Aladdin or Yasmine Gaye Bharisthan

18 2 0
                                    

Jinu sipahi ke paas se woh paigam leta hai or sipahi vaha se chala jata hai

Yasmine - Aladdin yeh kiska paigam ho sakta hai

Aladdin - Pata nahi chorni

Jinu haskar bolta hai - Aare bhai dusre mulk ke badshah ya shehzade ne aapko nikah ki badhai di hogi or kya

Chatar Patar -  Aye khajur ab jara dekh toh ismein likha kya hai

Jinu - Haa haa padhta hun

Jinu us paigam ko kholne ki koshish karta hai lekin usse khol nahi pata

Aladdin - Kya hua Jinu

Jinu - Pata nahi bhai yeh dhaga ki door khul nahi raha hai

Chulbul - Mujhe doh main koshish karta hun

Chulbul bhi koshish karta hai lekin us paigam ko nahi khol pata iske baad Rukhsar bhi koshish karti hai lekin woh bhi use nahi khol pati tab Chatar Patar bolti hai

Chatar Patar - Khajur apne jadu ka isthmal kar aab isse kholne ke liye

Jinu - Aare ha , Yeh baat pehle nahi bol sakti thi

Jinu - Chor ko dekhar log machete hai shor khul jaye is paigam ki door ji ji jinu ji

Lekin iske baad bhi woh paigam ki door nahi khulti yeh dekhar sab thoda chauk jaate hai tabhi Jinu us dhage ko dhyan se dekhta hai or Aladdin se bolta hai

Jinu - Bhai jis dhage se yeh door bhandi  gayi hai woh koi mamuli dhaga nahi hai yeh jaadui dhaga hai or ispar koi bhi jadu kaam nahi karta yeh door srif usi ke hathon khul sakti hai jiska naam lekar or jiske liye ise beja gaya hai

Rukshar - Sipahi ne kaha tha Aladdin ke liye paigam hai toh shayad yeh paigam Aladdin ke hathon hi khule

Phir Aladdin us paigam ko apne hath mein pakadta hai or us doori ko kholta hai or woh paigam khul bhi jata hai

In Letter :-

Turkistan ke shehzade sath hi aab Sultan - E - Baghdad  Sultan Aladdin or Sultana - E - Baghdad Sultana Yasmine ko mere salam  , Main janta hun aap dono ka kal hi nikah hua uske liye aapko meri oor se badhai lekin mein maafi chahta hun ki main aapko pareshan kar raha hun lekin mein majboor hun main or mera mulk bhaut bade khatre mein hai or hum sab aapki madat chahte hai

Darasal Bharisthan ke sultan Yakub ke inteqal ke baad unke bete Subukudin  ko Baristhan ka naya sultan banaya gaya hai lekin woh bhaut bura sultan hai har din apni avaam ko dard deta hai , bina kisi wajah ke kisiko bhi sazaye maut de deta hai or na jane kitni ladkiyo ko apni hawas mitane ke liye apne sath le jata hai or phir unhe jaan se maar deta hai hum thak gaye hai uske zulm sehte sehte hum sab aap dono se madat chahte hai ki aap aakar hamen Subukudin ki hukumat se azad karde

Letter End

Aladdin - Yasmine hamen Bharisthan jana hoga

Yasmine - Chalo Aladdin

Chatar Patar - Bidhu lekin unhone srif tum dono se madad kyon mangi , Apun ka matlab hai woh kisi or mulk se bhi toh madat maang sakte the unhone sidha tumse hi madat kyo mangi

Rukhsar - Aladdin Yasmine Chatar Patar ki baat mein mein dam hai

Yasmine - Aladdin mujhe bhi lag raha hai Chatar Patar sahi bol rahi hai

Aladdin - Main aap sab ki baat samaj raha hun lekin main yeh bhi janta hun ki unhone srif humse hi madat kyo mangi

Yasmine - Toh batao

Aladdin - Jaisa ki hum sab jante hai ki Arabisthan mein kul 12 mulk maujud hai lekin un 12 mulko mein srif teen hi aise mulk hai jo Bharisthan ka samna or usse harane ki takat rakhte hai or woh teen mulk hai Mishra , Baghdad or Turkistan

Chulbul - Lekin srif yeh hi teen mulk kyo Aladdin

Yasmine - Kyunki yeh teen mulk Arabisthan ke sabse takatvar mulk hai

Aladdin - Bilkul , Pehle baat agar Mishra ki kare toh Mishra pure Arabisthan ka sabse bada aur takatvar mulk hai isi ke sath Arabisthan ki sabse badi fauj Mishra ke pass hi hai 

Vahi baat agar aab hum Baghdad or Turkistan ki kare toh Baghdad or Turkistan ki fauj lagbhag ek jitni hi hai toh Mishra ke baad pure Arabisthan ki sabse badi fauj Bagdad or Turkistan ke pass hai

Yasmine - Aladdin hamare paas or Mishra ke paas badi fauj hai kya isi wajah se aaj tak Baristhan ne humpar or Mishra par hamla nahi kiya

Aladdin - Yasmine yeh wajah bhi hai lekin ek or wajah bhi bhi , Darasal Mishra ke paas kai saare jaadui hathiyar or jaadui chijen maujud hai jaise "Aadise Aftab" jinki wajah se Mishra ko jitna bhaut mushkil ho jata hai or Mishra ne kai baar Bharisthan ko haraya bhi hai , Vahi Turkistan mein mere Abbu ki hukumat hai or yeh baat toh pura Arabisthan janta hai ki mere abbu ko jung mein hara pana labhak namumkin hai iske alawa duniya ke har hathiyar ko chalane mein woh mahir hai

Yasmine - Or jab abbu fauj ko sambhalte hai toh Turkistan ki choti se choti fauj bhi badi se badi fauj ko har deti hai kyo Aladdin

Aladdin - Ek dum sahi kaha chorni Or Jaisa ki hum sab jante hai pichle 18 saalo se woh kamina Zafar ayyar tha or Baghdad par hukumat kar raha tha is wajah se koi bhi mulk Baghdad par hamla karne ki nahi sochta tha

Or aab yeh baat pura Arabisthan janta hai ki Baghdad ki Sultana Yasmine or Turkistan ke shehzade Aladdin ne nikah karliya hai or aab yeh dono mulk ek dusre ki madat ke liye kabhi bhi aa jayenge or sath hi mere paas is kaynat ka sabse takatvar jin maujud hai jo ek hi baari mein badi badi se fauj or bade se bade mulk ko chutkiyo mein khatam kar sakta hai toh is wajah se bhi Subukudin hum par hamla karne ke baare mein nahi sochega , Lekin aab hamen yaha waqt barbad nahi karna chahiye or Baristhan ke liye chalna chahiye

Jinu - Bhai main bhi aap dono ke sath aaunga

Aladdin - Nahi Jinu tumhe yahi rehna hoga

Jinu - Lekin bhai main

Yasmine - Sheikh Jinu kala chor sahi keh raha hai hun teeno mein se kisi ek ka hamesha Baghdad mein rehna jaruri hai

Jinu - Thik hai lekin agar koi mushkil hui toh mujhe bula lijiyega

Aladdin - Pakka

Aladdin or Yasmine jadui kalin par sawar hokar Baghdad se bahar aa jate hai or Baristhan ki oor badhte hai

Rukhsar - Ya Allah mere dono bacche jitkar hi wapis aaye

Jinu - Chinta maat kijiye aami bhai or pyari pareshani ji jitkar hi wapis ayenge

Chatar Patar - Bole toh jhakkas

Vahi scene Bharisthan ki oor shift hota hai or hum dekhte hai Subukudin dheere dheere apne taqt ki oor badhta hai uske darbar mein avaam se laye hi logon ko mara ja raha tha or unke chilane ki awaz sunkar Subukudin khush ho raha tha

Tabhi Subukudin apne taqt par baith jata hai uske ek ishara karne par sipahi un sabhi logon ke sar kaat dete hai tabhi do sipahi us ladki ko lekar aate hai jiske sath unse kal raat bithai thi

Woh ladki - Toh jaise haiwan ko toh jahannum mein bhi jagah nahi milegi meri ijazat par hath dala tune

Subukudin - Main tumhe pyar se bola mere sath chalo lekin tum nahi mani or yeh baat pura Baristhan janta hai ki , Jo cheez Subukudin ko mangne se nahi milti Subukudin usse chin leta hai

Yeh bolkar Subukudin apni shamsher nikal kar us ladki ka bhi sar kat deta hai

Aladdin Naam Toh Suna Hoga S4Where stories live. Discover now