Part - 25

106 11 4
                                    


Hospital

Naina ko hosh aata hai aur sameer aur aarav andar jaate hai

Aarav naina ko jhat se jake gale laga leta hai aur naina bhi usse dekh kar rone lagti hai

Naina - mera baccha tu..ttu tth thik to haina ..ttt tujhe kahin lagi to nhi

Naina uske hath me patti dekhti hai

Naina - hey bhagwan ...tujhe chot lagi dikha.....au.. aur kkk. Ka.. kahin to nhi lagi

Naina hadbada jati hai aur arava ko ache se dekhne lagti hai usse kahin aur chot to nhi aayi

Sameer - aarav bilkul thik hai usse bas thodi kharoch aayi hai mene docter ko dikha diya  hai ....docter ne kaha tum ab ghar jasakti ho

Naina usse dekh kar confused hojati hai

Naina - tum yahan kya kar rahe ho...

Aarav - mumma aapko pata hai aap behosh hogye the waha koi bhi nhi help karne ke liye....sameer uncke waha aaye aur unhone hi hamari madad kari mumma...me bahut darr gya tha mumma

Naina usse fir se gale laga leti hai

Aur sameer un dono ko dekh raha hota hai aur chupchaap khada hota hai

Aarav - mumma ye bahut acche hai inhine hi ... aapko hospital pahunchaya aur mera bhi bahut dhyan rakha..hume inhe thanks bolna chahiye naa

Naina - aahh h. Haa....

Naina sameer ki taraf dekhe bina hi usse thanks kehti hai

Naina - ahh ab me thik hogyi naa...chalo ab ghar chalte hai phulla bua bahut chinta kar rahi hohi itni der hogyi unhe kuch pata bhi nhi hoga ...ahh meri scooty ka kya.

Sameer - ah mere driver ne usse pass ke hi mechanic ke yahan sahi karane rakh diya hai kal tak sahi hojayegi

Naina koi jawab nhi deti aur jane lagti hai

Naina- chalo aarav ab hum ghar chalte hai ..bahut der hogyi

Sameer - ruko abhi iss time tumhe kahin auto nhi milega me chod deta hu

Naina - aarav aap 2 min bahar jaao

Aarav - ok mumma

Naina - thanks ...tum already bahut kar chuke ho ab aur ehsan karne ki zarurat nhi hai...me ghar pahunch jaungi vo meri chinta hai...aur haan tumhara jobhi kharach hua hai Hospital ka mujhe bata dena pay kardungi

Sameer- hello ...kya kaha tumne mujhe tumhari chinta hai ...bilkul bhi nhi mujhe koi fark nhi padta tumhe kuch ho ya na ho ...me bus insaniyat ke liye tumhe ghar tak chodne ke liye keh raha tha ...tumhare saath ek baccha hai isliye...aur itni laparwahi kese kar sakti ho tum ...gadi nhi chalana aati hai to kyu chalati ho

Naina- insaniyat ki baat to tumhare muh se achi nhi lagti hai....yahan aur kasht uthane ki zarurat nhi yahan meri ek office ki colleague pass me hi rehti hai wo mujhe drop kardegi

Naina apni colleague ko call karti hai jo uss hospital ke nazdeek hi rehti hai aur naina usse pura incident batati hai aur aage vo naina ko pick up karne apni car lekar ajati hai

Naina arav ke pass jati hai

Naina - aarav chalo ghar chalte hai

Arav jane se pehle sameer ko hugg karleta hai

Aarav - thank you uncle

Sameer ko bahut accha lagta hai usse aarav se ek connection mehsus hota hai aur vo jhuk kar aarav ke sir par haath ferta hai....kahin na kahin usse bhi ab ye lagra tha ke shayad aarav ussi ka beta ho....

Kacche dhaage 2 ( continuation )Where stories live. Discover now