This story is on special request of larryloveshome. Thank you so much for your idea.
Haseena: Karishma Singh aap acche se jaante hai ki humhe violence nahi pasand, violence ke tarike se jurm khatam nahi hote. Yeh baat hum aapko konsi bhasha mein samjhaye.(sighs) Lekin kisiko bhi samjhane ka kya fayda jab hum apne hi department ke logon ko samajh nahi paye, unka bharosa nahi jeet paye hai. Iss thane mein ab bhi humare saath vishwasghat hota hai humare saath dhoka hota hai, mukhbiri ki jaati hai iss thane ki.(Everyone are stunned hearing this.) Jab hum apne hi department ke logon ko samjha nahi parahe hai toh koi aur ladai kya ladenge.
Karishma: Ek minute maddam sir aapko lag raha hai hum dhokebaaz hai, aapko lag raha hai ki hum woh mukhbir hai joh yaha ki baate waha karta hai.
Pushpa: Maddam sir yeh aisi hi.
Karishma: Ek minute Pushpa ji humko baat karne dijiye, hum baat kar rahe hai na.(goes to Haseena) Ha maddamsir aapko lagta hai ki hum woh dhokebaaz insaan hai joh aapko dhoka derahe hai ya chal kar rahe hai aapke saath iss thane ke saath aur inn sab ke saath aapko aisa lagta hai. Woh bhi sirf uss insaan keliye jisne humari vardi ka apman kiya, woh humari vardi par ungli utaraha tha toh humne uske ahankar ki ungli ko marodhliya toh ispe ab aapko gussa aaraha hai?(coldly) Bahut sahi naam se namaza hai aapne humari imaandari ko humari karmatha ko, bahut badhiya naam diya hai aapne humari nishta ko aur bahut bade alankar se sushobhit kiya hai humari dosti ko humko ek dhokebaaz kehkar. Yeh mehez ek shabdh nahi hai maddamsir yeh woh talwar hai joh aapne humare dosti ke seene mein ekdam aise kojhli hai aur iska dard hum zindagi bhar nahi bhulenge kabhi bhi nahi.
Karishma was very hurt due to Haseena's allegations.
Pushpa: Karishma yeh tum kis tarah se baat kar rahi ho maddamsir se, koi bhala apne senior se aise baat karta hai.
Karishma: Pushpa ji pehle toh hum abhi thane mein hai aur yaha hum aapki Bahu nahi balki senior hai. Dusri baat aapko sirf yeh dikha ki humne inse kaise baat ki, yeh nahi dikha ki inhone kaise ilzaam lagaye humare upar.
Pushpa: Maddamsir joh bhi kahe tum unse aise baat nahi kar sakti. Maafi maangiye inse.
Karishma(in disbelief): Pushpa ji.
Haseena: Rehne dijiye Pushpa ji aap bhi kisse expect kar rahi hai manners ki jisse gunda gardi karne ke alawa kuch nahi aata. Inse kahiye ki agar inhe iss thane mein rehna hai toh apne tarike badalne padenge, yeh sadakchap logon ki tarah maar peet karne ke tarike ko hum apni manzoori bilkul nahi denge.
Pushpa(taunts): Tameez naam ki koi cheez hi nahi hai tum mein, humesha bhari hui bandook banke rehti ho. Pata nahi humare lalla ko tumhare jaise khatarnaak chudail mein kya dikha joh tumse shaadi karke ghar laya. Humare lalla ke toh bhag hi fut gaye.
Karishma is hurt due to Pushpeena's words and gets fed up of it.
Cheete: Bas kijiye Pushpa ji aap kahi pe bhi shuru ho jati hai Karishma maddam ki beijjati karne, kabhi toh dekhe baat kiya kijiye.
Karishma: Maddam sir ek baat aap na gaat bandhlo hum kabhi nahi badalne wale. Bholenath ne humko aisa banaya toh phir hum kahe badle. Aap nahi chahte ki hum thane aaye toh phir theek hai par badlenge toh hum kabhi nahi. Jai Hind.
Amar: Rukiye Karishma Singh Haseena Malik ko bhale hi aapki zaroorat nahi hai lekin humhe hai, bhuliye mat ki aap humare team mein bhi kaam karte hai
Karishma: Maaf kijiyega Amar sir par hum jarahe hai, ab hum yaha pe ek aur pal keliye bhi nahi reh sakte. Hum yeh thana yeh sheher humesha keliye chodke jarahe hai Kanpur apne ghar jarahe hai. DSP ko apne tadbale ki arzi deke jarahi hoon. Aur yeh SI ki bike ki chabi. ( keeps the keys on the table there )
YOU ARE READING
REGRET
FanfictionThis is a os based on the track where Haseena Malik calls Karishma Singh a cheater. In this story both Haseena and Pushpa ji will get a reality check and also face the wrath of Karishma's siblings for always insulting and looking down upon her.