saqab aswad

8 1 0
                                    

Mai ek mamo le ladki the jisne dastak de the sitaroo me. Jis kadar khubsurat Or nayam kehkasha bataya jata tha taalim mo me waisa manzar nhi tha. Khamoshi, akela pann, bebasi the waha par. Maine bas ek chiz mange the udhar ki koi  insaan, ya parinda, ya koi maakhlookh mil jae jo mere ye khamoshi ko shorr me badal de. Insaan ko be kadar shukrana padhna chahiye uss khuda ka jisne usse aise dabarr padaa kiya jaha phool, phal, or wo Sare nemaat hai jisse uska  juzara hota hai. Mai masrakeen ladki jisko duniya ve kehkashaoo ke razz  janne ke tejassus the. Mujhe wo saqab aswad (blackhole) ko dekhne ke tejassus the. Jaha koi bhi jata toh kabhi wapis na atta. Kisse ne kaha ki wo dur se dunya ka darvaza toh kisse ne kaha ke jannat ka rashta. Alag alag afwah bayan hote the sab se. Kehkashaoo me wahi log ja sakte the jinho ne uski taalim le the.
Mera khawab tha ki mai saqab aswad me kahi  kho jao iss shor shar ki duniya se kahi durr sitaroo me soo jao .Jo log khate hai ki duniya apne app banne hai unlog ko kha do ki be kadar harr sitaroo, har saiyaroo, har kayenaat ko be inteha khubsurat Or kamil banaya wo ek khuda he ho sakta hai. Uspe yakeen karo, uske hakeekat  par shak na karo. Mai bachpan se sitaroo Or saqab aswad ko janna chati the. Maine uske taalim mukammal ki or waqt anne ka intezar kiya ki kab mai un Saiyaroo or sitaroo ko ru baru kar sako ge. Saal guzaar gae intezaar me mai 40 saal ke ho chuke the tab mere senior ne kaha ab tumhare baare hai kehkashaoo me janne ke. Mai uss waqt apne rahno guman me na rahe. Iss waqt intezaar kiya tha maine iss paal ka ki koi soch bhi na sakke. Jab me ( khalayi  jahaaz) yani spaceship me bathe the toh zamaanat nhi the ki mai lawtoh ge
Mujhe kehkashaoo ka chakar laga kar wapis anna ka hukm tha. Mere mann uss bekar sadi zindagi me jaane ka nhi tha. Mukammal 3 mahine guzaar chuke the. Maine dunya me jane se inkaar kar deya tha . Khalayi jahaaz me pure 1 saal jitna khana tha mai ye saajeesh me the ki mai lutt aoo ge jald. Par mujhe kya pata tha ki khalayi jahaaz apna rookh badal chuka the aisa lag raha tha mai koi dur se kaaynaat me hu. Or din beed gae mujhe waqt ka mamool ab samjh nhi araha tha ki mai kaha or kab se hu iss Kahkhashaoo me . Khamoshi akela pann ki waje se mujhe apne dil ke darkan bhi sunaee de rahe the. Shayad pura ek saal chala gaya tha khalayi jahaaz se khane ka saman or sab chiz khatam hone lagee the. Mai ab nhi jante the ki mai ab kya karo. Phir mujhe yaad aya ke bachpan me ek kitaab padhe the kehkashaoo or kaynaat ke bare me. Ki kaise wo shak khalayi jahaaz me aloo ugata hai or apna jeewan bita ta hai. Saal pe saal guzaar te ja rahe the mujhe ab khud nhi pata tha ki ab iss zindagi ka kya rokhh hai. Achanak se teez raushni ke chaya mujhe par padhe or mai apne hosh or hawass kho bathe. Or phir mere ankhein khul gae aisa laga ke koi bada sapna dekhe the Maine jis chiz ko maine apne harr dua me maanga tha or phir uspar afsos kiya tha. Par wo koi sapna nhi tha 5 saal bitth chuke the mujhe Kehkhashaoo me Or 36 saal duniya yani dharti par. Mere apne bade Or chote mujhe kafi bade ho chuke the jaha mai sirf 45 saal or kuch toh ye duniya se bhi ja chuke the. Ye baat Sare makhlool ko maloom hona chahiye ki agar khuda tumhe kuch nhi de raha hai chahiye jitne manaat tumne maange hue ge uske. Toh samaj jao ge wo chiz tumhare liye behtar nhi hai or tumhara khuda tumhara behtareen jeewan chata hai. Mera sapna saqab aswad ko dekhna sapna  he rah gaya q ki jo chiz uske kareeb atte wo usse apne andar samaa deta Or mere behtre usme the ki mai usse na dekho Insaanon khuda par yakeen karo uske hakeekat  par kabhi shak na karna. Ye namate jo uss ne tumhe de hai iss duniya me baag, nadya Or sab kuch uska shukrana karo jo tumhe tumhare behtre ke liye kaam aee ga. Ek sher yaad atta hai ki "Na mai ameer hu, na mai gareeb hu, na mai badshaha Or na mai vazir, aee khuda teri ishq hai mere sultanate Or mai uss sultanate ka fakir hu ".

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: May 18 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

saqab aswad Where stories live. Discover now