Prologue

279 11 7
                                    

“Veeranshu Bhaiya, aap bas jab dekho apna focus career pe he rakhte ho, aap baray hain, aap ki shahdi honi hai mujh se pehle, kabhi toh sochiye na is baare mein.”

V~shahdi? That’s too boring, bas jab dekho biwi ki he suno, khud ki koi marzi he na rahay. Na, marriage is not my cup of tea Rishi.

R~aur agar aisi mil jaaye, jo aap ko bhi apna opinion rakhne de, phir?

V~phir toh zaroor sochun ga, kiun ke ek quality toh aa he gayi us ke andar, bilkul mere sapno’n ki rani wali.

R~oho, aur zara ye toh bataiye ke mere bhai ke sapno’n ki rani honi kaisi chahiye?

V~(blushing and thoughtfully) wo aisi ho, jo mujhe apni family jitni equal importance de, jo pyaar bas sirf mujh se karay, loyal ho, pyaari ho, mera naam baray pyaar se le, roz subah uthay toh bas mujhe dekhna chahay, jis ke sawero’n ka sooraj bhi main he hoon, aur raat ka chaand bhi main.

R~wah wah wah, kya poetic lines boli hain aap ne.

They smiled.

V~aur tu, tujhe kaisi larki chahiye?

R~mujhe? Hmm, wo dikhne mein chahe jaisi bhi ho, bas dil ki bohat achhi ho. Kind ho, understanding ho, loving and caring ho

V~teri toh aaram se mil jaaye gi lagta hai, haan mera thora complicated hai

V~teri toh aaram se mil jaaye gi lagta hai, haan mera thora complicated hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Rishi nodded.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

“I am sorry Lakshmi di, meri wajah se chachi aap ko bohat kuchh keh deti hain.”

L~teri wajah se mujhe nahi, meri wajah se tujhe. (she cupped her cheeks) Bachpan mein tere parents chal basay, is mein tera kya kasoor? Haan papa ne tujhe achhay se rakh liya lekin maa humesha tujhe kuchh na kuchh kehti rehti hain. Ab dekh mera rang kaala hai, us mein bhi mera koi dosh nahi, lekin log kahan samajhte hain? Lekin maa ki tension bhi apni jagah theek hai na Bani, kaun si maa apni beti ki shahdi ki fikr nahi karay gi? Aur main bhi tensed he hoon is matter mein, ke mujhe pata nahi koi milay ga bhi ke nahi.

 Ab dekh mera rang kaala hai, us mein bhi mera koi dosh nahi, lekin log kahan samajhte hain? Lekin maa ki tension bhi apni jagah theek hai na Bani, kaun si maa apni beti ki shahdi ki fikr nahi karay gi? Aur main bhi tensed he hoon is matter mein, ...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

B~hey, don’t sulk at yourself Lakshmi di. Mera chhoro, aap ko koi nahi mila toh mujhe toh jaise 50,000 mil gaye ho’n jaise, haan bohato’n ne kiya pasand, lekin maine nahi. Main bhi kahan ki khubsurat hoon, aur wo insaan he kya jo khubsurti dekh kar pasand karay. Dekhna, ek din koi aisa aye ga jo aap ke dil se pyaar karay ga, aap ki aatma se pyaar karay ga.

 Dekhna, ek din koi aisa aye ga jo aap ke dil se pyaar karay ga, aap ki aatma se pyaar karay ga

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Lakshmi smiled and they shared a hug.

“Ritu, itna bhi gussa mat karo Bani par. Aray bhoolo mat ke humesha jab bhi tum beemar parti ho na, wo sab se ziada tumhari dekhbhaal karti hai. Jis din us ki bidaai ho gi na, dekhna sab se ziada tum he ro gi.”

R~itne buray din nahi aye mere ke main us ke liye roun gi, roein mere dushman. Aur itna bhi sar mat charhaiye usay, wo nahi hai aap ki beti, Lakshmi hai aap ki beti, bhool gaye hain kya aap Shivaya jee?

Sh~main kuchh bhoola nahi hoon, aray itni pyaari bachi hai, tumhe apni maa jitna pyaar karti hai, kya masla hai tumhe us se? Bas ye hi na ke us ka rang Lakshmi se gora hai. Aray toh kya hua? Kaalay goray se kuchh nahi hota.

R~bohat kuchh hota hai, wo zamana gaya jab log dil dekha kartay thay. Lakshmi ke liye jab bhi koi rishta aye ga na ab, Bani ko door rakhna, jab dekho jo aata hai Bani ko dekh ke us ka haath maang leta hai, manhoos hai wo larki, kalank hai, grehan hai humari Lakshmi ki zindagi par

Sh~kaisi baatein kar rahi ho? Kaise tum usay kalank aur grehan bol sakti ho? Bas sirf us ka rang gora hai, isliye? Wo bhi toh tumhari beti jaisi hai na?

R~nahi hai, grehan he hai wo. Dekhna kisi din le doobe gi us ki khubsurti.

Shivaya became sad. Bani who had heard it, got teary-eyed.

Coming soon on 15th October 2023

VivaahWhere stories live. Discover now