Kartik confronts suhasini

585 81 14
                                    

Next morning....

Naira woke up...she saw kartik looking at her....

Naira : aap itna jaldi uth gaye....

Kartik : haa jaldi neend khul gayi ab kaisa feel ho raha hai thik ho na.... fever toh ab nahi hai weakness toh nahi hai na....

Naira : thik hai abhi....kuch zyada nahi hua hai....ab hatiye breakfast ka time ho gaya hai....

Kartik : chup chap baithi raho....aaj Saturday hai chutti hai bacche bhi abhi tak so rahe hai....rest karo....main breakfast banwa dunga....

She nodded....

*****************************
They completed their breakfast...!!!

Kartik : accha naira kuch zaruri paperwork ke liye udaipur jaa raha hu....kuch papers par papa ki signatures chahiye....!!!

Naira : aise achanak....

Aarav : papa hum bhi aayenge....itna time ho gaya hum kisi se nahi mile....

Kiara : yes papa please....

Kartik : no baccha not this time....papa kaam karne jaa rahe hai.....aur waise bhi aaj toh aap logo ka movie day hai toh enjoy karo.....kal hum sab resort jayenge.....

Kiara : promise...??

Kartik : promise princess....!!!

They smiled.....

In room....

Naira : kartik aap kal kal ki baat ko lekar dadi se kuch kehna mat....unki koi galti nahi thi...

Kartik : naira mere pass itna time nahi hai ki Mumbai se udaipur main unhe yeh sab sunane jaunga aur waise bhi inn baato ka kab unpar asar hua hai jo ab hoga....

Naira : phir bhi shant rehna....

He pulled her by the waist....

Naira : kartik kya kar rahe hai darwaza khula hai bacche kabhi bhi aa jayenge.....

He pecked her lips....she blushed....

Kartik : try karunga shaam tak aa jau agar late ho jaaye toh wait mat karna aur dinner karke so jaana.....

She nodded....!!!

He bids goodbye to them and leaves...!!!

---------------------------------------------

In udaipur... goenka mansion....

Kartik enters....

Suhasini : kittu...!!!!

Everyone gets excited seeing him....

Suhasini hugs him but he didn't reciprocate....

Suhasini : kaise ho kittu...

He just nodded....

He goes to swarna and hugs her.....

Swarna : kaise ho..??

Kartik : bilkul thik hu....papa kuch papers par aapke signatures chahiye...!!!

Manish : haa...aao...

Kartik : maa ek chai...

Swarna : laati hu tum baitho....

He nodded....!!!!

They were working....

He was completely ignoring suhasini which was confusing her....

Suhasini : kittu...naira aur baccho ko lekar aana chahiye tha kal toh Sunday hai....

He loses his patience by listening to this....

Kartik : BASS KIJIYE DADI....!!!!!

He shouted making everyone shocked....!!!

Kartik : main unhe yaha lekar aau taaki phir se naira ki tabiyat kharab ho jaaye....

Manish : kartik....

Kartik : nahi papa meri baat suniye pehle...aaj main bolunga....aap logo ko pata hai main naira aur baccho ko yaha se durr kyu le gaya tha kyuki main jaanta tha ki yaha reh kar ek din bhi naira chain se reh payegi....aur naa hi mere bacche....aur mere saare darr sahi nikle.....

Akhilesh : hua kya hai kartik....

Kartik : yeh aap inse puchiye toh better hoga chachu....kal inke kuch dost aaye the aur unke beech jo baatein hui na woh ghatiya soch wali baatein sab naira ne suni....

Manish : khul kar batao....

He narrated everything..... they fumes...

Manish : maa yeh....

She looked down.....

Kartik : ab kyu chup hai dadi....ab boliye.... zamana badal gaya hai dadi aur badalte zamane ke saath apni soch bhi badalni chahiye.....main nahi jaanta dusro ke ghar kya hota hai aur mujhe farak bhi nahi padta..... lekin dadi naira aisi bilkul bhi nahi hai....usne kabhi bhi aarav aur kiara mein fark nahi kiya....agar daat padti hai toh dono ko padti hai agar pyar karti hai toh dono ko barabar karti hai....aapki woh saari baatein sunne ke baad uska kya haal hua hai main bata bhi nahi sakta dadi.... fever hua tha usse.... isiliye main yaha nahi rehna chahta tha and I am glad maine sahi faisla liya tha....

Suhasini : kittu humne kuch nahi kaha woh toh....

Kartik : haa dadi aapne kuch nahi kaha wohi toh galti hai....aap chahti toh unhe rok sakti thi aap chahti toh unhe yeh keh sakti thi ki humare ghar ke maamlo mein na pade.....kisne haq diya unhe naira ki mamta pat sawal uthane ka...... sorry maa main yeh bol raha hu par maa bhi toh meri sagi maa nahi hai....phir bhi aaj tak unhone mujhme keerti mein ya shubham mein fark nahi kiya....kyuki dadi sab ek jaise nahi hote....kuch aise ghatiya logo ki wajah se sabko ek nazar se nahi dekhna chahiye....main yeh sab kehna nahi chahta tha par aapne majboor Kiya......aur yeh main faisla kar chuka hu ki naira ya mere bacche kabhi udaipur mein kadam nahi rakhenge....

He announced it was shocking to everyone.....

Manish : kartik....

Kartik : sorry papa....aaj yeh saari ghatiya baatein naira ne suni hai kal ko agar mere baccho ne sunn liya toh.... aarav aur kiara ki jaan basti hai ek dusre mein aur main yeh chahta hu ki sab kuch aisa hi rahe..... agar aap log chahe toh Mumbai aakar unse mil sakte hai....mana nahi karunga par woh log yaha kabhi nahi aayenge.....ek pati aur pita hone ke naate mujhe pura haq hai apni patni aur baccho ke acche ke liye sochne ka....aur unke liye yehi accha hai ki woh yaha na aaye khaas kar mere bacche.... atleast tab tak toh bilkul nahi jab tak unhe acche aur bure ka fark samjh nahi aa jaata..... chalta hu papa....

He went to swarna....

Kartik : I am sorry maa....maine anjaane mein aapko hurt kiya....

Swarna : koi baat nahi....tum sahi ho....

She hugged him....

Kartik : chalta hu maa dhyan rakhna apna....

She nodded.....

He bids goodbye to everyone and left....!!!!

KAIRA : united by fateWhere stories live. Discover now