(My efforts - 2.3k words)
Continues....
In the house
Aniha - Pata nahi Papa ji kaise halaat mein honge. Par woh aise bhaage kyu matlab woh toh rest kar rahe the apne kamre mein phir achanak se gun lekar bhaage kyu woh bhi mera naam lekar
After thinking something
Kahin uss Jinn ne koi weham ka jaal toh nahi bichaya tha na?? Taki Papa ji ko lage main bhaag rahi hu ghar ke bahar isliye woh bhi bhaage jaisa uss Jinn ne chachu ke saath kiya tha. Main mata rani se bass yehi pray karti hu ki mata rani Papa ji aur chachu ko kuch matt hone dena. Maine maa ko khoya hai ab main kisiko nahi khona chahti. Pata hai ki mujhe koi khatra hone se unhone mujhe bola hai ki boat lekar talaab ke uss paar chali jau par phir bhi main unhe akele nahi chhod sakti mujhe unke zindagi ke liye ladna hoga chahe usme meri jaan hi kyu na chali jaye. Main apni zindagi bachaane ke liye unki zindagi ko khatre mein nahi daal sakti.
And bursts in tears as is in her peak of crying.
Suddenly, someone knocks the door.Aniha - Yeh kaun hai ab? Jo bhi ho darwaaza kholti hu.. Nahi nahi nahi.. Nikki dimaag se kaam le. Agar yeh Papa ji ya phir chachu nahi huye toh.. Agar yeh woh shaitan raavan haiwan Jinn hua toh.. Nahi nahi.. Aise hi nahi khol sakti.
Again, the door gets knocked.
Aree!! Yeh gun ko kaha rakh diya maine... Jitna gussa abhi mujhe khud par aa raha hai na utna gussa mujhe kabhu kisi pe nahi aaya.. mann toh kar raha hai ki khud hi ko goli maar du par yeh gun mile tab na.. Ufff.. kaha rakh diya maine.. Yeh raha mil gaya.. Abhi jaldi se darwaaza kholna hai aur goli bhi chalani hai agar yeh Papa ji ya phir chachu nahi huye toh.. Nikki puttarrr apne aap ko kamzor matt hone dena jo hoga dekha jayega.. Jay mata di...
After praying to Goddess, she opens the door and on the other side there is none other than her father. She sighs in relief. Suddenly, something hits on her mind. And she starts searching for someone..Shaan - Kise dhundh rahi ho Nikki??
Aniha - Chachu.... Chachu kidhar hai Papa ji..??
Shaan - Use toh ghar mein hi hona chahiye.. Nahi hai kya.. Ab yeh Alok kidhar chala gaya.. Heyyy Mata rani..
Aniha - Papa ji woh toh aapke hi piche bhaage the aur kaha ki aapko lekar lautenge.. Aap unse nahi mile...??
Shaan - Nahi tohhhh... Mujhe toh kuch samay baad samajh mein aa gaya tha ki woh ek maaya jaal tha toh main udhar se laut aaya..
Aniha - Iska matlab chachu ki jaan khatre mein hai.. Nahi nahi.. Unhe kuch nahi hoga hum nahi hone denge.. Hai na Papa ji??
Shaan - Haan kuch nahi hone denge use hum..
All of a sudden
A high laugh comes from behind. Aniha can't see that person as Shaan is standing in front of her. Shaan tuns back and see a tall height person whose is face is so difficult to describe. He is laughing so hard. And he is none other than that Jinn who just kills Aniha's mother.Jinn - Dekho dekho.. Kise lekar aaya hu.. Tere bhai ko lekar aaya hu..
And indicates towards Alok who is unconscious and have so many wounds and bruises.
Aniha screams "Chachuuuu..."
And starts crying and tries to run towards him when her father stops her.Aniha - Tumne mere chachu ko maara kaise. Tumhari himmat kaise huyi mere chachu ko maarne ki. Pehle meri maa phir mere chachu... Kyu kar rahe ho aisa?? Himmat kaise hoti hai tumhari??
Jinn - Meri himmat ke baare mein janna hai.. Shayad tumhe nahi pata sirf tumhare liye tumhari maa aur tumhare chachu ko maar daala maine aur himmat dekhni hai.. Ab kya tumhare baap ko maar du..
YOU ARE READING
The Family Secret
Mystery / ThrillerIt is a story of a girl named Aniha. She is 13 years old. Her mother died when she is just 5 years old. Her father is always in a tensed mood because of Aniha's future. There is a family secret which will give a tour of hell to Aniha. What's the se...