3

101 38 6
                                    

Some days passed away,

Finally they defeated bhasm and ageel too was at peace not doing anything but they were alert.

Kaashvi was handed the magical powers and with the help of veer, she was now using it efficiently.

One night,

Kaashvi was reading a book sitting on the terrace.

A coffee mug came in front of her.

She looked up and found veer.

Veer : hum pure ghar mein madam ko dhund rahe hai aur aap yaha baithi hai.

Kaashvi : kya hua, I am sorry, woh...

Veer : arey arey itna serious ho gayi mazak kar raha hu, lekin itni raat ho gayi hai tum soyi nahi.

Kaashvi : woh neend nahi aa rahi thi toh socha ki book padh lu.

He chuckled.

Veer : waise sachme Kaashvi yeh bhi ek art hai jo sirf tumhe aata hai.

Kaashvi : art..??

Veer : haa, book ulti pakad kar padhna.

She bites her tongue.

Veer : main tumhe subah se thoda low dekh raha hu kya baat hai.

Kaashvi : kuch nahi woh bass aise hi.

Veer : kaashvi problem hai toh batao na.

Kaashvi : veer main apni baat bata kar tumhe upset nahi karna chahti.

He held her hand.

Veer : kaashu dukh baatne ke liye hi toh dost hote hai na, bolo.

Kaashvi : kal mumma ka birthday hai.

He understood.

Veer : I am sorry kaashu main chaha kar bhi tumahare parents ko bacha nahi paaya.

Kaashvi : isme tumhari koi galti nahi hai veer, tumhe pata hai mumma aur main kabhi saath rahe hi nahi hai, hum bass birthdays saath mein manate the, tumhe pata hai agar naam ke alawa koi mujhse kuch aur puchega na mumma ke baare mein toh mujhe kuch pata nahi hoga, ek beti ho kar bhi mujhe kuch nahi pata unke baare mein, kal aisa pehla birthday hoga jab mumma papa mere pass nahi honge.

He took her in his arms.

Veer : kaashu, yeh dard ek waqt par maine bhi saha hai jab maa adishi mujhe chod kar gayi thi, lekin hum sach se jitna bhaagte hai utna hi woh hume aur pareshan karta hai, isiliye hume sach ko swikar na hoga na kaashu.

Kaashvi : hmm.

Veer : accha ek kaam karte hai kal ke din ko hum celebrate karte hai, kal ka pura din iss veer ka aapke naam, tum jaha chahogi hum chalenge.

Kaashvi : it's okay veer, tumhara bhi kaam hoga, kabhi bhi shashvaan lok jaana padh sakta hai.

Veer : agar kuch hoga toh dekh lenge lekin abhi filhaal ke liye humara plan final hai, aaj ki raat hai tumhare pass, decide kar lo din kaise spend karna hai.

Kaashvi : thik hai lekin hum akele nahi jayenge hum sabko lekar chalte hai na, jab se mumma papa ki death hui hai tabse lekar aaj tak kisi ne mujhe akela mehsoos nahi hone diya, itna saath diya mera.

Veer : okay as you wish mam.

They chuckled.

Veer : chalo ab so jao bohot late ho gaya hai.

She nodded.
____________________

Next morning,

Gargi : yeh bohot accha plan kiya hai tum dono ne, waise bhi mujhe kai dino se shopping par jaana tha, aaj woh ho jayega.

Kaashvi : haa aunty mujhe bhi kuch dresses leni hai.

Navya : mujhe bhi, aur naya school bag.

Eva : mujhe bhi accha sa white coat lena hai.

Bhaskar : matlab meri jeb khaali karwane ka irada hai.

Veer and grandpa laughed.

Veer : arey papa, last week ke show ka payment aa gaya hai, toh karo aish...

Everyone smiled.

Bhaskar : veer sachme humare magic ko tu kaha se kaha le gaya hai, ek waqt tha jab humne toh ummid hi chod di thi ki kuch hoga.

Grandpa : haa yeh veer ki mehnat hi hai.

Kaashvi : aapko pata hai sab veer ko the great magician veer bharadwaj kehte hai, aur mujhe toh calls bhi aate hai veer ka ek show book karne ke liye.

Veer : bass bass meri itni tarif mat kijiye, maine aaj ka pura plan bana liya hai, pehle hum movie ke liye chalenge aur waha se shopping, phir maa ka favourite beach aur phir dinner.

They smiled.

After breakfast,

Kaashvi : tumne pure din ka plan toh bana liya par agar tumhe achanak jaana pada toh main sabse kya kahungi.

Veer : bardol kab kaam aayega, waise toh kuch hoga nahi lekin agar hua toh bardol yaha veer ka roop le lega meri baat ho gayi hai, pichle kuch dino se apne pariwar ko waqt hi nahi paa raha hu lekin ab dunga.

She smiled and nodded.

My Soulmate Where stories live. Discover now