TB: monologue

297 14 2
                                    

"Iss raat ki aandhi mein
Mere lakeer bewafa ho gaye hai,
sare dhage sare wade, mujhse khafa ho gaye hain.

Nahi koi mera shanakht hai, na koi meri parchhayi
Wo jo yadein bachi thi... kuch chod gayi, ab sath hain tanhai.

jahan khud ko sambhalna sikha nahi, sabko sambhal kar rakhna hai..
Itne sapne cheene rab ne, har mod pe thokar chakna hai,

Mein kya tujhe Mohabbat karun,
wo jo tha mera,
Hai mujhse bhi anjaan kahin.
Kabhi puche tujh se rasta,
kahin parkhe mujhse wajood mera
Meri Apni koi pehchan nahin ..
Meri apni koi pehchan nahin...

woh nahi toh na sahi,
woh nahi toh na sahi..
"Na koi sikwe hai, rahe koi ilzaam,
uski ek aarju, mile bas wohi inaam."

----------   ----------- ---------- ----------    ----------
Teri muskurahat ki talash mein khud bhatki hui ,

kabhi ghum se ki dosti , kabhi khali asmaan takti hui...

Dil janta hai tu mera nahi
Jo gair hai toh gair sahi,
Kabhi dhoondhe Nishan ye tere,
kabhi palko mein maujood rahe...

kabhi khushiyan deta aahatein
Ghum me bhi tujhe na bhule,
tere panaah mein na dard sahe,
kabhi mile sukoon, toh tu mile

Dil wakif hai tu mera nahi
Dil wakif hai tu mera nahi..

Mere alfazon se,
tute tere har tukdo ne,
todi teri har khamoshi ki shoor hai...
Ishq hai khuda mera, mannato me bandhi woh dor hai .

"Tere khayal mein bhi tanhai hai ,
mere wajood ki tu parchhaayi hai..."
tujhe chahe toh itna, ke tera ghum mile mujhe,
tujhe khoye jo itna, tu kam na mile mujhe"

                 --------------------------
                 --------------------------

TERE BIN 2Where stories live. Discover now