I Trust My Husband (Part 2)

997 71 2
                                    

Next morning.... Anurag had gained consciousness and the Basus were happy because the doctor declared that he was safe. He just needed proper rest and medications on time.

Anurag - Anupam... Prerna kahan hai ? I'm sure mujhe aise dekhkar boht pareshaan ho gai hogi vo. Aap please usse jakar bata dijiye ki mujhe hosh aa gya hai. Mujhe milna hai usse.

Mohini - Onu... tum rest karo. Uss ladki ka naam tak lene ki zarurat nahi hai. Mat bhulo ki uske pati ki vajah se tumhari ye halat hai.

Anurag - I know maa par Mr Bajaj ne jo kiya usme Prerna ki kya galti hai. Aur vaise bhi I'm sure ki Prerna ne Mr Bajaj ko jail bhijwa diya hoga.

Nivedita - Nahi Onu... Prerna ne aisa kuch bhi nhi kiya infact she defended him saying ki unhone accident jaan bujhkar nhi kiya. Also jab humne usse request kari ki vo tumhare sath ruk jaye for your better recovery usne mana kar diya saying ki usse uske husband ke pass jana hai kyunki unhone subah se kuch khaya nhi hai.

Anurag - What ! Di ye aap kya keh rahi hain ?

Mohini - Sach keh rahi hai. Ab tum ye sab jane do aur rest karo. Mai tumhare liye soup bhijwati hu. Nivi tum bhi neeche chalkar breakfast kar lo.

Nivedita - Yeah maa. Take care Onu.

Mohini and Nivi left leaving Anurag and Anupam alone in the room.

Anurag - Anupam ye di kya keh rahi thi... sach me Prerna ne mera khyal rakhne se mana kar diya.

Anupam nodded in yes.

Anurag - Nhi nhi aisa nhi ho sakta. Mujhe takleef me dekhkar Prerna ko dard na ho aisa ho hi nhi sakta. Jarur uss Bajaj ne usse dhamkaya hoga usse manipulate kiya hoga.

Anupam - Nhi Onu... Mr Bajaj ne Prerna se kuch nhi kaha. Infact Mr Bajaj to maan bhi gaye the ki Prerna tera khayal rakhe but Prerna ne hi mana kar diya. Usse dekhkar aisa lag hi nhi raha tha jaise vo takleef me ho aur...

Anurag - Aur kya Anupam aap chup kyu ho gaye.

Anupam - Jane de yrr.

Anurag - Aise kaise jane du. Bataiye aur kya ?

Anupam - Mai kal raat ko unke kamre ke samne se guzar raha tha... window khuli thi to maine dekha ki Prerna...

Anurag - Prerna kya Anupam ?

Anupam - Prerna Mr Bajaj ko khana khila rahi thi... apne hath se.

Anurag - Nhi aisa nhi ho sakta... Prerna aisa nhi kar sakti... No...

Anupam - Onu... calm down. Dekh Onu kya halat kar li hai tune apni lekin koi faida hua ? Nhi na. Ab bhi time hai Onu samajh ja. Bhul jaa Prerna ko.

Anurag - Prerna ko mai bhul jaun aisa ho hi nhi sakta Anupam. Mera phone kahan hai ? Give me my phone. Mujhe pata hai ab mujhe kya karna hai.

In PreRish room...

Prerna- Mr Bajaj mujhe aapse kuch baat karni hai.

Rishabh - Kahiye.

Prerna- Kya hum yahan se chal sakte hain... kahin aur ? Yahan iss ghar me roz roz koi na koi naya drama hota hai. Mai tang aa gai hu in sab se. Kukki bhi freely reh nhi pati hai and I know aap kehte nhi hain but Basus ke sath rehne me sabse jyada gussa aapko hi aata hai. Yahan rehkar na to mai puri tarah se apne past se move on kar pa rahi hu aur na hi apne present par dhyan de pa rahi hu. To kya hum kahin aur shift ho sakte hain ?

Rishabh - Aap sach me yeh ghar chhodkar jana chahti hain ?

Prerna nodded in yes.

Rishabh - Thik hai phir. Mujhe bas kuch din ka time dijiye and then we'll shift somewhere else.

PreRish : Short storiesWhere stories live. Discover now