chapter nine: zindagi ki kasuti

27 1 0
                                    

____________________________________

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

____________________________________

Zindagi main kuch log milte hai
aur kuch mil ker bichar jate hai
magar kuch log aese hote hai, jo adaat ban kr nas nas main iss tarah sama ne lagte ki insaan chaha kr unhe bh unhe rooh se nikal nahi pata aur thek wese hi Maruim dharrakan ban kr uske dil main dhakane lagi thi Aur Ismail ko khbr tak nahi nhi hone di

Yeh pagalpan nahi bewakoofi thi kise aese shaks ka feelings rkhna jis se ap kuch din pehle hi mile ho magar mohabbat ka ehsas shyed aese hi hota hai. Daabe pao ata hai aur ghr bana leta hai. Mujhe miley bhale hi kuch din hue the, ussey jaane hue bh kch din hue the lekin yuh lagta tha ki saadiyo se jaante ho. Ankhein band krta to wahi dekhai deti, ankhein band krta to dil uski hi raaha dekhta. Uski sahil main doobti suraj se gehri chamakti ankheinz, uski naadan baatein, uss pa sar pata'tey hans na ka andaz, masoom dil, baat baat pa jhalak'ti nighain, un main baise khawb, uska chehra , uski har ik chez, ehsas ban kr Ismail main jhalak na lagi thi.

Log sahe kehte hai. Jab mohabbat hoti ha to sabse pehle unhe nahi balki dunia walo ko khabr lag jaati hai kyunki ankhein bol deti ha, wo raaz bh bata deti hai jo insan khudse bh chupata pheerta hai. Aur Safaina apne bhai ki ankhein parh lia krti thi. Wo sare halat se waqaif thi aur shyed phupho bh. Tabhi to wo barbar Maruim ko Ismail ka sath bhej deti jaise ka aj wo Shaadi ka shopping krne gye the aur phupho na koi bahana kr un dono ko ikhata bhej dia aur safaina ko lekar ghr wapas aagyi. Wo nahi jaanti thi ki unhe yeh sab kr ke kiya milega or inn sab main unka kia iraada tha lekin jo bh ho rha tha us sab main dil sirf aur sirf Ismail ka tootega. Bachpan se lekar mohabbat aur apnayat ka naam par ussey sirf thokre naseeb hue hai, wo nahi chahti thi ik aur bar uske bhai ka dil toote ya wo dil kahin aese jaga lagaye jaha sirf ruswai or dukh ka ilwa uss kch naseeb na ho.

Maruim lakho main ik thi. Safaina khush dil e se ussey apnati agar Armaan or uski bachpan se baat paki na hui hoti to aur wo ache se jaanti thi ki wo dono ik dosre ko kitna pasand karte hai in sab main dil sirf aur sirf Ismail ka toot'na tha jo ki wo hargiz hona nhi de sakti thi.
__________
"Ap achaank yeh merhbani q kar rahe hai mere upar?"

Maruim sahi keh rhi thi inn manufiqon ka Ghar ana hi nhj chahye tha.

Hammad Khan jo kehne ko to uska saaga chacha tha. Lekin aj tak usne kabhi nibhaana to dur kabhi jataaya tak nahi aur aj achaank se unhe yaad agya tha ki unka ik adaad bhatija bh hai aur wo chahte hai ki ab wo wapas na jaye balke unke sath rahe aur unka karobar main hath batt'ye.

"Kyunki mere bhatije ho ! Mere khoon ho ! Main nahi chahta ki Faiz haveli ka waris Sidqui haveli ka gulami kare aur unki chaukhat pa umar guzare !"

Ik umar guzari thi iss admi na iss khaandan ka naam kayam aur dayam rkhne ka liye. Wo apne Bhai ko to nahi ruk saka inh Siddiqui khandan main  shaadi krne se par ab apne bhaatije ko unke chaukhatt ki dhul bante nhi dekh sakta tha.

Qubool HaiWhere stories live. Discover now