Chapter 1:- Naya Shehar, Nayi Zindagi

6 2 0
                                    

Kitni hi ajeeb baat hai na, Uu to duniya ke samne hum apne jazbaato ko kisi na kisi tareeke se control krna seekh hi lete hai, Lekin ik jagha aesi hai jaha hum apne sare jazbaat, baha daite hai; chahe un jazbatoo ka pani ban kr behna ho hamari ankhoo se ya phir gile or shikwe ki surat ho, har insan ki zindagi mei ik aesi jagha zaroor hoti hai jaha wo dil khol kar apne dil ki har ik baat krta hai, use kisi bi cheeiz ka dar nahi hota ke agr maine ye keh diya to kiya hoga, log kiya sochenge, wo jagha wohi hoti hai jaha wo apne aap ko apne RAB ke bilkul qareeb pata hai; or Us se dil khol ki baat krta hai kisi ke liye wo mandir hota hai kisi ke liye wo masjid or kisi ke liye GirjaGhar, jaise mere liye ye jainamaz hai !

Kitni hi ajeeb baat hai koi yaha beth kr usse shikwa karta hai to Koi uska Shukar Adaa karta hai; or Koi yaha aisa bi hai jo us se deals krta hai ke agr mera ye kam hogya to mai ye karuga, fla flaa. Lekin kiya kabhi kisi ne socha hai ke hame jab bi uski zaroorat hoti hai wo to hamare pass tab bi hota hai or jab nahi hoti tab bi hota hai, lekin hum sirf or sirf use apni zaroorat ke waqt yad krte hai? Kitni ajeeb Baat hai, Haina! Wo jainamaz pr bethi ye sab soch rahi hoti hai, ke use kuch yad ata hai jis se wo pareshaan ho jati hai or wo pareshani ab uske chehre pr saaf dikhaye de rahi hoti hai, wo waha se uth kar ap apni study table ki taraf barhti hai or side drawer se apni diary or pen nikal kr likhna shuru kr deti hai;

29th August;

Teen mahine ho gaye hai muje yaha aye, na to ye shehar mere liye naya nahi hai or na hi ye log jin ke sath mai pichle teen mahino se reh rahi hu; inhe to mai bachpan se janti hu; tab se jab mai khud ko bi nahi pehchanti thi? Lekin wo ehsas naya hai jis ki waja se mai teen mahine pehle yaha aye thi or pata nahi kyu aj wo ehsaas ik ajeeb sa dar paida kr raha hai dil mai, ik ajeeb si uljan ka shikar hu, kiya mai ye sab kar paogi, kiya mai wo sab bhool paongi, kiya mai phir se dost bna paongi, kiya mai phir se rishtoo pr barosha kar paongi? Apni zindagi ke 15 saal diye hai jis shehar ko, jis ghar mei mera bachpan beeta hai kiya mai us ghar ko bhool paogi? Zindagi kitni ajeeb haina, ik pal mei hame kaha se kaha la kr khara kr deti hai, Aesay morh par jaha hum ne kabhi khud ko tasawur bi nahi kiya hota, maine bachpan mei socha tha ke jab bi yaha aakar rahungi to mei ye karungi, wo karungi bohat maza ayega lekin... Ye ZINDAGI......!!!!!!. Bachpan se Ik Joint Family mei rehne wali larki aj ik aise ghar mei hai jo hai to bohat bara, uske ghar se kafi bara lekin weeran, yaha itne log nahi hai jitney kamre hai. Aj mera College mei pehla din hai, pata nahi kiya hoga kesa din guzre ga?

Wo apne pen ka cap laga kar usko wapis band krti hai or adat se majboor, apni khud ki likhi hui diary ko ik bar dubara se parhti hai ke kahi kuch wo likhna bhool to nahi gaye, phir mamol ke mutabiq use drawer mei rakh kr lock krti hai or uski chabi apne almirah khol kr, apni favourite Blue leather jacket ki andhar wali pocket mei rakh deti hai.

Jab umeed pehle din apne college pounchti to use wo sab kuch bohat hi ajeeb laga, jaise wo kisi or hi duniya mei aa gaye thi! Har cheez uske liye naye thi, ye college, ye raste, aur ye anjaan Chehre. Us ik pal mai pata nahi wo kitni maut mari hogi; jane kitni hi bar usne apne failse ko galat kaha hoga, khud ko kosa hoga. Usay apna school, apne shehar ke shoor mei uska sakoon or sab se bhar kr apne dostoo ki yad aye jinhe wo peeche chor aye thi! Usay apne ghar waloo ki yaad ane lagi magar kisi tarah se usne khud ko sambhal kr, aishta aishta apne kadam age barhane ki koshish ki take wo apni class room mei chali jaye, tabhi use aesa mehssos huwa ke use koi bula raha hai; Umeed Ahmed! Umeed; wo dar gaye ke kon hai jo uska nam janta hai, wo peeche palti or dekhti hai uske Mamu jo use yaha Chorne aye the wo ik adher umar ki aurat ki taraf ishara krke keh rahe hai ke un ki taraf jao, umeed ko kuch samaj mei to nahi aya lekin wo unki taraf chali jati hai or unhe salam kehti hai, wo Umeed ki salam ka jawab deti hai or pehle umeed ki taraf dekhti hai phir uske mamu ki taraf jo gate pr abhi bi khare the or phir apna phone bnd krke umeed ko apne sath le kr class mei le kr jane lagti hai.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Oct 15 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Umeed Beyond Broken BondsWhere stories live. Discover now