Wo chaaron us waqt Lahore ke red light area me moujood they. Unki umrein 18 - 19 saal ki lag bhag thi. Aur apne huliye se wo chaaron upper class ke lagte they. Magar na wahan par unki umar numaya kar dene wali koi cheez thi, Aur na hi unke upper class se taalluq rakhne ki imtiyazi khusoosiyat, kyuki wahan par unse bhi kam umar ladke aate they. Aur upper class, yahan ke mustakhil customers me shamil thi. Chaaron ladke red light area ki tooti galiyon se guzarte jaa rahe they.
Teen ladke aapas me baat kar rahe they, jabke 4th, qadr e tajassus aur dilchaspi se Chaaron taraf dekh raha tha. Yun lag raha tha jaise wo pehli baar yahan aaya tha aur in teeno ke saath thodi der baad hone wali us guftagu se ye zahir ho gaya tha, ke wo waqai wahan pehli baar aaya tha. Gali ke dono atraafon ke darwazon me banao singhar kiye, neem odhiya kapdo me malboos, har umr aur har shakl ki aurat khadi thi. Safed, saanwli, siyah, gandumi, bht khoobsurat, darmiyani, aur bht mamuli shakl o soorat wali.
Gali me har umr aur shakal ka mard guzar raha tha. Wo ladka wahan se guzarte hue har cheez par ghaur kar raha tha.
"Tum yahan kitni baar aaye ho? " Chalte chalte usne apni dayein taraf chalne wale ladke ko mukhaatib karte hue poocha. Wo ladka jawaban hasa.
"Kitni baar..... Ye to pata nahi, ab to ginti bhool chuka hu. Aksar aata hu yahan par. "
Us ladke ne qadr ek fakhriya andaz me kaha."In aurton me mujhe koi attraction mehsoos nahi hoti. Nothing special about them. " Usne kandhey uchkate hue kaha.
"Agar kahin raat hi guzarni ho to kamaskam mahol to achha ho. Ye to bht hi gandi jagah hai" Usne gali me moujood gaddhon aur koodey ke dher ko dekhte hue kuch nagawari se kaha.
"Phir girlfriends ke hote hue yahan aane ki kya zaroorat hai" Usne is baar apni eyebrows uchkate hue kaha.
"Is jagah ka apna ek charm hai. Girlfriends aur yahan ki auraton ka koi muqabla nahi hai. Girlfriends is tarah ke dance to nahi dikha sakti jo abhi kuch der baad tum dekhoge. "
Teesra ladka hasa.
"Aur phir Pakistan ki jis badi actress ka dance dikhane hum tumhe le jaa rahe hain, Wo to bas...... "
Doosre ladke ki baar ko pehle ladke ne kaat diya"Uska dance to tum pehle bhi dekh chuke ho"
"Are, wo kuch bhi nahi tha. Bhai ki shadi par ek mujra kiya tha, magar yahan par to baat hi kuch aur hoti hai""Wo actress to ek posh ilaqe me rehti hai, phir yaha kyu aati hai? "
Pehle wale ladke ne kuch ghair mutmaeen andaaz me poocha."Ye tum aaj usse khud pooch lena. Me kabhi usse is tarah ke sawal nahi karta."
Doosre ladke ki baat par dono ladke hase. Magar teesra ladke chubhti hui nazron se use dekhta raha. Unka safar bil aakhir gali ke aakhir me ek imarat ke saamne khatam hua. Imarat ke neechey moujood dukaan se teeno ladko ne moti ke bht se haar khareedey. Aur apni kalaiyon me lapet liye. Ek haar us ladke ne doosre ladke ki kalayi me bhi lapet diya, jo wahan aane par aitraz kar raha tha. Phir un logon ne wahan se paan khareedey, tambaku wala paan. Doosre ladke ne us ladke ko bhi diya jo shayad zindagi me pehli baar paan khaa raha tha. Paan khatey wo chaaron us imarat ki seedhiyaan chadhne lage.Upar pohoch kar pehle ladke ne ek baar phir tanqeedi nazron se chaaron taraf dekha. Aur phir uske chehre par itminaan ki ek jhalak namudaar hui. Wo jagah bht saaf suthri aur khaasi hadd tha aarastaa thi. Gao takiye aur chandniyen bhichi hui thi. Aur baarik parde lehra rahe they. Kuch log pehle hi wahan moujood they.
Raqs abhi shuru nahi hua tha. Ek aurat lapakti unki taraf aayi. Uske chehre par khoobsurat masnui muskurahat saji thi. Usne doosre ladke ko mukhatib kiya, pehle ladke ne ghaur se use dekha. Adheydh umr ki wo aurat apne mooh pe makeup thopey aur baalo me gajre latkaaye, shiffon ki chinghadhti hui surkh saari me malboos thi, jiska blouse uske jism ko chupane me naakaam ho raha tha. Magar wo jism ko chupane ke liye pehna bhi nahi gaya tha.
YOU ARE READING
Peer -e- Kamil ( ROMAN URDU )
SpiritualPeer-e-Kamil (English: The Perfect Mentor) is a story focusing on a deviational sect which violates the finality of our Prophet (P.B.U.H) meanwhile, narrating a heart wrenching journey of two unhappy souls; Salaar Sikandar, a genius with an outstan...