kar lenge...
Minkashi - are jhooth hai ye!
Susheela - nahi maa sach hai.... Unhone kaha tha mughse...
Minkashi - tu kahi nahi jaegi aur rona dhona band kar... Vo kuch ulta seedha bolta nahi ki teri Ganga Jamuna behni shuru ho jati hai... Chal chup ho ja... Pramod jhooth bol raha hai tughse. Tughe kaise chhod sakta hai vo... Ab ek tu hi to hai uske Paas.. Chal ab chup ho ja...
Susheela - aap... Aap sach keh rahe ho na?
Minakshi - sach hi keh rahi hu.
.......
At night.
Susheela was glaring at him angrily when he entered In the room.
Pramod - saman nahi bandha tune apna....? Chalna nahi hai kya?
Susheela - bilkul... Chaliye... Kaha lekar jaenge mughe?
Pramod - tu sach me chalegi?
Susheela - ha.. Mai to taiyaar hu.. Tijori ki chaabhi maine maa ko saup di hai... Vas ye zevar utar du.. Phir chalte hai...
Pramod - tughe dukh nahi hoga jane ka?
Susheela - ab kaisa dukh? Itne dukh to dekh hi liye maine.. Ab jaha bhi jaungi kisi ko bol to sakti hu na.. Ki maine Thakur Babu ki dusri patni thi... Sab kamp uthenge aapka naam sunkar...
Pramod - tughe sach me jana hai?
Susheela - ha.. Vaise bhi... Mere jitni khoobsurat ladki to kothe pe to kya... Kisi bhi paise wale ke ghar me raaj karegi...bas.. Mughe to ab jana hi hai yaha se... Chaliye mughe chhod kar aaiye... Chahe to kothe pe ya kisi aur Haveli me.
Pramod - tera dimag kharab ho gaya hai! Kaise baate kar rahi.
Susheela - aapne hi to kaha tha... Ki tughe chhod kar teesri le aaunga.. To mughe chhod dijiye kahi bhi....
Pramod - tu yaha se jane ke bare me soch bhi kaise sakti hai
Susheela - jaise aapne mughe bhejne ke baare ne soch liya tha...
Pramod - mai kausa sach me Bhej raha tha tughe.
Susheela - mazak kar rahe the aap.. Aur maine sach man liya....aapko zara bhi nahi laga ki maine kuch sach man liya to mughe kaisa lagega?......
Pramod - mughe nahi pata tha ki tu itna pareshan ho jaegi.
Susheela - jab mera aapke siva koi hai hi nahi.. To aisa mazak karne ka sawal kaha se aata hai!!
She raised her voice upon him.
Pramod - aawaz neechi rakh apni...!
He warned her.
Susheela - kyo?! Kya mai sirf Kehne ki Thakurain reh gayi? Aap jinti chahe utna sanae... Aur mai chu bhi na karu....... Kya auda hai aapki haveli me mera... Jo aapne mazak mughe kothe par bhejne ki baat keh di..... Kya mera samman nahi hai...? Kya aapko nahi lagta ki aurat yadi khareedi bhi jati hai... To use izzat aur Pyaar dono bakshe jate hai.... Mai Manti hu aapne mughe shohrat ki kami nahi hone de... Magar..... Kya ek baar bhi aapne mere dard ko jan ne ki koshish ki.... Aapne to apne bacche ko kho diya.... Aur mughe..... Mughe to meri maa ne hi mughe bech diya..... Mera koi astitva nahi bacha......... Aapka mazak behad bura tha..... Aaj ke baad mai aapse baat bhi karna pasand nahi karungi..... Aur vaise bhi...... Jab mai aapko bacha hi nahi de sakti... To kya zarurat hai mughe chune ki...... Le aaiye koi teesri...... Mai khushi se chali jaungi aapse dur...
She left from the room leaving him standing with a guilt that he hurted her emotions with his each action against her.
Vote - 35
Thankyou 🙂
YOU ARE READING
Pratha (completed)
FanfictionA story which is established on the period of 80's, a fictional story of a pratha that has ruined many lives. What Will happen when this young girl will be sold to the selfish and arrogant man.