Natasha and Dhawal have decided to leave the baggage of past behind, they have decided to let the bygones be bygones but can that really happen? Can one forget the scars of love and accept a new layer of profound love again?
Natasha's Pov-
mera pyaar toh aajbhi zinda hai mere andar lekin na chahte hue bhi yeh dooriyan kyun hai? bhot koshish ki maine iss pyaar ko dafan karne ki lekin yeh pyaar aaj mein meri ruhh mai kyun hai? Kyun jisne mujhe itna zakhm diya woh aaj bhi mera hamdard hai. kaash pyaar ko nikaal fekna bhi asaann hota. Woh mere pass hota hai toh aajbhi meri dil ki dhadkan tezz aur ruhh kaanp jati hai janti hoon ..
Dhawal's Pov-
Natasha is so near to me yet so far. I know that my actions and circumstances have pushed her too far. But is there now no point of return? Can I possible ever make her trust me again?Will I be able to rekindle the faded love? They say that love is a medicine would I be able to rub her wounds with my love and give her love like never before?
(Natasha and Dhawal have relived last night's conversations like never before. They have recalled the scars and missed their faded love too much in each other's absence. without much ado dhawal has decided to heal her with love again. Today is the new leaf in their relationship that had become barren. it was time to win over what was lost.)
dhawal and Natasha meet at a quaint place near the riverside, tranquility and harmony has filled the air. It is a breezy place with very little light.
Dhawal- Natasha main bhot lucky hu ke tumne iss rishte ko ek mauka diya aur mai vada karta hoon ke mai tumhein niraash nai karunga. Jo pehle nai hua tha woh sab ab hoga. Main kuch badal toh nahin sakta hoon aur nahin mai koi vaade karna chahta hoon.. Aaj maine tumhein yahan bulaya hai kyunki mai tumhein kehna chahta hoon mere dil ki saari baatein. Jo bhi kuch tumhein aajtak nahin bata saka woh aaj kehna chahta hoon.
Natasha- Dhawal yeh jo tum bhot badi badi baatein karreho na yeh sab tum pehle bhi kar chukey ho. Bhulgaye moots ke kehne pe tumne mujhse shadi ki thi. najaane kitni baar dhoka diya hai tumne mujhe. Toh tumhein yeh kyun lagta hai ke main ab tumhari baaton ka yakeen karungi.
Dhawal- Natasha mujhe ehssas hua hai ke humara rishta hi jhooth ke foundation se shuru hua tha. Aur kachhi immaratein kabhi ghar nai banpati. shayad isliye hum kabhi ghar nahin bana paayein. Par ab main humare rishte ko nayye sirrey se shuru karna chahta hoon. Inmein na koi jooth ki milawat hogi na hi dhoke ki jagah. Sirf aur sirf pyaar se banana chahta hoon main tumhein apna. Chalo aaj main tumhein batata hoon natasha meri aankhon se. Aajtak tumne khudko apni nazron se dekha hai, aaj main tumhein dikhaunga meri chidiya meri nazron se.
Natasha- Kya bol rahe ho dhawal tum. mere kuch samajh nahin aaraha hai.. kya bolte jaareho yeh sab ke meri nazar se nai tumhari nazar se tum mujhe dikhaaoge kya hoon main.. (she cutely whacks her head in confusion)
(Dhawal sees his chiddiya looking confused and smiles at her cuteness)
Dhawal- yeh sab shuru hua tha ussdin se jab mujhe moots ne kaha tha tumhein chirag bhai ki engagement mai laane keliye. woh chahte they tum udhar aao aur mujhe diya tha sabse mushkil kaam tumhein laane ka. Aur firr mai college ayaa aur dekha ke sablog tumse bhot darrte hai. maine jab tumhein dekha na mujhe laga ke yeh kaun hai jo itna gussa karti hai. kyun yeh itni mean hai. tumhari aankehin itni khoobsurat thi ke mujhe laga inmein itna gussa kyun hai. Aur firr tum ring ke badle mujhe pandya store ka hisaab kitaab karwane lag gayi. ussidin mai samajh gaya tha ke yeh ladki toh chalti firti gusse ki dukaan hai. lekin mujhe kahan pata tha ke isske peeche ek sundar aur saaf dil natasha chippi hui hai.
Main toh jabhi tumse takraya tumne bas bharr bharr ke gussa nikala mujhpe. ussdin bhi jab maine marne ka natak kiya tumne mujhe ek minute mai pakad liya tha. Aur ussdin maine dekha sabse pehle dama ki chuttki ko jo jaan chidakti hai apni family pe. Tab laga ke iss gusse ke peeche pyaar bhi bhot hai. dheere dheere hum takraate gaye aur ladte gaye, pyaar toh mujhe tumse bhot baadmai hua tha.
YOU ARE READING
Nawal -one shot
عاطفيةAn insight of how the conversation between two devastated souls should happen. A heart-to-heart ode of each others heart. Sometimes words get lost and silence fills the room. The dead silence that creates cracks in a relationship. Can love heal it?