ch1 kashi, banaras ki jaan

4 0 1
                                    

Vaise to Banaras ko mahadev ki nagri kaha jata hai pr yaha hawao/air mein muhobbat/ishq rehti hai. Har kisi ka dil khare sone/pure gold ka hai. Banaras iske Ghat, mahadev ki bhakti aur maha arti ke liye prashidh/famous hai. Yeh kahani bhi yahi se shuru hogi aur katam bhi isse Banaras ke ghat pr hogi.

Banaras, assi Ghat, subah ka samay

Ishwar Satya hai
Satya hi shiv h
Shiv hi sundar hai
Jaago uthkar dekho
Jeevan jyot ujagar hai

Banaras assi Ghat pr bana mahadev ka mandir jisme subah ki shuruvat issi bhakti geet se hoti hai. Aur ek hi awaaz jaise iss Banaras ko jaise khud aa kar jagati thi, Aur vo thi kashi. Ji ha kashi Banaras mein rehne wali ek sadharan/simple ladki. Jo maha dev ki param bhakt hai aur shishika bhi

"Aree yeh to kashi ki awaaz hai matlab subah ke char/4 baj gaye" pandit ji bhi uthte hue bole.

Kashi subah char baje hi mahadev ke mandir aa jati thi. Khud mandir ko saaf krne lag jati aur aarti krti. Uski aarti ki awaaz se hi Banaras ke logo ki subah hoti thi.

Kashi ne aarti kr sabhi ki taraf aarti ki thaal/plate aage kr di. Sooraj bhi ab puri chamak se nikal aaya tha. Aur logo ki tadad/number bhi badhti ja rahi thi. Vo sab ko aarti de kr mahadev ke mandir se bahar aa gayi. Vaha bahar nikli hi thi ki usse samne se aate hue mat ke Mahant/saint ji dikh gaye. Vah apne done haatho ko jodh kr shishtachar ke sath pranam krte hoe boli

" Pranam Mahant ji"
Mahant ji usse ashirwad/blessing dete hue bole

" Aree kashi betiyaan pranam, kaisi ho betiyan"

Kashi ne muskurate hue sir jhuka ke kaha

"Ji achee hai Mahant ji"

" Aarti ho gayi betiyan"

" Ji ho gayi ham bas Ghar ja rahe the school ke liye der ho rahi hai"

" Aree ha jao betiyan jao khush raho"

Mahant ji ashirwad dekar aage badh gaye. Kashi bhi ghat se hote hue Banaras ki galiyon se hote hue chali gayi. Banaras ki galiyan tang/sakdi jaroor hoti hai pr chahal pahal / shor bhi bohot hota hai. Yaha pr aapko sanata/silence kabhi mil hi nhi skta yaha pr kabhi kabar to raat bhi bholenath ke naamo se ghunjayaman rehti hai. Kashi ek dukan pr rukhi dukan ka naam tha 'sharma mishthan bhandar'. Usne dukhan par bethe ek mote se bhude se aadmi se kaha

"Kaka pranam, jaldi se kachori aur jalebi baandh dijiye"

"Aree kashi betiyan aa gayi tum, tumhari kachori aur jalebi abhi bandh kr rakhe hai aur tum aa gayi"

Yeh bol sharma Kaka ne kachori aur jalebi ki theli usse pakda di. Usne Kaka ko paise dete hue pucha

"shukriya Kaka, chalte hai aur jay aa raha hai na kai chuti to nhi rakh li"

Tabhi sharma Kaka ke piche se jay jj ki 8 saal ka tha kehta hai

"Nhi didi ham to kab ke taiyaar ho gaye hai"

Kashi ne usse dekh kar muskuraya aur theli lekar apne ghar vapis aa gayi.

Kashi ghar aakar aangan/floor mein apni jhooti utar kar samne Bane Tulsi ko haath jodkar mandir se laya hua phool waha rakh kr, Jaise hi vo Ghar ke ander aayi to uske pita Anand thipahi baithe hue the.uske baba ne bina uski taraf dekhe kaha

"Aa gayi aap kashi"

Kashi kachori aur jalebi ki theli mej/table pr rakhte hue boli

"Apko kaise pata chal jata hai ki yeh ham hai" unhone akbar/newspaper modte samne rakhi table par rakte hue kaha

"Aapki paayal ki awaaz se jo ham apko bachpan se pehnate hue aaye hai"

Kashi ne table par nashta lagaya aur apne baba ko bhi nashte ke liye bula liya. Unhe nasta Kara khud nasta kr vah school ke liye nikal gayi aur uske baba aashram/orphanage chale gaye Anand ji ke dost rajendra Pratap sisodiya ji ka ashram tha. Jise veg khud dekhte the iska karya bhar sab vahi sambhalte the.

kashi~ek Prem Kahani Where stories live. Discover now