karwachauth ka din

88 12 0
                                    

(tara taiji  sushila or apni maa se aashirwad leti hai or taiji tara se kaheti hai)

Taiji -: tara beta dekhna to jara aayesha or meethi abhi tak kyu nahi aai ji maa

(Sab log apne apne kamo mein lag jaate hai par ye kya author rakshita ne kya dekh liya tara ki dori khuli rehe gai 🤣 oh God acha hai sab apne apne kamo mein Lage hai or kisi ki nazar nahi gai are par aab kya hoga are jab rakshita is here not to fear tara aayesha ke kamre mein jaati hai or gate bajati hai)

Tara -: aayesha ji... Aayesha ji

(Aayesha Gate kholti hai)

Aayesha -: han tara

Tara -: vo maa bula Rahi hai sargi ka time nikal jayega chaliye

Aayesha -: han main aai tum chalo

Tara -: thik hai ham tab Tak mithi ko bula lete hai

Aayesha -: han theek hai vaise tum bohot achi lag rahi ho

Tara -: dhanyawad, aap bhi bohot achi lag rahi hai

Aayesha -: thank you, main aati hun

Tara -: ji

(Tara meethi ko bulane jaa hi Rahi hoti hai ki koi use diwar ke piche khich leta hai are baba koun hoga obviously dhruv Babu 🤣🤣)

Tara -: dhruv aap aapne to hame Dara hi diya tha

Dhruv -: kyu kisi ki itni himmat hai kya ki meri tara ko aise khiche

Tara -: are par aise achanak se khichoge do darr hi jaungi na acha aab aapne hame aise kyu khicha

Dhruv -: kya kare Aaj to subha subha aapko dekh kar hamari neend hi udd gai

Tara -: dhruv aapka mansik santulan theek to hai na chodiye koi dekh lega

Dhruv -: sach kahu Aaj lagta hai sach mein hamara mansik santulan bigad gya hai apni tara ko dekh kar

Tara -: dhruv maa aa jayengi

Dhruv -: aane do I don't care about anyone

Tara -: dhruv aap kya kar rahe hai dekhiye hamari sargi ka samay nikal jayega

Dhruv -: hmmm thik hai main nahi chahta meri tara ka sargi ka samay nikal jaaye par baad mein.... 🫣

Tara -: abhi to chodiye

(Tara jaa hi Rahi hoti hai ki dhruv ki nazar tara ki dori par padti hai or dhruv tara ka haath pakad kar use piche ki taraf khichta hai)

Tara -: dhruv aab ye kya kar rahe ho

Dhruv -: sorry tara wo tumhari blouse ki dori khuli hai

Tara -: kya 😂

(Tara ye baat sunkar apna chahera dhruv ki taraf karti hai or hadbadahat mein apni dori bandhne ki koshish karti hai)

Dhruv -: tara tara kya hua itna ghabra kyu Rahi ho

Tara -: dhruv ye dori kaise khuli rehe gai kisi ne dekha to nahi na ye kaise aab kya

(Dhruv tara ko kas kar pakad leta hai)

Dhruv -: tara tara shhhhhh... Please relax kisi ne nahi dekha okay take a deep breath I mean lambi lambi saans lo

Tara -: han par ye bandh kyu nahi rahi

Dhruv -: main bandh dun

Tara -: ji par

Dhruv -: shhhh piche mudo

(Tara piche mudti hai or dhruv uski dori pyaar se baandhta hai or jaise hi uske karib jata hai to tara vahan se bhaag jaati hai)

dhruv tara ff  Where stories live. Discover now