SONU'S POV

426 29 1
                                    

Sonu takes Tapu to his apartment makes him sleep in the bed, leaves him a sticky note and leaves

Sonu’s Bedroom

Sonu couldn’t forget Tapu’s words and broke down

Sonu: Tapu maine jaan much ke nahi kiya tha woh agar main uss wakt woh nahi bolti toh baba ko kho deti

Flashback

Sonu and Tapu had applied Harvard at the same time as Tapu was taking Business major and Sonu had applied for Chemistry major

1 day before the results were out
Sonu was in her room listening to music when she decided to go talk to her father regarding the admission process

Sonu heards her Bhide talking

Bhide: Madhvi, Sonu ne Harvard ke liye apply toh kardiya hain with scholarship par main scholarship ke baad bhi afford nahi kar paunga

Madhvi: apni FD tor dete hain

Bhide: woh FD maine Sonu ki shaadi ke liye rakhi hain Madhvi agar woh abhi tor di toh Sonu ki shaadi main paise kaha se layenge

Madhvi: student loan

Bhide: waise hee 2 loan baaki bank 3 loan dene nahi dega aur main kya girwi rakhu iss ghar ke alawa sab kuch toh girwi hain Madhvi agar ye ghar bhi girwi hogaya toh hamane paas jaane ke jagah bhi nahi hogi

Madhvi: lekin Sonu ka admission agar hogaya Harvard main phir

Bhide: phir Jethalal ke saamne jaunga aakhe neeche karke aur usey loan lunga

Madhvi: aise kyu bol rahe hain Jetha ji toh ghar ke hee log hain

Bhide: Jethalal joh 12th paas hain mujhse jyaada kamata hain aur main yaha college deegree ke sath abhi bhi ghar ke kharche poore nahi parte

Madhvi: aap aisa kyu soch rahe hain

Bhide: Madhvi meri galtiyo ki sazaa meri beti bhutke gee

Madhvi: matlab

Bhide: mujhe bhi apne baaki dosto ke tarah kisi baare institute ya college main parahna chahiye tha lekin main ye sab kar raha hoon agar kisi bari jagah main paratha toh ye din nahi aate

Madhvi: abhi aap bas yahi maange liye ki Sonu ka admission ho jaye

Bhide: haan

Madhvi: acha nimbu ka achaar banana hain

Madhvi and Bhide started talking about their business

Unbeknownst to them Sonu had heard everything

Sonu goes back to her room

Sonu: main Harvard Jaa hee nahi sakti mujhe yahi rukna hoga lekin Tapu ne pucha toh kya jawab dungi woh toh jaake seedha ai aur baba ko bata dega aur phir ai aur baba mujhe bhej ke hee rahenge aur agar maine paiso ki baat ki toh baba ka sar jhug jayega aur main Aisa hone nahi de sakti

And the day of the result arrived and in a spur of a moment she blurred out those words

Flashback ends

7 YEARS LATER (ON HOLD)Where stories live. Discover now