The wedding preparations took place. Siya and Raghav's marriage began, after the rituals they stood up for rounds and soon after the nuptial chain was tied and vermilion was applied, they were declared husband and wife. Rishabh and Pratha blessed them. Siya smirked at Viraj.
S~ab toh apni haar maante ho na Viraj? Lo, finally ho gayi main Raghav ki
V~agar tum Raghav se pyaar karti hoti, toh usay kab ka shraaptmukt kar chuki hoti, par tum ne aisa nahi kiya, kiun? Kiun ke tum usay tarpaana chahti thi, bilkul waise he jaise us ne tumhe tarpaya tha tumhari family se tumhe milne nahi diya tha
S~(chuckled) you're highly mistaken, bhool gaye kya tum mere ghar aaye thay na mental asylum ke owner ko le kar? Dekhte nahi ho theek se? Andhay ho? Aur saath mein yaadasht bhi kamzor hai? Baat hui thi humari in fact laraai hui thi. Tum ne mere papa ko pagal kaha tha, saath he maine prove kiya tha ke mere papa pagal nahi hain aur maine Raghav ka akss dikhaya tha jadui aaine mein aur wo jadui aaina mujhe Raghav ne tohfe mein diya tha jab us ne mujhe bheja tha ke main wapis chali jaun.
V~phir bhi Siya, tumhare paas bohat maukay thay Raghav ko shraaptmukt karne ke tum ne kabhi kiya he nahi
S~that's none of your business. Mere pati ko main sambhaal loon gi. Tum jao, apni haar ka jashn manao
Viraj nodded sarcastically.
V~agar tum ye soch rahi ho na ke meri haar ho gayi hai toh tum galat soch rahi ho. Main wapis zaroor aaun ga
S~aur phir ek baar dhool chaato gay? Zaleel ho gay? Apni koi self respect nahi hai tumhari? Khair, mujhe kya? (she looked at Geanie meanie) aap ja kar humara kamra saja dijiye, aaj humari shahdi ki pehli raat hai
Geanie Meanie nodded and left. Viraj laughed.
V~ye sab bas dikhawa kar rahi ho ya sach mein tumhe is rakshas ke saath raat bitaani hai Siya?
S~mera pati hai, meri marzi main us ke saath jo bhi karoon, tum se matlab? Mumma papa, le jaiye na is manhoosiyat ko yahan se, ye humari shahdi shuda zindagi mein kaanta ban raha hai
YOU ARE READING
Raghav Ki Andheri Dunia Mein Siya Ka Prem (Completed)
FanfictionInspired by fairytale version of beauty and the beast Siya is a sensitive and imaginative young girl, who spends her days immersed in reading. Only Rishab and Pratha, her parents, and her twin sister Anmol, matters in her life. One day when Rishab g...