Yaar bhi, Pyaar bhi.

5 1 0
                                    

Kuch roz pehle kuch aisa hua ki,
Hum haare aur tum jeete.
Yaari aur pyaar, badi kambakhat cheej hai,
Isme haaro ya jeeto, Dard hona toh taye hai.


Humaari badnaseebi yehi thi,
Ki yaari bhi tumhi se thi aur mohabbat bhi.
Dosti toh humne hosh mein kari, magar mohabbat anjaane mein kar baithe.
Mohabbat chodo, yaari bhi bhula di,
Tum humse kuch is kadar ruthe.


Hum iss uljhan mein fass gaye ki,
Ab manaaye toh kise? Yaar ko ya pyaar ko?
Kyuki agar humne tumhe paane ki jung,
Fateh karli toh humara yaar hi pyaar hoga,
Aur agar hume shikasht naseeb hui toh,
Naa yaar rahega na pyaar.


Magar naa humari yaari itni kamzor thi na mohabbat,
Hum tumhaari yaari hi sahi, magar usse paane ke liye ladenge. 

Aur agar haare,
Toh is qadar harenge ki,
Tum jeet kar bhi pachtaoge.

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Found love in your friend? Great if they love you back! Worst if they dont. And in the battle of winning their love you either win them or lose yourself. Settling to be their friend even when you love them with everything in your heart and soul must be tiring. But if you lose them then you haven't the battle. You have won. They lost the gem you were. 

Lemme know how did you like this and keep supporting!

LOVE LOVE :)

UNKAHIWhere stories live. Discover now