Aladdin or Yasmine apne kamre mein hote hai tabhi vaha par Chulbul , Jinu or Chatar Patar teeno aa jaatein hai
Aladdin - Kya hua tum teeno yaha ek sath
Yasmine - Sab thik toh hai na
Jinu - Ha woh...
Tabhi Jinu chup ho jata hai or jadu karke kamre ka darwaza or saari khidki band kar deta hai
Aladdin - Kya hua Jinu tumne yeh khidki darwaze band kyo kar diye
Jinu - Bhai or pyari pareshani ji aapko yaad toh hai na 3 din baad kya hai
Aladdin - Haa aami ka janamdin hai
Yasmine - Yeh baat toh hum dono ko pehle se jante hai
Chatar Patar - Dekha apun shart jit gayi
Yasdin - Shart jit gayi matlab
Chulbul - Main batata hun darasal Jinu ko aisa laga tha ki Aladdin tumhe or Sultana ko yeh yaad nahi hoga ki badi ustad ka janam din kab hai , Lekin Chatar Patar ko yakeen tha ki aap dono ko jarur yaad hoga or isi baat par shart lag gayi
Aladdin - Jinu tumhe aisa laga ki main aami ka janamdin bhul jaunga
Yasmine - Haa Sheikh Jinu yeh aapne acha nahi kiya
Jinu apne dono kan pakadkar Aladdin or Yasmine ke samne khada ho jata hai
Jinu - Bhai or Pyari pareshani ji mujhe maaf kardijiye
Aladdin or Yasmine dono Jinu ko dekhar haste hai or phir sath mein bolte hai
Yasdin - Thik hai jao maaf kiya
Chatar Patar - Arre bhidu yeh maafi vagera sab baad mein pehle yeh toh batao ki badi ustad ko unke janamdin par dena kya hai
Chulbul - Maine toh soch rakha hai ki badi ustad ko kya dena hai lekin woh main abhi nahi bataunga
Chatar Patar - Yasmine tune kuch socha ki tu kya degi badi ustad ko
Yasmine - Nahi Chatar Patar
Jinu - Bhai or apne kuch socha
Aladdin - Nahi Jinu , Kuch samaj hi nahi aa raha ki aami ko kya de
Jinu - Vahi toh bhai mujhe bhi samaj nahi aa raha ki main aami ko kya dun
Tabhi vaha par ek magical portal banta hai jise dekhar sab thoda chauk jaatein us portal se ek paigam sidha Aladdin ke paas aata hai or phir woh portal gayab ho jata hai
Jinu - Yeh kya bhai ek or paigam kahi kisi or mulk par bhi toh khatra nahi aa gaya
Chatar Patar - Kya phirse makhan malai or Yasmine ko dusre mulk jana padega
Yasmine - Arre arre rokho jara kale chor paigam ko kholo toh sahi ismein likha kya hai
Aladdin us paigam ko kholta hai lekin usmein srif saapo ki tasvir bani hui thi
Yasmine - Aladdin paigam mein likha kya hai
Aladdin Yasmine ko paigam deta hai or phir baki sab bhi paigam ko dekhte hai
Chulbul - Yeh kaisa paigam hai jismein kuch likha nahi hai bas saap ki tasvir bani hai
Jinu - Bhai yeh paigam kaun bej sakta hai
Aladdin thoda sochta hai phir smile karke bolta hai - Zehreeli
Aladdin ke yeh bolne par sab Aladdin ki oor dekhte hai
Aladdin - Ho na ho yeh paigam Zehreeli ne hi beja hai
Yasmine - Zehreeli yeh vahi hai na jinhe Zafar ne kaid kiya tha or inhone tumhari madat bhi ki thi na kale chor
Aladdin - Ha chorni Zehreeli ki wajah se hi toh mujhe meri chorni yani tum mili
Yasmine thoda sharmane wali hasi hasti hai or sab usse thoda thoda chhedte hai lekin tabhi Yasmine Aladdin se bolti hai
Yasmine - Lekin kale chor unhone achanak se tumhe paigam kyo beja
Aladdin - Zafar ne unhe kaid kiya tha or woh shayad abhi bhi Zafar ki kaid mein hai shayad woh chahti hai main unhe Zafar ki kaid se azad kar dun
Yasmine - Tab toh tumhe jaldi jakar unhe Zafar ki kaid se azad kar dena chahiye , Ek kaam karti hun main bhi tumhare sath chalti hun isi bahane main bhi Zehreeli se mil lungi
Aladdin - Thik hai chalo chalte hai
Aladdin or Yasmine vaha se jane wale hote hai tabhi ek sipahi vaha aata hai
Sipahi - Sultan or Sultana ka iqbal buland ho
Aladdin - Batao kya baat hai
Sipahi - Sultan sultana avaam ke kuch logo aaye hai woh aap dono se yaha aap dono mein se kisi ek se milna chahte hai
Yasmine - Thik hai tum jao or unse kaho ki main unse milne aa rahi hun
Sipahi - Ji
Sipahi vaha se chala jata hai or phir Yasmine Aladdin se kehti hai
Yasmine - Kale chor tum jakar Zehreeli ko azad kardo tab tak main avaam se mil leti hun
Aladdin - Chorni par tumhara bhi toh man tha Zehreeli se milne ka
Yasmine - Koi baat nahi main baad mein kabhi unse mil lungi
Aladdin haa mein sar hilata hai iske baad Aladdin jaadui kalin ko hukum dekar bulata hai or Baghdad se sidha us gufa ke liye nikal jata hai jaha Zehreeli kaid thi phir Yasmine bhi un logon se milne chali jati hai
Aladdin jab apne kalin se us gufa ki oor ja raha hota hai tabhi zamin par ghodo par sawar hokar talim ghar ke bache Baghdad ki oor ja rahe hote hai
Shifan - Hun sab thodi der baad Baghdad pauchne wale
Koyal - Bhaut waqt hogaya badi ustad se mile
Tabhi Shifan Koyal or talim ghar ke baki sabhi bacho ki nazar aasman mein padhti hai or woh dekhte hai ki Aladdin kalin mein sawar hokar unhi ki taraf aa raha hota hai
Koyal or kuch bache Aladdin ko awaz dete hai lekin aasman mein bhaut upar hone ki wajah se Aladdin ko unki awaz nahi aati or woh bina unhe dekhe aage badh jata hai tabhi Shifan bolta hai
Shifan - Us nikamme shehzade ko awaz dene ki koi jarurat nahi hai or waise bhi Baghdad yaha se bhaut paas hai
Koyal - Shifan hum bhaut waqt se shehzade se nahi mile isiliye unse milne chahte the
Shifan - Pehli baat use milne ki koi jarurat nahi hai or Baghdad pauchkar tum usse waise bhi mil sakti ho
Koyal - Shifan yeh mat bhulo ki shehzade hamare dost hai
Shifan - Acha agar woh nikamma shehzada tumhara dost hai toh tumse bina mile chala kyo gaya jabki tumne use awaz bhi di
Koyal - Shifan shayad tumne ache se dekha nahi shehzade is waqt aasman mein bhaut uchai par the aise mein un tak hamari awaz pauchna bhaut mushkil hai
Shifan - Yeh sab srif bahane hai
Koyal - Shifan tum
Saba - Arre aab tum dono bas bhi karo hum sabhi ko jaldi se Baghdad paucha jana chahiye
Safar phir se safar aage badhta hai Aladdin bhi us gufa ke paas pauche hi wala hota hai vahi scene Shifan or Koyal par shift hota hai
Shifan in mind - Baghdad jaldi pauchne ki ek or wajah yeh hai ki main Yasmine se milna chahta hun or use batana chahta hun main use mohabbat karta hun
Koyal in mind - Main Baghdad pauckar shehzade ko bata dungi jab woh wapis ayenge ki main unse mohabbat karti hun
Shifan - Yasmine mujhe apna acha dost manti hai or woh hamesha se akeli thi mujhe yakin hai jab main unse kahunga ki main unse mohabbat karta hun toh woh jarur haa kar dengi
Koyal - Shehzade mujhe kabhi mana nahi karenge is baat ka mujhe pura yakeen hai or main hi toh shehzade ki sabse achi dost bhi hun
Shifan - Or jab main badi ustad ko batunga ki main...
Koyal - Shehzade se mohabbat karti hun toh woh bhaut khush hongi
YOU ARE READING
Aladdin Naam Toh Suna Hoga S4
AdventureGuys is ff mein aapko Aladdin ke aage ki story pata chalegi ep 573 se Yeh story official nahi hai balki ise maine khud banaya hai or guys is story mein Aladdin ke role mein - Siddharth Nigam Or Yasmine ke role mein - Ashi Singh hai