Naashte ki table lag chuki thi. Sab naashta karne mein magan the. Jab halay dining mein dakhil hui/ wo dada jaan ke paas baithne ke bajaye apne baba ke sath wali kursi pe baith gayi thi.
Dada jaan ko usko dekh kar muskurane lage the achanak unki muskurhat thami thi. Aankhon mein tahayyur (amazed) utar aaya tha. Halay hamesha unke sath hi baithti thi balke jab hassan usko chidhane ke liye uski jagah pe baith jaata toh wo hungama hota ke " alamaan".
Sab log khamoshi se halay ki kaarwai dekh rahe the magar koi kuch bola nahi tha.
"Halay kya ab bhi neend se jaagi nahi ho? Ye toh meher ki jagah hai." Chachi meethi churi bani khud ko kehne se baaz nahi rakh paayi thien.
"Chachi neend toh shayad aapki aankhon mein bhar gayi hai. Parathe pe jam laga rahi hain aap." Halay tapane wali muskurahat se boli thi.
Chachi ke toh maano kapdon ko bhi aag lag gayi thi. Khonkhawar nazron se halay ko bas dekh ke reh gayi thien ke dada ki maujoodgi mein kuch aur keh bhi nahi sakti thien.
"Halay bacha. Aao mere pass aa kar baitho." Dada ne mohabbat se usko bulaya tha.
"Nahi dada jaan, mein yahin theek hun. Meher juice dena." Dada ko normal lehje mein jawab de kar agla jumla meher se kaha tha.
Dada jaan ka chehra surkh ho chuka tha. Haseena begum ne bhi na gawari se usko dekha tha. Dada chand lamhe shock se usko dekhte rahe uske baad tezi se wahan se nikalte chale gaye.
(Halay ke dil ko kuch hua tha lekin dheet bani baithi rahi.)
Sab ne hairat se unko jaate hue dekha tha. Ek halay thi jo pur sukoon si baithi parathe ke saath Insaaf kar rahi thi.
"Ye kya harkat thi halay?" Shams chacha ne na gawari se pucha tha.
"Kya? Meine toh kuch nahi kiya. Meine kuch bola kya?" Wo masumiyat ke saare record todte hue puch rahi thi.
"Ye baat mein bataun ke tumne kya bola hai? Tum ne baba ko mana kaise kiya? Itni himmat ho gayi hai tumhari. Bohot dheel de di hai baba ne tumhein is liye toh hamare saron per chadh rahi ho. Tum itni badtameez hi gayi ho ke baba ko jawab do gi ab tum. Uper se drame kar rahi ho ke tum ne kuch kiya hi nahi."
"Baba araam se yaar bachi hai." Safeer ne apne baap ko baaz rakhne ki koshish ki thi.
"Bachi hai toh bachi ban ke rahe na. Maa kyun ban rahi hai hamari is ko toh...."
"Bas shams bohot sun liya meine aur bohot keh chuke ho tum. Meri beti se aaram se baat Karo. Ye meri beti ka aur baba ka maamla hai. Wo is ko khud hal kar lenge." Wo apni jagah se uth ke shams sahab ke muqabil khade ho gaye the.
"Tum...shams tum meri beti se araam se baat Karo bilkul waise jaise mein tumhare bete se karta hun. Wo meri beti hai is ghar ki mulaazma nahi Jo tum usko jhidkoge wo bhi bilawajah. Aindah khayal rakhna." Wo bilkul yusuf sahab ki tarah bolte the. Narm magar do tok lehja. Aakhir mein shams sahab ka kandha thapthapaya tha aur wahan se nikalte chale gaye the.
Hassan, Amma aur farwa hairat se ye saari kaarwai dekh rahi thien jabke mehrmah patthar ka but ban chuki thi. Use samajh aa gayi thi ke halay ye sab kyun kar rahi hai.
"Safeer aao mujhe uni chod denge? Haroon aaj aaya nahi hai na call pick kar raha hai." Halay apni jagah se uthti hui normal si boli thi.
(Jaise thodi der pehle kuch hua uspe mitthi daal di ho.)
"Haan zarur mein car mein baitha hun tum aa jao." Wo bhi apni jagah se uth khada hua tha.
Thodi der baad wo safeer ke saath uni jaane ke liye nikal chuki thi.
"Achi lag rahi ho." Safeer ne usko dekhte hue kaha tha.
"Kab nahi lagti?" Usne aabru uchka kar pucha tha.
"Itna guroor."
"Guroor nahi. Khud shanasaai (self awareness.)"
"Acha. Ye saara kya scene create Kiya hai tum ne?" Safeer ne baat badal li thi.
"Jaise aapko nahi pata itne aap ka ke." Wo usko tapa rahi thi. Saath haath badha kar apna pasandeeda music on kiya tha.
"Qair mitthi daalo. Mujhe ye batao kal jo kuch meine kaha us baare mein kya socha hai?" Safeer apne matlab ki baat pe aaya tha.
Halay ka dil zor se dhadka tha, rang halka gulaabi hua tha. Usko tawaqqu nahi thi ke safeer is tarah araam se ye baat kar dega.
"Kya kaha tha mujhe kuch theek se yaad nahi. Shayad aap ne kaha tha aap bhi meri tarah saadgi se shadi karna chahte hain. Iska bhala kya jawab hua?" Wo uski aankhon mein dekhte hue boli thi.
"Halay meine tumhein propose kiya tha. Shadi ke liye. Meine tumhe kaha tha ke mein tumhari saari khwaishaat puri karunga. Aur kuch baatein jo meine nahi kahi thien wo ab kehta hun." Wo university ke gate pe gaadi ko rok chuka tha aur ab puri tarah halay ki taraf mutawajju tha.
"Halay sultan mein safeer sultan tum se mohabbat karta hun. Itni ke saari zindagi tum jaisa azaab sar pe musallat karna chahta hun. Itni ke mein saari zindagi tumhare aur ammi ke jhagde bardaasht kar sakta hun. Itni ke mein tum se shadi karna chahta hun kyunke ab lagta hai ke tumhare bagair guazara nahi hoga. Kya tum bhi aisa chahti ho?" Wo uski aankhon mein dekh ke itni mohabbat se keh raha tha ke halay ko laga tha uska dil Khushi se hi band ho jayega.
Kya wo is shaks ko inkaar kar Sakti thi? Usne apne dil se pucha tha. Jawab "nahi" mein aaya tha.
"Dada te chachi naal tesan gaalh kareson baaki amman aur baba kon mein aape dekh ghin saan te bachi mein tesan te tars khake haan cha karein di haan."
(Dada aur chachi se aao baat karenge. Amma aur baba ko mein khud dekh lungi. Rahi mein toh aap pe tars khate hue haan kar hi deti hun.)
Wo muskurate hue boli thi. Safeer sultan ko laga tha duniya ab uski hai. Usne halay ke iqraar pe apne dil ko rukta mehsoos kiya tha.
"Mekon aaj kan pehle saraiki idhi mitthi kadhien nahin lagi jetli aaj lagi hai."
(Mujhe aaj se pehle saraiki itni meethi kabhi nahi lagi thi jitni aaj lag rahi hai.)
Wo dono chaukidaar ki awaaz pe hosh mein aaye the jo ke unko gaadi side pe lagane ka keh raha tha. Halay hansti hui gaadi se utar gayi thi. Safeer muskura ke usko jaata dekhta raha.
"Koi itna pyaara kaise hans sakta hai?" Usne dil mein socha tha.
***********
Assalamualaikum, I don't know Saraiki very well, but I did my best with the translation. I apologize for any mistakes that might be there. Thank you for your understanding ❤️
YOU ARE READING
Bakht (Mehrulnisa Shahmeer)
RomanceBakht is an urdu novel written by Mehrulnisa Shahmeer.