Koi Nahi Apna💔

106 12 1
                                    

So the Scene starts with AJ and Guddan doing shivratri's Pooja and Guddan proved AJ innocent by bringing Divya in the court Vikram apologized to Jindal's and leaves from Indore and AJ got to know that Vikram sent Guddan to the Jindal bhawan to collect proofs against him in anger AJ broke her mangalsutra this broke Guddan's heart

Next day, Guddan comes down with her suitcase and other luggage

AJ:-Guddan ab yeh kya Naya tamasha hai yeh samaan leke kaha Jaa Rahi ho tum

Guddan:-Hum yeh Ghar chod kar Jaa rahe hai

This statement of Guddan made the Jindals shocked

Kishore/Vardaan:-Lekin kyu Guddan Maa

Lakshmi Bahu:-Haa saasu maa kyu Jaa Rahi hai aap

Saru Bahu:-Saasu maa agar humse koi galti Hui hai toh please maaf kar dijiye

Durga Bahu:-Haa saasu maa hume humari galati ka ehsaas ho gaya hai bhale hi Vikram ji ne aapko AJ ke khilaaf saboot ikkathe karne bhje the lekin kisi ne yeh nahi dekha ki unhone nakli casset ka use Kiya iska matlab ki Saasu maa ko AJ par bharosa tha aur agar saasu maa ko proof ikkatha karna hota toh vo mujhe bhi nahi batati Vikram ji ke iradon ke baare me

Dadi:-Durga Bahu sahi keh rahi hai

Guddan:-Aree aap sab ki isme koi galti nahi hai

Now AJ realised his mistake and tries to stop Guddan

AJ:-Guddan lekin

Guddan:-Jindal saab hume aap iss ghar me rukne ka ek kaaran bata dijiye hum kis rishtey se kis haq se iss ghar me rahenge Saas bankar Bahu bankar ya patni bankar

AJ stays silent on this and bows his head down

Guddan:-Shuru se leke ab tak aapne kaha ki hum iss ghar ki saas hai bahu hai lekin kabhi aapne yeh kaha ki hum aapki patni hai aree Antara ji ka haq aur unki jagah toh hum kabhi  lena hi nahi chahate the lekin Hume toh humara haq bhi nahi mila aapne kabhi bhi hume apni patni nahi  maana Aapne teeno bahuyon ko toh keh Diya ki hume apnale voh kyuki hum unki saas hai aur Dadi ki bahu hai vaise bhi humara maqsad poora ho gaya hai toh humara yaha rukne ka kyaa matlab jab vo dukaandar ne humara mangalsutra le liya toh aap usse vapis toh le aaye lekin jab dadi ne aapko kaha Hume pehnane ko toh aapne kaha ki yeh naam ki shaadi hai bass Hume toh kabhi humare haq ki vo izzat nahi mili jo hum deserve karte the jab kehte hai Ek ladki jab patni banti hai uske baad hi vo Ek bahu ek bhabhi jethani ya devrani banti hai aapne apne faislo me kabhi humari koi jagah hi nahi rakhi Jindal Saab bas aapko Jo sahi laga vo karte gaye aap theek hai Maan liyaa ki aap Antara ji se pyaar karte hai unke jaane ka dukh hai aapko lekin iska matlab yeh nahi Jindal Saab ki koi aur bhi sab chup chaap seh lega Patience level naam ki cheez hoti hai Jindal Saab aur humara patience level ab khatam ho chuka hai Jab Durga Bahu ne hume ghar se jaane ko kaha tab bhi aapne kuch nahi kaha aapke woh so called vachan jaane ke baad bhi humne aapse shaadi karli aur Jab humne aapke kapde iron Karna chaha toh aapne apne kapdo me hi aag laga di itni nafrat hai aapko humse aur hum iss nafrat bhare rishtey me nahi reh sakte aapne hume kabhi Mann se hume apni patni nahi maana bas naam ke liye yaa fir zabardasti nahi toh dikhave ke liyee agar Hume khana banana nahi aata tha toh aapko hum par gussa karne ke bajaye hume khana banana sikhana chahiye tha humne family photo ko touch Kara toh aapne usko bhi jala Diya itna sab hum sehte aaye uss raat hum terrace par soye lekin aap ek baar bhi dekhne nahi aaye hume thand lagne ke baad bhi aapne hume apne kamre me jagah nahi di agar nashe me vo sab hum nahi bolte toh shayad Hume kamre me jagah milti bhi nahi bass isse zyada hum aur kuch nahi kahenge jab aapki nazaro me pati patni ke rishtey ka koi mol hi nahi hai toh hum kyu rahe yaha par isiliye hum jaa rahe hai

Guddan takes out the mangalsutra and kangan which dadi gave her as a gift and she takes Dadi's aashirvaad and she hugs the daughter in laws Dadi cries on seeing Guddan leaving the house

Durga Bahu:-Dadi saasu maa ko rokiye na aap bolengi toh vo ruk jayegi

Dadi:-Nahi Durga Bahu jaane deh usse kuch bhi galat nahi kaha usne jitne usne saha hai na iss parivar ke liye uska sabra ka bandh toot chuka hai

AJ goes in his room and thinks about Guddan's words and realizes what he did in these 5months and what he lost
AJ hurriedly goes in Dadi's room

Dadi:-Kya hai kyu aaya hai yaha

AJ:-Maa mujhe meri galti ka ehsaas ho gaya hai maa

Dadi:-Ab kya fayeda iska lalla Guddan toh chali gayi

Gupta House,

Everyone including Kaushalya was worried for Guddan

Guddan:-Papa humne Divorce papers bhijwa diye hai vaha

Bhushan:-Lekin kyu beta maana damad ji se galti Hui lekin unhe unki galti ka ehsaas bhi toh hai na

Guddan:-nahi papa hum unhe iss naam ke rishtey me bandh kar nahi rakhna chahte

Revati:-Acha Dii yeh sab chodo aao hum game khelte hai TV me

Guddan:-Haa chal

Jindal bhawan,

Lakshmi Bahu:-Dadi Durga di saru Jeth ji vardaan ji idhar aaiye

Lakshmi msg all of them and calls them in their room

Lakshmi Bahu:-Dadi AJ ki Dil ki baat nikalwane ke liye ki vo saasu maa se pyaar krte hai uske liye ek idea hai mere paas

Durga Bahu:-kya Lakshmi

Lakshmi Bahu:-kyu na hum saasu maa ki doosri shaadi ka natak kare vaise bhi saasu maa ne divorce paper sign krke bhijwaye hai toh AJ ne sign kr diya lekin abhi tak court me submit nahi Kiya lekin hum iss shaadi ka natak kr skte hai jisse AJ aur saasu maa dono ke Dil ki baat bahar aayegi

Vardaan:-Aree waah meri Billo Rani kya idea nikala hai

Lakshmi blushes on this and everyone teases them just then Vikram arrived

Vikram:-Maa hum iss galti ka prayashchit karne ke liyee aapki yojna me aapki sahayata karenge shayad isse humari behen Hume maaf karde

Kishore:-Lekin hum ladka layenge kaha se

Saru bahu:-mere ko pata hai vo saasu maa ka best friend hai Kartik vo bhi humari help karega maine revati se baat krke saasu maa ke Ghar walo se bhi baat karli hai

Dadi:-Waah saru toone toh Kamal kar diyaa

After that they all joined their hands together to bring AJ and Guddan close

After that they all joined their hands together to bring AJ and Guddan close

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Mohsin khan as Kartik Guddan's best friend

After that Saru Lakshmi and Durga goes to meet Guddan

Durga Bahu:-Guddan hum tumse ek dost ke tarah milne aaye hai Kam se Kam dosti ka toh rishta ho sakta hai na

Guddan:-Haa haa dosti me koi dikkat nahi hai

Precap:-kartik's entry and AJ's jealousy

Akshan os/ts listsWhere stories live. Discover now