Jeh tu aakhiya de samne nahi
Rehna ta biba saada dil murr de
_____________________________Kehne ko to lag raha tha ki waqt thaam gya hai aur dekhte hi dekhte raat hogyein thi.
Armaan ka kaheen alafz abhi bh jaise hawaon main goonj rahe the.
"Mujhe se nikkah karogi?"
Nikkah karogi ?
Marvi ussey dekhe ja rhi thi , kia wo mazak kar rha tha? Ya sanjeeda tha? Wo kuch kehnaa chaha rhi thi par jab puchna chaha rhi thi lekin jab awaaz aayi to wo khud nahi jaanti ki ki wo kia keh bethi thi.
"Karogi."
Armaan ka tasurat dheele pare the jaise wo ye umeed nhi rkh rha tha.
"Ab ghar chalo sare pareshan ho rahe Hoge"Wo kapre saaf krta utha'ta aur uski jaanab haath bariya.
Marvi uska haath thaame khudko sambhalti uth'ti uske sath kharri hogyii. Armaan na apne kandhro pa rkhi shawl ussey urha di aur apne joote nikal kr ussey ishara kiyaa ki pehnon, usne sar hilaye maana kiaa aur peche hui.
"Ab goud main to utha kr nhi le ja sakta na ...pehn lo"
Armaan na zidd ki.
"Aur tm kaise chaloge ?"
"Meri itnii fikar kbse hona lagi tmhein?"
"Jab se tmhein hona lagi meri."
"To ap mohtrama chahti hai ki main tumhein utha ke le jaun ?" Armaan kareeb aya tha Marvi ghabra kr peche hui.
"Maine aese to nhi kaha !"
"To pehn lo ! "
Wo phir bh nhi hili Armaan zeech hotaa ghontno k bal beth gya aur joote aageey kr dia uske pao k kareeb aur pehnaney laga. Dono joote ussey pehna kr wo utha aur uski jaanab ab dekhne laga tha.
"Chale?"
Ussne ik baar phir haath ageey kia Marvi na uska bariya haath tham liyaa.
"Chale."
__________________
Uss din ko guzre kaheen
din guzar gaye the. Nikkah ka din kareeb arhe the Armaan aur Marvi dono nikkah ka liye raazi hogye the lekin Armaan ki shart thi ki nikkah jald se jald ho wo nahi chahta tha ki iss main koi rukwat aye iss waja se usne apni maa tak ko nhi bataya iss bary main Hammad to khush thaa ki wo auraat iss haveli nhi aye aur Dadi Zainab bh unke fasley se raazi thi sab sahi ja raha tha Armaan k hisab se lekin ik khayal barbar bekarar kr rahaa ussey. Wo khayal ik larki thi, Maruim ... ik larki jo uska abhi bh intzaar kr rhi ha,uske nam pa bethe hai, uski raaha dekh rhi ha aur ik larki jo yaha thi jisko uski zarorat hai.
YOU ARE READING
Qubool Hai
Romance" Qubool Hai. " Ik ansoun girra tha uss kagaz par jis par wo kise aur k likh gayi thi. ________________________ "Qubool Hai. " Do shabd aur wo uski hogyi. Jo usne kiya wo galti nahi gunnah tha aur uss gunnah ki avaaz ussey toofe main wo mili thi pa...