In night 11:59 dhruv tara ke bedroom mein
(Tara raat ka shower le kar apne kamre mein aati hai or dekhti hai pura kamra saja hua tha aab pure 12:00 par jaate hai dhruv piche se tara ki kamar pakad kar keheta hai)
Dhruv -: janamdin ki hardik shubhkamnaye rajkumari ji 🙈🙈
Tara -: are dhruv ham to bhul hi Gaye the ki Aaj hamara janamdin hai is sab ki kya aavshyakta thi
Dhruv -: Aaj ke din duniya ki sabse khubsurat ladki ka janamdin hota hai to kuch special to Banta hai na sweetheart
Tara -: ji sw..ee..th..hea..rt arthat
Dhruv -: arthat janeman
Tara -: kya dhruv aap bhi na vaise ye kaksh bohot khubsurat sajaya hai kisne sajaya
Dhruv -: apni tara ke liye ye sab koun kar sakta hai uska dhruv hi na dekho tumhe sugandhit mombati pasand hai to maine vahi mombati jalai hai tumhe gulab ke phool pasand hai to maine unhi gulab ke phoolon se pura kamra sajaya hai
(Dhruv tara ke or karib aata hai)
Tara -: ye kya... Kar rahe ho chodo na 🙈💗💗
Dhruv -: kyu raat bhi hai pyaar bhi hai sama bhi hai or khubsurat biwi bhi hai to kyu chodu
(Dhruv jaise hi tara ko kiss karne wala hota hai vaise hi darwaza bajta hai)
Dhruv -: koun hai
(Bahar sab log tara ko wish karne aaye hote hai dhruv Gate kholta hai)
Everyone -: happy birthday to you happy birthday dear tara happy birthday to you ....
Tara -: aap sab abhi Tak jaag rahe the hamare liye
Sushila -: tu hamare liye itni khas jo hai
Sushila -: janam din ki bohot bohot badhai beta
Dadaji -: janamdin mubarak ho tara beta
Saraswati -: janamdin ki bohot bohot badhai taru bhagwan aapko saari khushiyan de
Prince, khathi, meethi , -: happy birthday tara bhabhi
Jay -: happy birthday tara ☺️
Aayesha 😒 -: happy birthday tara
Aur end mein shourya -: maa sa ... Aapko janamdin bohot mubarak ho aur aap duniya ki sabse achi maa sa hai I.. love ... You.... Maa sa
Tara -: I love you shourya kintu aapko ye I love you bolna kisne sikhaya
Shourya -: meethi bua sa , prince chachu ne
Taiji -: acha tara aab cake Kato
Tara -: dhruv aap bhi aaiye na or shourya aap bhi
(Dhruv tara shourya mil kar cake kaat te hai tara pehle shourya ko cake khilati hai fir baaki sab ko khilane jaati hai to meethi use keheti hai)
Meethi -: are tara bhabhi pehle dhruv bhaiya ko khilo
(Tara sharmate hue dhruv ko cake khilati hai or dhruv tara ko fir tara sabko cake khilati hai or sab tara ko gift dete hai par sabse acha toufa taiji or tauji ka hota hai are han han batati hun kya hai)
Taiji tauji -: lo tara tumhare janamdin ka uphar
Tara -: ye kya hai taiji tauji
Taiji -: ye ticket hai tum kal subha hi Mumbai Jaa rahe ho tum dhruv aayesha or Jay or shourya ham logo ke pass rahega
Tara -: par iski kya Jarurat hai
Sushila -: jarurat hai tara beta meri dono bahue pura din Ghar ke kaam mein hi lagi raheti hai abhi tum dono apne apne pati ko vakt do Ghar or shourya ko ham samhal lenge
YOU ARE READING
dhruv tara ff
FanfictionYe story start hoti hai jab dhruv tara shaurya Khushi Khushi 21vi Sadi aate hai aur shaurya dhruv ko apne pita ke roop mein swikar kar liya hai or is ff mein tara ki 2nd pregnancy dikhi jayegi so stay tuned