Karishma : Madam sir aapko pata hai ki rishto mein kadwahat aana kab shuru hoti hai?
Haseena : Karishma Singh rishto mein kadwahat tab aati hai jab hum rishto ki qadr karna chhod dete hain.
Karishma : Nahi madam sir...rishto mein kadwahat tab aati hai jab hum rishto ko for granted lena shuru kar dete hain...jab humein ye lagna shuru ho jata hai ki rishta hai na, bass hai...hum akele to nahi hain...humein kisi ko ye prove karne ki kya zarurat hai ki hum uss rishte mein khush hain...humein ye jatane ki kya zarurat hai ki hum uss insan se Kitna pyaar karte hain...wo jaanta hai na ki hum usse kitna pyaar karte hain..bass wo jaanta hai...ab ismein baar baar batane jaisa kya hai...use pata hai ki wo humare liye kya maine rakhta hai bas...ab humein baar baar kyu batana? Jab hum aise ek rishte ko dekhne lag jayein na...tab uss rishte mein communication kam ho jati hai...which further leads to misunderstandings...fir aage jaakar ghalatfehmiyon se mat bhed hota hai..aur fir uss mat bhed se man bhed...fir hum rishta theek karne ke bajaye ye sochne mein samay vyateet karna shuru kar dete hain ki humse ghalati kahan hui? Are bhai agar ghalati ho gyi hai to usse seedha jaakar saamne wale se poochho aur ghalati ko theek kar lo...ismein sochna, planning plotting karne jaisa hai he kya? Agle bande ko jaakar confront karo ki theek hai...humse ghalati hui aur hum isse sudhaarna chahte hain...par nahi..humein to sab kuchh apne end se he karna hai...apna pov samajh kar dusre ke pov ko jaanne ki ichha aajkal jeevan mein koi rakhta he nahi hai...fir bol dete hain...ki shayad ye bhi waisa he koi insan hai jo aaya...thode din dil mein thehr kar chala Gaya...bass..baat khatam..rishto mein asli kadwahat tab aati hai...
Haseena : Karishma Singh...hum jaante hain ki iss baar aapka humpar bharosa karna aasaan nahi hoga...par..par hum wada karte hain ki iss baar aapka bharosa nahi todenge..
Karishma : Abhi tak hamne aapke prastaav ko haan nahi kaha hai madam sir🙂...par hum ye nahi keh rhe ki hum aapko nahi he kaheinge...aap hamein thoda waqt dijiye
Haseena : Aapko jitna waqt lena hai aap lijiye karishma...aap jab bhi apne jawaab ke saath sure hongi..humein aap yahin he payengi...aap..aap tension mat lijiyega...aur stress lene ki bhi zarurat nahi hai...aur ek baat..hum nahi chahte ki humari...humari dost itni saari dawaiyan khaaye...to agli baar jab hum milenge to hum aapko itni saari dawaiyan khaate hue nahi dekhna chahte hain...theek hai
Karishma (forceful smile) : ji...ji madam sir...
Haseena : Chaliye...aaj ki shaam hum aapke saath bitaana chahte hain...aap bataiye kya kaam karna hai..hum aapki madad kar dete hain...
Karishma : Are..
Haseena (cuts her) : Are ware kuchh nahi...hum madad kareinge to kareinge he...bass
Karishma : Achha theek hai...aap ek kaam kijiye..ye saare bags nikaal kar drawing room mein rakh dijiye...bass...fir hum kamra samet lete hain...theek hai ?
Haseena : Chaliye ye bhi theek hai...aur kuchh nahi to yahi sahi...uske baad hum dono kahin bahar jaakar ghoomeinge aur kuchh kha kar fir so jayenge...waise bhi kal aap nikal rahi hain Sitapur ke liye to aaj ka din hum dono saath mein bitayenge...ye to Allah ka lakh lakh shukr hai ki aap aaj he na nikalne ke liye maan gayi..
Karishma : Ji ji madam sir...aap ye kaam kar lijiye aur hum ek phone call karke aate hain..
Haseena : Theek hai karishma singh..
Karishma goes to make a phone call
<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~
On call
Karishma : Ama tum thoda aur late phone call uthati na to ham phone mein se he ek kantaap laga dete tumhein
Receiver : Are kya hai yaar babydoll ! Na aap khud soti hain na mujhe sone deti hain...itni mushqilon se to chain ki neend aayi thi..wo bhi kharab kar di 😔😔
Karishma : Ama tum topa ho ka?! Ye bhi koi samay hai sone ka?! Achha hamne ye batane ke liye call kiya hai ki hum aaj nahi aa payenge..kal niklenge Sitapur ke liye...to tum koi taiyaari mat karna aaj..😑😑
Aamya : Are haan ! Aap to aaj aane wali thi na...main to bhul he gyi thi...chalo achha hai aap kal aaoge..main room bhi thoda saaf kar lungi tab tak...aur rashan pani bhi le aaungi😅
Karishma : Aur yahan ham tumhari chinta kar rhe the ki tum hamare liye pareshan ho rahi hogi..hum he topa hain..🤦♀️
Aamya : Aap topa ho ye baat to mujhe pata he thi...also ki mujhe aapki chinta karne ki koi need he nahi hai kyunki aap apni protection khud kar sakte ho my beautiful😘😘
Karishma : Ama tum na ek kaam karo waapas so he jao...tum jab bhi uthti ho tab he tumhara flirting shuru ho jata hai...so jao tum..aur kal hum aa he jayenge...good night🌙
Aamya : Okay my sexy lady...good night 🌙 😘
<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~
After the call, karishma goes to clean her not so messy room and then both of them (KarEena) go outside and wander here and there, eat food and then come back home
Haseena : Aaj to bohot maza aaya karishma..
Karishma : Haa haseena! Aaj to sach mein bohot khushi mili hamein bhi...shaanti mili...kaafi waqt ke baad..
Haseena : Chaliye ab aap bhi so jaiye karishma..kal subah aapko apne naye thane ke liye bhi nikalna hai...Iss baar hum aapko nahi rokenge...aapke saath khade honge...also..aapko khud ko badalne ki koi zarurat nahi hai karishma...aap jaisi hain, waisi he kamaal hain...good night
Karishma : Dhanyawaad Haseena...hum..hum apne jawaab ke saath taiyaar hain haseena...hum..hum humare rishte ko ek nayi shuruaat dene ke liye taiyaar hain haseena..
Haseena : Thank you..Thank you soo much karishma..humein ek Naya mauka dene ke liye..thank you very very much...I love you...chaliye ab so jaiye...good night
Karishma : Good night haseena!😊
<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~<>~
I repeat...this is not the end..kyunki
अंतः अस्ति आरंभः।
ये तो बस शुरुआत है..
Baaki ka agle part mein..
Vote target : 20
Comment target : 10
Bye bye my lovely beautiful sexy readerss❤❤😘😘
I love You All 🖤
WRITER SIGNS OFF 👋👋