"Roohi beta kaha ho aap?? Doodh finish karo, warna bahut pitai hogi "
Itne mein roohi bhag kaar aati hai apne mamu kairav ke paas jo garden mein plants ko paani de raha tha...
Kairav roohi ko godi mein leke bolta hai, " Rooh, kya hua... aise bhag ke kyu aye?? "
Roohi mamuke kaan mein dhire dhire bolti hai, " Mamu, mein doodh nahi khaungi.. Lekin matashree nahi maan rahi.. Isiliye aapke paas aayi, aap bachalo na!!"
Itne mein aaru piche se bolti hai, " Nahi betishree.. Mamu ki yeah baat mein nahi sunungi.. Doodh to aapko peena hi padega.."
Aaru ko kairav isara karta hai and roohi ko keheta hai, " Rooh, agar aapne doodh pe li to ajj hum kahi ghumne jayenge!!"
Roohi excited hoke bolti hai, "sach!! Kaha jayenge hum mamu??"
Kairav and aarohi ek saath bolte hai, " abhir bhaiya se milne masi ke gharrrr!!"
Roohi khushi se bhar jaati hai.. Doodh peke school ke liye ready hone jaati hai..
Aarohi to kairav : Bhaiyaa, Roohi ko uss ghar mein hum ajj le jayenge kyunki court ke baat ki anusar Neil ko roohi pe mera jitna hi adhikar hai.. Or mujhe bhi lagta hai, Roohi needs her dad too.. But Neil ke saath mein uhhbaat nahi karungi. You will handle Roohi there.. Plz bhaiya..
Kairav hugs aaru onehandly and says, " are ha ha, don't worry.. Mein hoon... "
Aarohi smiles and leaves." Shivu, shivu.. Jaldi aa, abhir nikal raha hai school ke liye, tu uske saath ja.. "
Shefali ke bulane pe shivu dourte hua nicche aata hai... Abhir school dress mein khada hai.. Shivu comes and says, " chal abhi.. "
Dono nikalne ke baad shefali bhi nikal jaati hai office ke liye...
Manjiri is busy in the kitchen, suddenly jhagra ka shor aata hai..
"Yeah doono firse suru ho gaye!!"
Manjiri dour ke abhimanyu and akshara ke room mein jaati hai..
"Kya kya hua hai? Kyu lad rahe ho tum doono??"
Akshara : Maa, app hi boliye abhi kitne din ek hi shirt pehen ke jayega??.. Yeahwala shirt hi use pehna kyu hai!!
Abhimanyu : Ma, yeah mera lucky shirt hai.. Ajj ekk critical operation hai, or isliye..
Akshara : Ha, yeah same baat tum tujhe pichle tin din se bol rahe ho...
Manjiri : Accha accha. Ek kaam kar na.. Ghar se kuch or pehenke ja or yeah shirt le ja.. Operation ke aage yeah pehan lena.. Ho gaya!!
Akshara smiles and says, "Ha, yeah to kaar hi sakte hai hum!!"
Abhimanyu also agrees.. Akshara and Abhimanyu both hug manjiri...
"What the hell is this!!!"
Niche se kisika chillane ka ayoas aate hi manjiri abhimanyu and akshara dourte hai niche jaate hai..
Neil sofa ke saamne khada hai and birla house ka ek staff khada hai saar jhukake.
Manjiri : kya hua Neil??
Neil : inse pucho... ek kaam thik se nai hota hai. Kaha tha inhe.. Mere kamre ko saaf na kare... paar nahi inko saaf karna hi hai.. Or karte karte mere important papers ko kaha rakh diya inhe yaad hi nahi aaraha hai...
Abhimanyu : To dhundh lenge hum.. Don't worry Neil.. Gussa matt kar.. Or saaf karna padhega na!!
Neil : Jis insaan ki zindagi bikhra hua hai uska kamra saaf hoke bhi koi faida nahi... Kher, mein file dhundh ke hospital chala jaunga...
Neil siri se upar chala ja raha tha but manjiri asked, " are breakfast?? "
Neil : bhookh nahi..
Abhimanyu and Akshara stands quietly...
Manjiri : Mera baccha aisa kyun ho gaya kanha ji!! Kitna mastikhor tha Neil, kitna khush rehta tha aarohi or roohi ke saath!! Kya aisa pap ho gaya usse, jo usse uski beti chin gayi!!!
Akshara Manjiri ko sant karti hai.. Or kehti hai, " Ma, sab kuch acha hoga... Tension matt ki jiye...Kanha ji saab thik karenge... Mein college ke liye nikalti hu... "
Abhimanyu also says to manjiri, " Yes ma.. Akshu is right.. Jaise hamara bikhra hua rishta kanha ji ne thik kiya waise aarohi and neil ka bhi karenge.. Hum nikalte hai ma.. "To be continued... ❤️
With love
Dibyasha ❤️
