I am sorry for the delay in updating.
--------------------------------
At night,
Tapu was sitting on his bed scrolling through his phone, he was admiring the photos they have clicked today.
The day was very beautiful.
His fingers stopped at a particular photo.
He smiled seeing it.
Champaklal : arey tapuda ab tak jaag raha hai so jaa...
Tapu : ji dadaji bass sone hi jaa raha tha aap so jaiye....
He nodded and slept.
Next day,
In afternoon,
Tapu calls Sonu...she picked up.
Sonu : haa tapu..ahh...!!!
Tapu : kya hua aise chillayi kyu thik hai na.
Sonu : haa woh bass...
Tapu : sonu bata kya baat hai?
Sonu : woh kuch nahi bass mere periods chal rahe hai, aur mere cramps toh tu jaanta hi hai...upar se aai baba bhi ghar par nahi hai...
Tapu : kya kaha gaye..??
Sonu : woh aai ke kaka ki tabiyat kharab thi isiliye woh dono unke ghar gaye hai shaam tak aayenge, main jaana chahti thi par nahi jaa paayi...
Tapu : accha thik hai tu aaram kar, khana khaya...
Sonu : nahi socha tha kuch bana lungi lekin kuch nahi ho raha hai mujhse.
Tapu : accha thik hai tu baith main aata hu...
Sonu : nahi tapu mere liye harr baar ka hai tension mat le.
Tapu : chup chap baith aata hu main...
Sonu : fine...
He went to daya...
Tapu : mummy sonu ki tabiyat thik nahi hai...
Daya : kya hua...
Tapu : kuch zyada nahi lekin bhide uncle aur madhavi aunty ghar par nahi hai toh main soch raha hu lunch le jau...
Daya ; haa main abhi khana pack kar deti hu.
Tapu ; mummy mera bhi kar dena main uske sath hi kha lunga...
Daya : thik hai...
-------------------------------------
Sonu opened the door and saw him and smiled...
It was like half of her pain went seeing him.
Tapu : ab kaisa lag raha hai...
Sonu : thik hai aah...
Tapu : dikh raha hai kitna thik hai...chal rest kar...
He saw her in pain...he kept the bags aside and picked her in his arms shocking her.
Sonu : tapu yeh...
Her cheeks were red...he took her to her room and made her lay down on bed and covered her with the duvet.
Tapu : mummy ne tere liye lunch bheja hai kha le phir medicines lekar rest karna...
She nodded as she knows there's no point of arguments.
He removed the food on the plate and gave it to her.
Sonu : daya aunty ke haathon ka khana seriously, bohot relief mil raha hai...
He smiled...
Sonu : iss bag mein kya hai...
Tapu : khud hi dekh le..
She smiled seeing her favourite chocolates, chips, hot water bag, etc.
Sonu : thank you yeh toh meri favourite chocolates hai...
Tapu : hmm lekin abhi rakh de aur khana kha le, baad mein khana...
She nodded.
Sonu : tune lunch kiya..?
Tapu : nahi main baad mein khata hu tu kha...
Sonu : saath mein hi kha lete hai...
He nodded...
They did lunch together...!!!!
After some time,
Goli gogi pinku entered...
Goli : sonu tu thik hai na ab...
Pinku : haa hume tapu ka message aaya tha ab kaisa feel ho raha hai..
Tapu : arey wah, dekh toh sonu, chief guests padhare hai, hume toh naachna chahiye aakhir inhone darshan diye...aarti karu tino ki....
Gogi : oye tapu yeh kya keh raha hai...
Sonu : galat kya kaha, pichle kuch dino se tum sab hume royally ignore kar rahe ho aur ab aa gaye...
Goli : woh woh...
Tapu : kya hua jawab nahi hai...do koi faaltu sa explanation...
Pinku : tapu aisa nahi hai, woh toh bass thoda kaam tha isiliye....
Sonu : kaam mein itne busy ho gaye ki dost yaad hi nahi rahe...
Gogi : aisa nahi hai...
Tapu : toh kaisa hai batao, hum kahi bhi jaate hai tino aane se mana kar dete ho, bachapan se lekar aaj tak humne harr pal ek saath bitaya hai, tum logo ko lagta hai ki hume tum logo ke bina maza aaya hoga, main apne kaam se pehle tum logo ko rakhta hu, chahta hu ki humari tapu sena kabhi na tute, kyuki yeh tapu sena sirf ek friend group nahi hai, meri zindagi hai, mera sabkuch hai, agar dadaji mummy papa ke baad agar koi meri zindagi mein maayne rakhta hai toh woh meri tapu sena hai, main meri padhai chodne tak taiyar tha sirf isiliye ki main tum logo ke saath nahi padh paunga, kyuki mere zindagi ka koi bhi pal main apni tapu sena ke bina imagine nahi kar sakta, aur tum logo ne....
Sonu : friends tum logo ne bohot hurt kiya hai hume, yeh expect nahi kiya tha humne....
Three of them looked down and felt guilty....