1| 𝑷𝒉𝒆𝒍𝒊 𝑵𝒂𝒛𝒂𝒓

64 18 9
                                    


کب تحریگا درد-ع-دل کب رات بسر ہوگی
سنتے تھے وہ آئینگے سنتے تھے شہر ہوگی

Kab tehrega dard-e-dil kab raat basar hogi,
Sunte the woh ayenge sunte the sahar hogi!

❃❃❃❃❃❃❃❃❃❃❃❃❃❃❃❃❃

It's morning.The light of the day from the window falls on noori's face and along with it the alarm clock is also rings.She rubs her face with her hands and put the alarm off then she sees the timing on the clock.It was about 7 O'clock and she was late for her University as usual.Now without and delay she run into the bathroom and after abouts in 10 min she came out, freshened up and come to downstairs she greeted everyone with saalam.

"Assalam alaikum everyone"
Everyone: "Walaikum assalam beta ji"
Then she wish nimisha a good morning.
Nimisha: "Uth gayi maharani"
Noori smiled and said "Okay so I'm leaving for University"; 'Allah hafiz'
Nida(nimi's mum and nur's taai ammi): "Beta nashta tou karke jao"
Noori: "Nai taai jaan abhi waqt nahi hai mai canteen mai khaa lungi;
waise bhi it's too late"
Ulfat(nur's mum and nimi's chachi): "Woh tum kab nahi hoti?" She said tauntingly. Noori nodded in hmm and again says byee to her parents and she leaves for University.

Time Skip at University

Noori reaches the university at around 7:30 and there she sees Rumi (her best friend) waiting for her at the gate like always.Rumi looks at Noori from a distance and waves to her and both of them hug each other.after that they both go inside the class room.

******************

In nawab villa(noori's house)

Nawab uncle (nimi's father): "nimisha beta jaldi taiyaar ho jao"
Nimi: "kyun abbu koi aa raha hai kya?"
Nawab uncle: "ji beta tumhare Ibrahim uncle (nawab's childhood bestfriend) aa rahe hai"
Nimi: "Accha waise kafi dino baad aa rahe hai"
Nawab: "Han ab ayenge na tou tum khudh hi unhe puch Lena aakhir itne dino baad kyun aaye hai!"
Nimi nodded and goes to her room for getting ready.

She wore a light pink kurta and along with blue jeans, applied a light red blush to her cheeks and completed her look with a taupe of orange lip tint. Till that "Guests Arrived".

Nimi: "Assalam alaikum everyone"
Everyone: "Walaikum assalam"
Naima aunty: "You grown a lot" said in excitement and while kissing on her cheeks. Nimi giggles and both of them chuckles and sits on couch
Nawab uncle: "Where is your son Ibrahim"
Ibrahim uncle: "oh there he is" he calls his son.... "here, he is my son FARAZ"
Faraz: "Assalam alaikum" said with a huge smile on plastered on his face.
Everyone: "Walaikum assalam"
Nawab: "Masaallah, Faraz you grown up as a handsome and tall boy"
Faraz: "Thankyou uncle" (giggles)
Naima (Faraz's mother): "waise humari nimisha bhi kam nahi, she is also grown up as a beautiful and cute girl"
Nimi: "Shukriya aunty"
Naima: "well ab se tum mujhe aunty nahi ammi bulaogi"
Nimi: "huh?" she got confused like why would she call her mom? Then she saw Faraz who was already looking at her after that both of them give slight smile to each other.

Faraz POV:

Mujhe aaj bhi yaad hai! America se lout ne ke baad jab mai nawab uncle se Milne aya tha tab maine inhe pehli baar dekha safed kapre mai malboos kitchen ke bahir woh apni bikhare zulfen sawaar rahi thi "MASAALLAH" "khubsurat bhot khubsurat" mere zehen se bas yahi alfaaz nilke the uss waqt mein un mai kho gaya tha jaise woh duniyan ke aakhiri ladki ho aur dekhte hi dekhte woh kitchen mai dakhil ho gayi. "Unke baal tou sulajh gaye the magar mein... mein ulajh ka reh gaya!!" Aur ab takriban 6 mahine baad mila hu inse bilkul pehle jaisi hi hai ya phir shayad ammi ne sach kaha hai phele se kafi jayada khubsurat ho gayi hai. Mohabbat tou mujhe inse pheli hi ho gayi thi magar rishta mangna mere ikhtiyar mai nahi tha... kahan mein ek khasi choti pesticides ki company chalne wala ladka aur kahan woh woh sheher mashoor police officer ki beti aur ek foreign millitary service officer ki behen kitna fark tha hum dono mai. "Magar beshak kisi ne sach hi kaha hai mohabbat agar sacchi ho tou mil hi jati hai" chahe kitne bhi mushkilat kyu naa ho aur "sacche dil se mangi dua kabhi khali nahi jati". mujhe tou iss baat ka koi ilam nahi tha ki ammi Abba yaha nawab uncle aur unki family se milne nahi balke mere liye nimisha ka rishta mangne aaye hai... "Allah(SWT) bhi kaise kaise raaste banata hai humari dua ko qubool karne ke liye"! Aur aaj unhi (allah) ke karam se mujhe meri mohabbat hasil hone wali yani meri NIMISHA mujhe milne wali thi.

END OF FARAZ POV

Nimi's POV:

Mai bohot khush thi jab abbu ne Ibrahim uncle aur unke family ke ane ki khabar batai. Aur yeh Khushi bas aunty uncle ke aane ki nahi thi balke Faraz ke ane ki bhi thi. Mai aakhiri baar Faraz se kab mili thi yeh yaad karne mai mashroof thi ke ammi ne mujhse sabke liye chai lane ka kaha. Mai uth kar kitchen ki taraf chali gayi thodi hi derr mai chai banane ke baad Maine mulazma se kaha "Samina Baji mehmanon ko chai serve karde!" mulazma ne meri hidayat par amal hue sab ko chai dena shuru kardi mai bhi kitchen se bahir aa gayi meri nazar musalsal Faraz ki taraf hi thi usne meri taraf dekhte hi ek halki se muskurahat peesh ki aur kuch sochte hue chai ka cup uthaye pine laga. Jaise hi usne chai ka ek ghont piya har bar ki tarah iss baar bhi usne meri tarif ki "chai kafi accha bana leti hai aap" aunty uncle ne bhi uski tarit ki phir mai ammi ke side par sofe mai baith gayi saare chai pite hue apas mai baat karne mai mashroof the ki mera dimaag musalsal uske hi khayalon mai tha kuch sochte hue mujhe uski baat yaad ayi.....

FLASHBACK "woh mujhe yeh kehna tha , kafi khoobsurat hai aap ; agar aap bura nahi mane tou ek baat keh sakta hu? "woh mujhe apse mohabbat hai!" Usne ek saans mai saari baatein keh di thi mujhe tou bolne ka mauka hi naa mila tha. yeh saari baatein sochte hue mai muskura rahi thi ya yun keh le blush kar rahi thi. "Tou bataiye kya khayal hai apka iss rishte ko lekar?" Uncle ne baat ka mozu badalte hue pucha kuch soch kar ammi abbu ne apni Nazar meri taraf dohrai aur phir abbu ne kaha "mazrat chahata hu Malik shab (surname of Faraz family) hum apko apni beti se puch kar jawab denge!" Malik family ne baat ko samjhte hue han mai apna sar liya diya.

END OF NIMI'S POV

Assalam alaikum readers ,
I hope you all like this chapter many more to come if you like it do hit the star button below and comments ur opinion also don't forget to share with your friends will post chapter 2 soon. 🙈❤️
IN-SHA-ALLAH 💗

Mohabbat Ka Zouhar (On Hold)Where stories live. Discover now