Chapter 1.5

1.3K 33 1
                                    

13 saal ka ladka TV par music show dekhne mein masroof tha jab Tyyaba ne jhaanka. Usne apne bete ko kuch dair dekha aur phir kuch pareshani se kamray mein dakhil hui.

"Kya ho raha hai?"
"Main TV dekh raha hoon," usne baghair uski taraf dekhe jawab diya.

"TV dekh rahe ho? Khuda ke liye! Tumhein pata hai ke tumhare imtihaan shuru ho gaye hain?" Tyyaba ne uske saamne kharay ho kar poocha.

"To kya?" usne chir kar jawab diya.

"To kya? Tumhein apne kamray mein apni kitaabein lekar hona chahiye, na ke yahan baith kar yeh behooda show dekh rahe ho," Tyyaba ne usay daanta.

"Maine jitna parhna tha parh liya hai. Ab please raasta chhodo." Uske lehje se uski chirchiraahat wazeh thi.

"Phir bhi, andar jao aur parho," Tyyaba apni jagah par ad gayi.

"Nahi. Main nahi uthoon ga, aur na hi andar ja kar parhoon ga. Mera parhna aur mere papers mera masla hain, tumhara nahi."

"Agar tumhein apni parhai ki fikr hoti to kya tum yahan baithe hote?"

"Hatt jao." Usne Tyyaba ke lafzon ko nazarandaz karte hue usay rudely hatane ko kaha.

"Main aaj tumhare walid se baat karoongi," Tyyaba ne dhamki deni ki koshish ki.

"Kar lo baat, mujhe koi faraq nahi padta. Kya hoga? Wo kya kar lenge? Main keh chuka hoon ke maine apne imtihaan ki tayari kar li hai, to phir tumhara masla kya hai?"

"Yeh tumhara final exam hai. Tumhein iski fikr karni chahiye." Tyyaba ne apni tone naram kar li.

"Main chaar saal ka bacha nahi hoon jo tumhein mere peechay lagne ki zaroorat hai. Mujhe apni zimmedariyon ka tumse behtar andaaza hai to mujhe apni fazool naseehat se tang mat karo."

"Tumhare imtihaan chal rahe hain. Apni parhai par tawajju do. Tumhein apne kamray mein hona chahiye. Main tumhare walid se baat karoongi!"

"Kya bakwaas hai!" Khara hote hue usne remote control deewar par phenka aur paon patak kar kamra chor diya. Tyyaba bebas aur zaleel mehsoos karti hui usay dekhte rahi.

(Share save n add to ur library...)

Peer-E-Kamil (The Perfect Mentor) - Roman Urdu Where stories live. Discover now