Chapter 7

319 32 26
                                    

Let's start the story where we have left..

.........

Karishma: "Amma ka bakwas hai."

Urmila (dramatically) "bakwas nahi hai chatak Chandni, Pyar hai Jo tu Apne pati ko nahi karti."

Karishma (fumbled) "tumhe kaise pata k hum Apne pati dev se Pyar nahi karte."

Urmila: "woh Teri saas har waqt kahti rahti hai naa k humare lalla k to bhag hi phot gae."

Karishma (frustrated) "Amma bhak pahle hi Dr. Reena ka pata nahi chal Raha uper se Tum damagh ka churan bana kar rakhe hue ho."

Urmila: "wohi Teri madam sir ki doctor? Kaha Gai?"

Karishma: "pata nahi kis patal main ja chupi hai mgr pata to hum laga kar rahe ge."

Urmila: "chil kar. Teri madam sir uper Gai naa to Kya farq parta hai k iski report main Kuch tha ya nahi."

Karishma: "Tum nahi samjho gi. Hum ko naa yeh Sara mamla hi gar bar lag raha hai, Yun madam sir ki doctor ka ghayab Hona aur phir woh Jo doctor tha woh bhi yahi tumhari wali bat kah Raha hai k madam sir to ab is dunya main nahi Rahi to Kya farq parta hai 6 hafte ka bacha to waise bhi inke sath hi..." Suddenly she stopped. "Aray ama hum se itni badi bat kaise chut Gai. Agar report main madam sir ki pregnancy nahi thi to is doctor ko kaise pata chala k woh 6 hafte pregnant thi. Madam sir ki gynecologist se milna pare ga."

Urmila expression changed after listening all of this. Then she asked: "chal aa neeche chal ab, Ami bula Rahi thi to sune to sahi Kya kahne lagi hai.".

Lost in her thought, "haan chalo."

.........
Downstairs

Everyone: "Kya...?"

Maa and Ami: "ji, pandit ji ne kaha hai Tum dono par Jo kathnaiya aai hai woh isi waja se hai k Tum dono ne mohrat par shadi nahi ki thi. Ab teen din bad dobara bohat shub mohrat hai, is par shadi karo ge to sub thek ho jae ga."

Karishma: "Chachi ji aisa thodi hota hai. Agar aisa hi hota to log shadi kar k sub thek kar laite."

Anubhav: "haan maa, hum behna se sehmat hai aur dusra kal se humara mission bhi shuru ho Jana hai."

Maa: "to tu ne kon sa samandar par mission k Liye Jana hai isi shahar main hi hoga naa to thodi dair k Liye aa Jana aur kar laina shadi."

Ami:" Aur waise bhi Tum dono ki shadi ek dusre k sath hi ho rahi hai..phir pahle shadi ki salgirah bhi aane wali hai."

It was Urmila who interrupted: "nahi maa, Ami, hum ne abhi apna bacha khoya hai humara Dil nahi man Raha salgirah manane ka. Aur na hi yeh shadi wadi ka."

All got silent after listening to it.

Then after a while maa said: "daikh beta, yeh is nalaiq ki kundli main dosh hai jis ki waja se aisa kah Rahi hun. Dhoom Dham nahi karte, bus Tum dono mohrat wale din dobara phere le laina take Tere pati k sar se shani tal jae."

She looked at Anubhav and nodded: "thek hai humain koi aitraz nahi..."

Anubhav who was standing in a corner came near her and sat besides him. While looking at her softly: "agar Haseena ko aitraz nahi to hum bhi waqt Nikal hi lain ge."

Karishma who was looking at them made a face: "wah wah! Kya bat hai, pahle ek shadi par aitraz tha ab utawale hue ja rahe hai."

Anubhav smiled: "to bahna ap bhi jija ji k sath dobara phere le lain.. Haseena k sath humain so bar bhi shadi par aitraz nahi hai."

Karishma: "mgr humain hain."

Maa: "to Teri Raye kon le Raha hai? Tu bus tyar kar Apne Bhai ki shadi ki."

Anuseena-----Tujh se Laagi Lagan Where stories live. Discover now