CHAPTER ³⁰

675 14 1
                                    


AUTHOR POV:

"Dadi sa aap is siyasat ki thakurain ki beizzati ker rhi hai or hame ye bilkul nhi pasand ki koi hamari kavya ki beizzati kare" rudraksha helke gusse se kehta hai

"Ke ker lega tu chore or ja baat dhyan me rakhle tu abhi is siyasat ka thakur bano na hai to ya chori thakurain kese ho gai or kiya bharosa iss chori ka ager ya bhi pehle wali ki tarah dhoka deke bhaag gai"

"Parvati zaban sambhal ker baat ker tu jisse baat ker rhi hai wo iss gaddi ka waris hai"

"Per isme galat kiya hai mene Jo kaha sahi hi kaha hai"

"Chalo kavya hum yaha se chalte hai gelti kerdi humne aapko yaha Lake"

"Na chore ruk ja itne waqqt baad aya hai apni maa se mile Bina hi chala jayga... Maa sa Maan jaiye na har chori is avantika ki tarah na hove or hamara rudraksha bewakoof na se jo baar baar dhoka khayga"

"Manne kuch na pata tumhe jo kerna hai kerlo me ja rhi hu" parvati waha se upar chali jati hai

"Diya ja dusri thali leke aa manne Mari Bahu ta swagat kerna hai"

Diya fir se aarti ki thali lati hai Ashwini dono ki aarti kerti hai or kavya ka greh parvesh kerti hai uske baad Anika ka greh parvesh hota hai

"Bahu idhar aao mere pass" kavya Jake Ashwini ke pass beth jati hai

"Bhai sa humne apse kaha tha ki aap Mumbai se mere liye ek accha sa gift leke ana aap to hamare liye sidha bhabhi le ye" savi ake rudraksha ko chedne lagti hai

"Choti isse accha gift tere liye kiya hoga tu hi to kehti thi tujhe bhabhi chahiye"

"Per Bhai sa hame apki shadi me nachna tha na apne shadi Kari thi to aap hame bhi bula lete"

"Accha ab tum chup Karo or hame hamari Bahu se milne do" Ashwini ji kavya ka ghunghat uthane lagti hai

"Maa sa apko nhi lagta ki kuch atpata hai"

"Ke atpata se"

"Ye ghunghat uthana wali rasam to dulhe ki howe to ye aap kyu ker rhi ho"  rudraksha ki baat sunke kavya or waha khade sabka muh khula reh gaya

"Ye rudra bhi na aaj kal kuch zyada besharam ho rhe hai inhe to me baad me btaungi" kavya apne man me kehti hai  sharam se uska chehra laal ho gaya tha

"Chore tu ye rasam bohot pehle hi kar chuke hai to ab apni maa ko kerne de" yuvraj ji Rudraksha ko ghoor ke dekhte hai

"Hann or ager dubara kerne ka zyada dill hai to apne kamre me jake ker liye aram se" unka sath dete hue madhav ji bhi rudraksha ko chedne lagte hai kavya ka muh sharam se laal ho gaya tha ye sab sunke wahi Reyansh, manik , Yash or jay muh daba ker apni hasi control kerne ki koshish ker rhe the

"Chup ho jao aap sab or Rudraksha tu Sudhar ja werna tujhe bohot marungi me" Ashwini ji sabko ghoor ker dekhti hai or kavya ka ghunghat utar deti hai

"Kh-kha-Khambagadi maa sa" kavya jo apne samne itne logo ko dekh ker ghabra gai thi

"Rudraksha tu chori to badi chokhi laya se kisi ki Nazar na Lage Mari bindni ko kiya naam hai beta apka"

"Mera naam kavya hai kavya shar-"

"Inka naam kavya rudraksha singh thakur hai"  rudraksha  kavya ka hath  pakad leta  hai

"Tum dono ko kisi ki Nazar na Lage chora"

"Han didi aap keh to sahi rhi hai roop to bohot Sona hai chori ke pass bas gud bhi iski Surat ke lane chokhe hi ho" sonali apni jalti nazro se kavya ko dekh rhi thi

"Are wahh bhabhi aap to bohot zyada Sundar hai" navya ake rudraksha ko side kerti hai or khud un dono ke beech me beth jati hai

"Navi ye kiya badtameezi hai"

"Kiya hua Bhai me to bas bhabhi ke paas aker bethi hu"

"Tum meri jagah per bethi ho"

"Me sirf apki jagah per bethi hu apki patni leke nhi bhagi hu jo aap itna chidh  rhe hai"

"Lekin-"

" use chod chore tu ye bata tune itni badi baat hum sab se chupai kese"

"Aaa bua kaan chodo dard ho rha hai" Amrita ake rudraksha ka kaan pakad leti hai

"Na chodu to, hum tere apne pariwar Wale hai or tune hamse hi itni badi baat chupai"

"Bua apko puri baat baad me bataunga"

"Raat 10 baje Chat pe jhule per bethke chai ke sath" rudraksha or Amrita ek sath kehte hai or dono hasne lagte hai

"Bahu me rudraksha ki bua yani tumhari bua saas hu"

"Or ye meri dusri maa hai or ye inki nakchadi beti navya"

"Or aap jalkukde , bhabhi apko pata hai bhai mujhse bohot zyada jalte hai kyuki maa mujhse zyada piyar kerti hai na"

"Nhi navya me abhi bhi sabse zyada piyar apne akshu se kerti hu" ye sunke navya ka muh band jata hai

"Are  yaha to in dono ne apna dera jama liya koi hame bhi apni bhabhi sa se milne dega  kiya" rajni peeche khadi hoke muh bana leti hai

"Are rajni tum naraz kyu hoti hai me milwati hu na  kavya me Ashwini rudraksha or tumhari maa siyat ki thakurain ye hai mere pati yuvraj singh thakur , ye hai dhruv hamare dever or ye unki patni sonali ye inki bahu rajni hai are daksh kaha hai"

"Me yaha hu thaku maa" daksh piche se age ata hai  daksh dikhne me bohot zyada handsome tha kurta pajama me wo zayada takatwar lag rha tha uski ankhe bilkul rudraksha jesi thi uthi Hui muche chehre pe ghamand or ek evil smile ke sath vo kavya ke samne khada tha

"Hm..ye daksh hai rajni ka pati"

"Khambagadi bhabhi sa" daksh niche jhukta hai or kavya ke per chuta hai or Rudraksha ko ek evil smile kerke apni eye wing ker deta hai rudraksha gusse se apni muthiya bana leta hai

"Akshu shant hoja gussa mat ker daksh hamara kuch nahi ker sekta hai apne upar kabu ker yaha sab bethe hai"

"Or ye madhav diya inse to tum mill hi chuki ho ye savi hai meri beti Uday apni padhai ke liye bahar Gaya hua hai" kavya sabse acche se milti hai upar khadi parvati sab dekh rhi thi unki ankho me helke ansu the wo apni nazre samne deewar per lagi 2 badi tasveer per jati hai jo 2 ladkiyo ki thi dono hi dekhne me bohot takatvar lag rhi thi uchi kursiyo me bethi wo kisi rani se kam nhi lag rhi thi

"Na jane ab ye siyasat ki jang kiya mood legi hum nhi chahte hukum Rani jo salo pehle hua wo dohraya jay per har baar ye siyasat ki jang sab kha jati hai"














HIS INNOCENT THAKURAIN Where stories live. Discover now