The Beginning

20 1 0
                                    

Anya Margaret

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Anya Margaret

                       The Singer
                     Chulbuli girl


                       The Singer                     Chulbuli girl

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Aliyan Suleiman Fateh

The Cardiothoracic surgeon,
Serious and focused




Chapter 1

Woh aik khubsurat din tha jab wo usey nazar aya. Wo Anya Margaret ki pehli mulaqat thi Aliyan Suleiman sey. Wo larka jiski Ocean-deep ankhain thi, brunette colour key baal they, 6'0 height thi, sufaid rang, galon per dimple pertey they, hathon ki veins ubhari hui thi, patley aur lambey hath kisi artist ki tarhan, broad shoulders aur no excessive hair na uskey arms per aur na hi uski body par. Anya badminton ki shauqeen thi, it was her favourite sport. Wo larka usey pehli baar wahin badminton court per dikha tha, wo khel rhi thi aur achanak sey wo aya, usney pucha excuse me "what's your name?". Wo ghabra gai, dar gai aur phir usney kaha. "Sorry i didn't hear you!". Aliyan ney ankhain utha kar dekha aur Anya ki dunya tham gai wo wohin thi per like a statue. Aliyan thora confused hua key isey kiya hua hey aur phir usney kaha "main register main entry karney key liay aya hun uskey liay apka name chahiye!". Anya hosh main ayi usney kaha "Its anya margaret". Aliyan, thank you, keh kar agey chala gaya agley bachey sey uska naam puchney.

Chapter 2

Wo haseen shamain
Suhaney khwab
Sab teray
Liay!

Anya Margaret aik khubsurat si larki lamab kad, bhuri ankhain, lambain light brown baal, gora rang, bari badami ankhain, gheri palkain, patli si, lambey khubsurat hath aur bilkul sharari si larki. Wo jab ghar ati toh usey abu usey awaz dey rahey they "anya, anya bacha kidr ho". Ayi abu anya ney zor sey kaha. Uskey abu Jahangir margaret aur uski ami Areej margaret sey baithey hass rahey they, "beta kesa rha badminton". "Baba acha tha itney dinon baad khel kar maza agaya tha. Anya Islamabad ki rehney wali thi aur Aliyan bhi . Moonsoon ka mausam tha anya ki ami pakorey aur chai bananey chali gayi dopeher key waqt zorr sey barish ho rhi thi mitti ki wo khusbo phir anya ko khayalon key badalon per ley gayi "Anya, anya bachey yeh tray ley kar jao" uski ami areej margaret boli. Ayi, ami! anya ney jawab dia. Uski ami ney kaha "anya music therapy kesi ja rhi" Anya ney kaha ami achi ja rhi hey pura din gaa kar mera toh gala sukh gaya ab toh voice notes ko aram dun gi 10 ghanton key liay. "Beta wo baat karo jo sach main kar sako abhi dekhna 1 ghanta bhi nhi hona tumney gana shuru kardena" uski ami kehtey huay jasney lagi. Acha ap yeh chorain hospital kesa chal raha baba api, bhai aur nikamma help kar rahey key nhi. "Beta nikamma toh na bolo abhi toh uska mbbs chal raha". Janti hun par experience key liay toh ata hoga na. "Han wo toh hey, aya tha thak gaya kafi night shift karkey". Chalo koi nhi uskey future key liay ho toh hey sari mehnat anya ney thora normal ho kar kaha. "Hamarey hospital main aik junior doctor aya hai bohut young hai, but bohut mehnti hai". Anya ki behn Hayat ney bola. Acha kiya baat hai young age main itni bari accomplishment. "Han scholarship pey para hey topper tha isliye" Hayat ney kaha. Wesay jiski janab ki itni tareef horahi uska naam kiya hai??? Anya ney bohut excited hotey bola. "Han uska naam, mama kiya tha, mujhey toh yaad nhi but surname suleiman tha itna toh pata". Hmmm, interesting "itney mehnti log bhi hotey dunya main" han mr nikammey tumharey ilawa, anya ka bhai Ahad bhi aa chuka tha acha toh mr lareybaaz kahan hey mera chocolate fudge cake anya neh apney bhai ko ghurtey huay kaha " ohhhhh, sorry yaar sorry bhul gaya aur wesay bhi singers chocolate nhi khatey gala kharab ho jaey ga". Tum bahaney na banao mera cake la kar do jaldiii!!!!! Warna kacha chbaa jaon gi main tumhain samjhey key nai. "Isko ko police force join karao criminals to gaey" anya ko ahad hastey hua bola. Anya ney ahad sey pucha. Ab uska bara bhai Ibrahim bhi aa chuka tha. "Anya dekho main kia laya" anya dorr kar gayi aur dekha key Ibrahim uskey liay uska favourite cake laya tha. "Thank you, bhai. "You are the best," anya ney kaha. "Arey mujhey pata tha key issey aik kaam nhi hoga yo main api singer sahiba key liay yeh kiun na lata" Ibohut pyaar sey anya sey kaha. Sab so chukey they par anya ko aaj neend nhi arahi thi wo hairan thi, pareshaan thi key jiski larki ko ghari ki sui key 9 bajtey hi neend aney lag jati hey wo aaj so kesay nhi rahi. Wo raat bhar sochti rahi fajr ki namaz parhney key liay uthi toh dua maangtey bola " Ya Allah mujhey kiya horaha meri dil ki sukoon dey, yeh itna beychain kiun hey ya Allah meri please meri is beychaini ko dor kardey aur apni rehmat ka saya meray aur meray ghar walon par hamesha salamat rakhna" Ameen.

Yeh teri yaad hai yaan
Azaab hey meri rooh per
Meri jan per
Dimagh hiraan hey
Dil pareshaan hey
Yeh kamaal hai
Yan khyaal hai
Behaal hai
Malal hai

Chapter 3

Aliyan ab hospital janey key liay tayaar ho raha tha. "Mama nashta" aliyan ney apni ami sey kaha. "Aya beta" uski ami mehmal suleiman ney bola "Suleiman ap ready hain" mehmal ney suleiman fateh the most dangerous criminal lawyer actual main aliyan ki sari family lawyers ki thi uskey papa, uski mom, uski behney aur uska bhai par is puri lawyers ki family main aliyaan pehla doctor tha . Wo aik bohut behtreen or successful cardiothoracic surgeon banney wala tha kuch ki salon main.

"G ap doctor sahib sey puchain kiya wo ready hain hamari khair hey" uski dono behney nehaal aur lisha, uska bhai Zaviyaar bola aur uskey papa yeh sab akhatey boley they. "Ap sab jal kukrey na baney" aliyan hastey huay bola. "Acha doctor sahib meri pulse toh check karey aur blood pressure bhi kuch theek nhi hai". "Baba kiya hua" aliyaan achanak sey bohut pareshaan hogaya tha. "Nhi beta bas lag raha hai bp low hai mera" suleiman ney bola. "Baba ap aaj ghar hi rest karain main kuch nhi sunn raha apkey case bhai yan mama dekh ley gey but your are not going anywhere and that's final, i am not gonna listen anymore no ifs no buts just lie down and rest" aliyaan Dr ki tarha unhey advice karraha tha. "Acha g Dr sahab" suleiman ney kaha. Aliyan hospital key liay ja chuka tha wo jis hospital main as a junior doctor appoint hua tha wo city ka best hospital tha wo hospital 'The Margaret' yeh naam tha uska yeh hospital anya key dada ney established kia tha aur dosri taraf aloyan ki ghar walon ki law firm thi they were called the 'Suleimans' yeh unkey family name they actually anya key per dada angrezon key zamaney main paida huay they unki mom aik writer thi yeh unka writer wala name tha to publish her books but baad main yeh family name ban gaya as yeh anya key per dada ka surname tha. Anya ab music therapy continue karna chahti thi toh usney decide kia key aaj wo apney Baba key pass ja kar professionally unsey baat karey gi.

Anya hospital janey ki liay ready hui, aaj usney pata nhi kiun white colour ki dress pehni thi sath kolapuri chapal aur choti di jhumkiyan aaj aesa lag raha wo kisi key liay ready hui thi but usey khud nhi pata yeh takdeer thi jo uska raasta phir kisi sey jurney wala tha.

Chapter 4

Tujh sey jurey raaston
Ka pata nhi
Teri baaton ka pata nhi
Tera haal ki khabar nhi
Bas teri yaad hai
Jaane anjaane main hi sahi
Meray pass toh hai

Wo jaanti thi key hospital bohut busy honey wala hey isi liye wo seedha apney baba key office main gayi aur unka wait kiya. Anya key baba aik neurosurgeon they uski behn as a doctor experience key liay ayi thi, uska bhai bhi neurosurgeon tha aur uski mom cardiologist thi. Wo sab busy they uskey bhai, ami, baba sab aur wo office main bhaithi soo gai thi , achanak aik knock hua anya uthi nhi wo shaqs ander aya usney aik bohut khubsurat larki jo bilkul kisi sufaid gulaab ki tarha lagrhi thi, wo shaqs usko dekhta reh gaya ajeeb si kashish hooney lagi thi usey ussey.
"Excuse me" usney ussey jaganey ki koshish ki but anya nahi jagi neend ki pali thi "Miss Anya, please wake up" wo achanak sey uthi kisi masum bachey ki trha. "Gg sorry wo ankh lag gayi thi kiya ap mujhey bata saktey where is Dr jahangir, i have an urgent meeting with him can you please remind him that someone is here for an interview for music therapy department, thank you" Anya ney bohut seriously kaha, but wo us mask main chhupa chehra nhi dekh pai. "Okay, thanks. i will remind him, please be patient." Yeh conversation itni strange kiun thi wo kuch bola hi nhi aik minute wait a moment, "oye issey mera naam kesay pata yeh kon tha".

Arzo e DilWhere stories live. Discover now